Taraqi ke liay mojoda talimi nazaam main tabdili ki zarorat

  • Work-from-home

dr maqsood hasni

Senior Member
Aug 11, 2008
943
286
1,163
72
kasur, pakistan
Taraqi ke liay mojoda talimi nazaam main tabdili ki zarorat
Soach main tha kah Maghrab din dogni raat chogni taraqi kayoon kar raha hai es kay barakas hum aur hamaray adaray sadyoon pechay kayoon hain?
Hamaray log Maghrab ki bay’labasi aur faishan ko taraqi kayoon samjh rahay hain?
Kiya Hamaray haan zahanat aur wasael ki kami hai?

Ghoor kiya ja’ay to yah donoon chizain hamaray haan Maghrab say kahein bhar kar hain. Maghrab to Shamsi Tavanae main hamaray moqabal khara nahain ho pata. Hamaray haan ka unphar Thorimar Kharadiya Maghrab kay baray say baray Enjiniar ko Zahanat main kahein pechay choor sakta hai aur yah baat mein bari zemadari aur etmad kay keh raha hoon.
Mein nay es moamlay par bara ghoor kiya hai aur es natijay par ponhcha hoon kah wahaan kay Colleges aur Universitiaan tehqeq-o-talash main bara aham kirdar aada kar rahi hain. Ansted University, Brown university, Brunswick university, Chicago University, Camridge University, Leeds university, Oxford university, Stanford university, Harwod Unversity, waghera waghera main itna kaam howa hai kah shaed hi hamari koe university oon main say kisi eak kay moqabal aa sakay. Mazeed daikhain to yah bhi maloom paray ga kah wahaan kaam karnay walay ziyadah’tar hamaray hi haan kay log hain jabkah west walay damagh ka johar aur nachoor apnay "khisay" main kar rahay hain aur hamaray hath kaghaz ka eak porza thama daitay hain aur hum es meharbani aur ata par na'seraf kush hain balkah itratay bhi hain.
Hamaray haan ki research digriaan mamay chachay ta’ay phupha ahbab aur nazar niyaz say mashroot hain. Agar en say kuch bach jata hai to woh kisi waris walay ko mil jata hai. La’waris magar zahein-o-fateen bay’chargi aur bay’basi ki moot mar jatay hain. Na’laeq aur nakammay logoon ko bari kursiaan ata kar di jati hain. Etmad aur ilam-o-fazal say aari logoon kay liay yahaan sab kuch hai.
Eak aur andhair daikheay Talemi boards to haad say guzar ga’ay hain. Fi paper Re. 18/ moavza moqarar kar diya giya hai jabkah dusara moavza khatam kar diya giya hai. Mumtahin raqam jama karnay kay hawala say aur jalad kaam khatam karnay kay moamla main boards apna jawab nahain rakhtay. Natija'kar paper marking kay mosam main machli mandi lag jati hai aur es tarah zahantoon ka barsar-e-aam qatal-e-aam hota hai.
Yahaan kursioon kay hawala say log ilam-o-fazal main naam patay hain ya pehchanay jatay hain. Kaam kay hawala say en kursioon par shaed hi koe nazar aa jay. Agar koe hai to Entazamia ki baein aankh ka shakaar rehta hai. Hamaray haan Universitioon say bhar kar fazal log kaljoon main mojood hain likin woh baad’qesmati say jahaan thay arsa daraz baad bhi wahein kay wahein hain jabkah dusray taraqi kartay kartay kuch kay kuch ho gay hain.
Mairay khiyaal main taraqi ka eak alag say miyar hona chahi’ay. Maslan:
Lecture say Assistant Professor kay liay:
teen thaqiqe moqalay+teen saal ka taqiqi tajarba ya 6 years teaching experience
Assistant Professor say Associate Professor kay liay:
6 tahqiqi moqalay+6 years tehqeeq ka tajarba ya 11 saal teaching experience
Associate Professor say Professor kay liay:
11 tehqiqi moqalay+ 13 saal tehqeeq ka tajarba ya 15 saal teaching experience
Professor say Seneior Professor kay liay:
15 tehqeqi moqalay+16 saal tehqeeq ka tajarba ya 19 saal teaching eperience
Janch partaal ka moamla intahae khufya hona chahi’ay kah kisi ko moamlay ki kanoon kan khabr bhi na honay pa'ay.
