Tera Gham...(Sabeeha Saba )

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
Tera Gham, naya hi, hareem-e-jaaN meiN jala, chairaaGh-e-Khayaal de
Ye hawa-e-dasht-e-firaaq, lau pe Ghubaar-e-dard jo Daal de

Jo is anjuman se chala gaya, wo kabhi to lauT k aayey ga
Mujhay is tilism-e-Khayaal se, koyi aayey, aa k naikaal de

Jo ginay chunay mah o saal thay, wo firaaq-e-yaar k naam thay
Jo wisaal-e-yaar se hoN raqam, mujhay aisey kuchh mah o saal de

Isi Khoon-e-dil k se pairahan se to us ko mairy shanaaKht thi
To pahan na looN yahi pairahan, k wo ek nigaah hi Daal de

Mera hamnasheeN, ye wahi to hai, jo madaam bazm-e-Khayaal meiN
MaiN uThaa-ooN naGhma-e-dil ki lai, to wo dard ki koyi taal de

Jo rah-e-wafa pe meray qadam kabhi DagmagaayaiN to naagahaaN
Wo har aik laGhzish-e-pa pe aa k, mujhay sambhaal, sambhaal de

Mujhay paa k mahv-e-nishaat-e-Gham, mera Ghamgusaar hai dam baKhood
Ye tera karam hai meray saKhi! jisay chhahey kaif-e-malaal de

Mujhay koachbaaN se gila nahiN, meri rah se gard-e-firaaq ne
Wo nishaan-e-dil hi miTa diya, jo naveed shahr-e-wisaal de

Jo taweel umr ki dooryoN pe milay, to bas yahi kah sakey
Ye KhizaaN raseeda bahaar, ab bhi nazar ko aks-e-jamaal de
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top