Kalaj asatza main say kisi ka koe tehqiqi kaam internet ya motbar rasalay main shaya ho to os par increment ki surat main os ki hosla'afzae hona chahiay.
Taraqi kay moamlay main College aur University ustad main tafreq na rakhi ja’ay.
Hamaray haan inerview, intakhab/ slection ka maqool, unda, qabal-e-etmad parakh ka mayar nahain hai. Wahaan pasand aur na'psand ko hi dakhal rehta hai. Es tarah bhi wohi safarshi log hi sanay aaein gay ya aatay hain.Yah bhi kah Talemi aur Tahqiqi dafatar(Secretariates) ka Qebla darust hona aaj ki aaham zaroot hai.
Jis kolaj ostad ka saal bhar main koe kaam safa-e-qirtas par nahain aata os ki sarzanash hona chahiay. Teen saal tak kuch samnay nahain aata to os ostad ko mehakma taleem say farag kar dainay main koe kharabi nazar nahain aati.
HEC darj-e-bala ya es tarah ka koe bhi miyar moqarar karkay kaljoon aur universitioon kay ostadza say oon kay Resume talab kary. Miyar par aanay walay logoon ki farest bana kar rakhay jab aur jahaan kahein jis miyar kay ostad ki zaroot ho mohiya kar diya ja;ay. Es tarah HEC ko talimi taraqi kay liay qabal log mayassar aa sakain gay.
Allamah Iqbal Open University Islamabad, ki taraf tovajo dainay ki ashad zarorat hai Os kay arbaab-e-ekhtayar ko khasusan hadaet kar di ja'ay kah woh MA aur es say bala digrioon kay liay HEC say Tutarz talab karay go'kah es say nechay bhi bura hal hai. Baishak Hakoomat taleem say dilchaspi rakhti hai likin khali dilchaspi say kuch nahain honay wala, es kay liay naserf choor darwazoon ko band karna ho ga bakah eak miyar moqrar karna paray ga takah taraqi ka khaab sharminda-e-tabeer ho sakay.
5/13/2010 11:02 PMRe: Taraqi ke liay mojoda talimi nazaam main tabdili ki zarorat
FierySensati 30, Pakistan
Ap kay article ko baray ghor say parha or es natejeh par phouncha keh ham abhi bhi usss muqam par naheeh phohuncay jahan ham par yeah enkayshaf ho kay ham nay jiss naam par Pakistan ko hasil kia tha ham uss ke bunyaadh bhool chukay hain.

Ham jaab taleem ke baat kartay hain tu uss taleem ke baat kartay hain jess ke degree milnay keh baad bhi ess baat ke guarantee nahee hotee keh "job" milayge ya nahee.. or jin logon nay taleem hasil kar lee woh apneh mulk main rookneh ko tayaar nahee.

School, colleges or University hamyen taleem tu daytee hay degree layneh keh leyeah par "Shaoor" nahee sekhlateey, insaneyat or zabta-e-hayat tu door ke baat.

Jo qoom apneh deen say dor ho jess ke bunyad par ess mulk ko hasil kia tu woh qom tu bohoot arseh qabl he apna maqsad hayath kho baythee.

Ap neh jo article lekha hay es main koi shakh nahee keh baree mehnat or tehqeeq say leekhe hay. Par app neh khabi ghoor kia keh pechlay 15 saal say tu ess terhan keh articles main khud parhta aa raha hoon. Ess say zada tu app neh parhay hoon geh mukhtalif akhbarat or jarayeed main.. ab tak koi 19 20 ka farq para hay? Dar Haqeeqat ab tu yeah alam hay keh hamaray ehqam e bala ess position main he nahee keh aysee cheezayen parh sakyaen. Mashwaroon par amal karna tu dor ke baat.

Rahee baat meyar muqarar karnay ke tu bookay, khalee payeet, jism ko dhanphneh keh leyah kapray na honay or saar par chaath na hoonay or uppar say bijli tu dur, saaf paani tak mohayah na ho; or tu or har eik shehree ka juz juz mulkeey qarzoon say jakrah huwa ho tu mayra nahee kehyal yeah qoom es haal may ho keh kese cheez par amal kia sunay keh qabil ho. Khabi ghor kejeay ga.

Shukreayh.
 
"Ap kay article ko baray ghor say parha or es natejeh par phouncha keh ham abhi bhi usss muqam par naheeh phohuncay jahan ham par yeah enkayshaf ho kay ham nay jiss naam par Pakistan ko hasil kia tha ham uss ke bunyaadh bhool chukay hain." .
fiery sensati
Qoom aur os kay ba'shaoor tabqay es amar ki khoob aaghi rakhtay hain kah wo sab kuch jis ki bonyad par pakistan hasil kiya giya tha gharat ho chuka hai likin wo kiya karain onhain bai'ekhtyar kar diya giya hai. bhook, piyas aur baikasi-o-baichargi oon par masallt kar di gae hai. Aawaz othatay hain to dehshat'gard ya ghadaar kay laqab say malqoob hotay hain. zindgi oon par haram kar di gae hai. Marnay es liay nahain diya jata kah tarpatay lashay ki tarpat ko daikhnay ka jo maza hai wo mafad'parast aur aziat'pasand hi samjh saktay hain.
Ab to qoom aur os kay ba'shaoor aur mukhlas tabqay yah samjhnay lagay hain kah pakistan vadairoon latairoon ghadaroon aur naam'nihaad khada'ay jahan kay chamchoon ki hukamrani kay liay banaya giya tha aur oon kay baap dada jo kamzoor tabqay se ta'alaq rakhtay thay, ko shaori aur batoor sazesh estamal kiya giya. wo sachay aur dil kay kharay log thay jo yah samjh na sakay. Onhoon nay mehnat koshesh aur qurbani ka khlous-e-niat say poda lagaya aur onhain goman howa kah oon ki nasl aazad ho gi, ossay pait bhar izzat ki roti milay gi. Wo yah nahain jantay thay ya samjhnay say ajiz-o-qsar rahay kah oon ki nasl ki kamae say hi en monafqoon ka pait aur hawas ka khail tawanae pakar sakay ga. Moash kay saray rastay en baad niatoon aur baad qamashoon ki taraf jaein gay.
Taleem say dilchaspi ki batain meaz batain hoon gi. Agar log parh gay to oon kay khaitoon aur kar'khanoon par kaam koon karay ga. Her intazami ya ba'ekhtiyar seat siyasi bun gae hai. Wahaan nakamoon sifarshioon aur chamchay aur ji'hazooriay bhitha diay jatay ray hain. Yah chamchay aur ji'hazoriay qoom kay liay nahain, arzi khuda kay gomashtoon kay liay kaam kartay. Es qoom ki zati shanakht tashkeel pa gae to arzi khuda aur os kay gomastoon ki shanakht baqi na rahay gi.
Mein es liay na'omeed nahain hoon kah qoom aur os kay ba'shaoor aur mukhlas tabqay bhook piyas aur tangi tursi kay ba'vajood abi gom'rah nahain howay. Eman kay kamzoor darja sahi wo es andair ko dil say bora jantay hain.
"Ham jaab taleem ke baat kartay hain tu uss taleem ke baat kartay hain jess ke degree milnay keh baad bhi ess baat ke guarantee nahee hotee keh "job" milayge ya nahee.... or jin logon nay taleem hasil kar lee woh apneh mulk main rookneh ko tayaar nahee."
fiery sensati
Taleem ka ta'alaq job say nahain, aaghi say hai. Aaghi kay lay doo chizoon ki zarorat hoti hai:
a. behtarein mukhlas aur ala taleem'yafta ostad.
jis shakhas nay taleem job kay liay hasal ki ho os say khair ki towaqo kayoon'kar
ki ja sakti hai.
b. kolij aur university kay usatza kay liay koe training sentar qaem hi nahai kiya giya
aur na'hi es zarorat ki taraf kisi ki tovajo gae hai.
c. kolij university ka parha howa laat sahib kay daftar ka bara monshi bun jati hai likin
kolij ka ustad yateem-o-masqein hi rehta hai aur os kay liay manasab taraqi kay
darwazay band rehtay hain.
d. 1-jab bussiness shadi ho gi to mukhlasi kahaan say aa'ay gi. essi tara jab taleem
moash say mashroot ho gi to
daktar karpan/chura hi pakray ga. bijli'ghar ka sab
say chota afsar
sdo maal pani kay bagheer kaam kaisay karay ga. kisi sdo say ja
kar os kay shoba aur paisha say motalaq taknika sawal kar daikhain woh otha kar
aap ko bahar karay ga. dosray shoboon kay parhay likhay afsar aur matehhat bhi
yahhi kuch karain gay/karte hain.
2- ba'shaoor parha likha naqadri ki zad main aa'ay ga to farar kay siwa os kay pas
kiya rah ja'ay ga. ziyada say ziyada ki hawas bhi bahar janay par ossay majboor
kar daiti hai.
e. nasab-e-taleem ka eman'dari say jaeza karain kiya es ki tarkeeb-o-tashkeel monasab
aur asri aur azad qoom ki zaroratoon aur taqazoon kay motabaq hoe hai.
f. dars'gahoon main eak nasab-e-taleem raej nahain hai.
g. talimi adaray mukhtalif rang dhang aur amiri gharibi par mabni hai.
h. imtihani nazam qabal-e-reham hai.
i. paper marking ka kaam to intahae naqas aur bora hai.
j. kiya streat main angraizi boli jati hai yaqinun nahain. es kam'bakht ko qoom
kay sar par talwaar ki tara latka diya giya hai. angraizi:
1. na'khandgi kay barqarar rehnay ka bonyadi sabab hai.
2. naqal aur bad'diyanti kay darwazay kholti hai
3. eman'daroon ko bhi bai'emani par majboor kar daiti hai
4. angraizi kay parchay kay din hashar ka midan garam kar daiti hai
5. talib-e-ilm sara saal es ki tiyari main masroof rehta hai aur dosray mazamein
sanvi haisiat ekhtiyar kar laitay hain. sara saal parhnay aur akaidimioon kay
chakar main par kar bhi aatay aatay nahain aati.
"School, colleges or University hamyen taleem tu daytee hay degree layneh keh leyeah par "Shaoor" nahee sekhlateey, insaneyat or zabta-e-hayat tu door ke baat."
fiery sensati
Insaniat to insani taleem hasal karnay say aata hai. Yah taleem maan ki goud say shoru ho jati. Aaj ki maan apna hosn aur market bachanay kay liay bachay ko dabay ka doud palanay lagi hai. Mumnoa kaam to wo khud karti hai. Es hawala say wo apnay shishu ko kiya taleem day sakay gi. Maein apnay bachoon ko ba'wazo/puri taharat kay sath doud palaya karti thein.
Ghalt kal bhi hota tha ghalt aaj bhi hota. Ghalt ki aaghi kay baad ghalt karna ya hona hi zulm kay zomray main aata hai.
Jab baap ghar kala aur haram ka dhan la'ay ga aur kalay aur haram dhan say parvesh panay wali olaad say khair ki tovaqo hamaqat say ziyada nahain.
Ghar say bahar/socity apnay sherioon ko sachae aur eman'dari ka daras dainay kay liay kisi tara tiyar nahain. Behtarein dikha kar baad'tarein daina os ka mazaj ban giya hai. Kam tolna aur taqseem main dandi marna os kay liay ajeeb aur hairat'nak nahain raha.
Hakomat shakas ki shakhasiat ki behtarein tashkeel kay liay aamada hi nahain. Wo khud borae ki dost rahi hai aisay main kisi khair ki tovaqo rakhna la'yaeni se baat ho gae hai. Jo kehti hai karti nahain aur jo karna hota hai wo batati nahain. Jis cheez say inkaar maloom paray samjo wo zaroor ho ga ya ho giya hota hai. Goya sab olt chalnay laga hai. Raj karay gi----parti ka nazriya barsoon say jamhoriat ka hissa bun giya hai. Halan'kah hakim to khadam hota hai.
Es molak ka asal baira gharaq
JAMHORIAT nay kiya hai. Molvi bhi jamhoriat main taraqi qarar day raha hai aur jamhoriat kay naray lagata hai. Jamhoriat main:
* Awam ki hokomat (Jo haqiqat main hoti nahain).
Koe koon hota hai hakomat karnay wala. Hakomat to seraf Allah ki hai.
* Hakomat awam kay zariay. Awam kay zariay nahain, Kitab-o-sonnat kay zariay.
* Parliment main qanoon bananay walay jaili degree rakhtay hain ya gher monasab
zariay say degree hasal kiay howay hotay hain. Goya jail'saz qanoon banatay hain.
Oon ka qanoon oon kay hath mazboot karta hai na'kah awam ki koe madad aur
khidmat karti.
Kaha jata hai kah falan tarmeem kal'adam qarar day di gae hai. Bhala es say awam
ka kiya ta'alaq wasta.
Awam ko to sasti roti, manasab makan aur tun dhanpnay kay liay kapra darkar aur
moalja darkar hota hai. Parliment main es janib kam baroon ki khud hifazti kay
qanoon ziyada bantay hain.
* Jamhoriat tadad ko darust samjhti hai. Bachoon ki aksariat Ustad Ghalib kay eak
shaiar ko Meer Sahib ka likhti hai es jamhoriat kay hawala say os shaiar ko Meer sahib
ka shaiar man liya jana chahiay.
* Chanao ropay paisay ka khail ho giya hai. Es liay parliment main ameer'zaay,
wadairay, latairay, asmaglar, kala dhanda karnay walay, nawab'zaday,
sahibzaday haramzaday aur amrika ki maenvi olaad hi kursiaan sambhalti hai.
* Parhay likhay log es amal say door rakhay jatay hain. Wo chanao karwatay hain.
* Ala parhay likhay aur pakoray farosh ka vote eak si qimat ka hamil hota hai.
* Es jamhoriat ka kamal daikheay zili khadmoon say lay kar markzi khadmoon tak
bijli her lamha mayassar rehti hai jab'kah makhdoom es ko tarstay hain. Jo kaam
kartay hain oon kay liay ea ka kaal rehta hai jo nakammay aur haira phairi kay siwa
kuch nahain kartay oon kay ghar roshan aur monawar rehtay hain. Tarikh ka kehna
hai hukam'ran khud kaein na'khaein likin oon ki awam bhokay pait nahain soti thi.
Es baad'bakht Jamhuriat kay sabab moamla olta ho giya hai.
Sarkari ahal'kar logoon ki khidmat kay liay hotay hain likin wo khuda bun ga'ay hain
bas faraq itna sa reh giya hai kah onhoon nay khudae ka dawa nahain kiya.
dco, dpo, secretary, sj wagharahum say kuch milna to door ki baat oon kay darwazay
par khray choukidar say moft baat nahain ki ja sakti. Establishment awam ki panah'
nahain rahi balkah khoof ki alamat bub gae hai. en say milna aur na'milna khatray say
khali nahain raha. Yah nahain, log inhain salam-o-parnaam kartay hain. En ki TC main
jan ki ama samjhtay hain.
Niji, masharti, hakomati aur adalti sata par insaf bas eak shabad say ziyada hasiat
ka malik nahain. Mafad say mail khatay faisloon ko darust samjha jata hai. Fori insaaf
ka door tak naam-o-nishan nahain milta.
Mazhab/nazriyaat say shakhas ka jazbati reshta hota hai Likin mazhabi tabqoon nay
shakhas oski say shanakhat chein li hai. Molvi Baat to Allah aur Rasool ki karta hai
likin ossay mosalman say ziyada wahabi, soni, shiya, jamati waghera bananay par
zoor daita hai.
kisi say sawal kiya ja'ay aap koon hain jawabun wo kahay ga:
* mein falaan mpa, mna manistar ya kisi baray ohdaidar ka baita hoon, bata'ay ga.
goya wo mazhabi nazriyati aur shakhasi toor par wohi hai na'kah insan ya
mosalman/esae/hindu waghera.
* syed, khan, malik, rajpoot, peer'zada, nawab'zada waghera hoon. Goya yahhi os ki
shanakhat aur pehchan qarar pati hai.
* Sindhi, balochi, punjabi, pakhtoon hoon. Goya wo insan nahain Sindhi, balochi,
punjabi, pakhtoon hai.
* jiyala, ligi waghera kay hawala say bhi ta'araf samnay aata rehta hai.
* mojoda monqasim nasaab aur soo tara kay talimi adaray bhi insan ko taqseem
kay makhsus daeroon main qaid kartay hain. Woh talimi adaray kay hawala
say apni shanakht samnay lata hai.
insan ki shakhasiat ki tashkeel main yah anasar aur aisay bohat saray anasar ka
motharak hath kar'farma hota hai. Insan paida honay wala jab en kay hathay charta
hai na titar rehta hai na batatair.
Surat-e-haal jo bhi sahi bijli way bhi shaoor aur taleem hasal karnay ki rah main
koh hamaliya banay howay hain. Parnay kay waqt andharoon ka raj hota hai. Andairoon
say choroon aur polas waloon ka kuch bhala ho to ho talib-e-ilm kay liay yah qatil sabat
horay hain.
Yah darmiyan ki mukhlooq (daikhnay ko insan likin amal main insaniat say door) jab
mashtar kay hath lagti hai to wo apni mehromiaan ossay motaqil karta hai. kolij ka
ustad (Professor) nangi zamein par baithay btalba ko daras-o-tadreis kay liay toti kursi
par baith kar khaak parha'ay ga.
Praevait talimi adaroon ka nara hota apnay bachay ko foji afsar, burokait, daktar waghera
banana chahtay hain to onhain hamaray hawalay kar dain. Koe nahain kehta agar aap
apnay bachay ko ba'shaoor insan banana chjahtay hain to hamaray pas bhaijain.
Gharaz aaj kay padaishi insan ko koe bhi insan bannay ki tagheeb aur moqa farahun nahain
kar raha.
"Jo qoom apneh deen say dor ho jess ke bunyad par ess mulk ko hasil kia tu woh qom tu bohoot arseh qabl he apna maqsad hayath kho baythee." (fiery sensati)
Halaat aur mafad parast anasar nay hamain qoom kab rehnay diya hai. Hum mukhtalif
tabqoon qabiloon, konboon, jamatoon, siyasi partioon, mazhaboon, nazrioon, manafqat
waghera say wabasta jaziroon ka majma hain. jis ki koe mushtarka manzal hi nahain, ho
kar reh ga'ay hain.
Kisi parhay likhay say os ki tarikh ya os kay mazhab ya os ki tehzeeb-o-mashrat say
motalaq chand sawal kar daikhain os say khoof'nak khamoshi kay siwa kuch nahain mil
sakay ga. Aisi surat main eak qoom honay ka dawa kayoon'ar kiya ja sakta hai?!
Jab hum eak qoom hi nahain rahay to deen say wabastgi ya nazriya-e-pakistan say
mota'alaq baat karnay ka sawal hi nahain othta.
"Ap neh jo article lekha hay es main koi shakh nahee keh baree mehnat or tehqeeq say leekhe hay. Par app neh khabi ghoor kia keh pechlay 15 saal say tu ess terhan keh articles main khud parhta aa raha hoon. Ess say zada tu app neh parhay hoon geh mukhtalif akhbarat or jarayeed main.. ab tak koi 19 20 ka farq para hay? Dar Haqeeqat ab tu yeah alam hay keh hamaray ehqam e bala ess position main he nahee keh aysee cheezayen parh sakyaen. Mashwaroon par amal karna tu dor ke baat." (fiery sensati)
Yah amar bawar rehna chahiay kah dabay kay doud aur haram ki kamae par jin bachoon ka
palan posan ho ga oon ki misl chirya kay bachay say kisi tara kam nahain ho gi jo baray ho
kar bhool jatay hain kah oon kay mata pita koon hain aur oon kay mae baap ka gharonda
koon sa tha. yah log qabal-e-reham hain kah padaish say martay dam tak en kay galay
main zamini khuda ki ghulami ka pata rehta hai.
Es qamash kay bachay kolij sakool aur university main moj mailay kay liay jatay hain.
Paisay kay bul par, dhons say ya jaili digriaan hasal kar laitay hain. Jab taleem ka
sartifikait mil jana hai to phir woh es fazool kaam main apna waqt kayoon barbaad karain.
In sari batoon kay bavajood mausi ki koe baat nahain mulak aur qoom ka dard rakhnay wala
tabqa apni koshesh jari rakhta hai. Oon ki mehnat aur koshesh say sachae ka naam aur
vajood baqi rehta hai. Yaad rehna chahiay pani ka eak qatra bhi aag kay bohat baray alao
kay liay khoof bana rehta hai. Kabhi kabi sahi baat to hoti rehti hai. Borae say nafrat ka
onsar to baqi rehta hai. Yah eman ka tisra aur kamzoor darja hi sahi baqi to hai. Yah tabqa
sachae ka cehra gard'aaloud nahain honay daita.


"Rahee baat meyar muqarar karnay ke tu bookay, khalee payeet, jism ko dhanphneh keh leyah kapray na honay or saar par chaath na hoonay or uppar say bijli tu dur, saaf paani tak mohayah na ho; or tu or har eik shehree ka juz juz mulkeey qarzoon say jakrah huwa ho tu mayra nahee kehyal yeah qoom es haal may ho keh kese cheez par amal kia sunay keh qabil ho. Khabi ghor kejeay ga
." (fiery sensati)
Bhook piyas, bai'makani, andhaira, khoof waghera ki mojodgi main aqal, logik, shaoor,
taleem waghera ki batain kaisay ki ja sakti hain. tehriroon ka samnay aana bohat zarori hai
kah kahein en chizoon ka ehsas hi khatam na ho ja'ay. Mazeed:
1- Rekard main baat aati rehti hai.
2- Shakhas ka ehsas aur jazba dam nahain toorta.
4- Kabhi to arzi khuda kay kamoon ko khayaal aa hi ja'ay ga.
5- Arzi khuda kay kan tak kisi na'kisi tara aawaz ponch hi ja'ay gi. Agar shitan poray etmad
aur puri comitment kay sath motaharak hai to kiya momun mosbat anasar aur aaghi
rakhnay waloon ko khamosh ho jana chahiay. Nahain, bilkul nahain zangir hilatay
rehna chahiay.
6- Surat-e-haal kuch bhi ho ja'ay azan ka band hona mout ki daleel ho gi.
7- Agar 10 moharam ko soog ki rovaet khatum ho jati to aaj Hussain (AS) ka naam
koon laita.
Bakra eid par bakroon ki shamat na aati to Hazrat Ibrahim (AS) ko koon yaad rakhta.
Es liay mein kehta hoon es mozo ko matrook nahain hona chahiay warna jahalat apnay
dairay jama lay gi. Mofad'parast anasar kay anday bachay bahar say taleem hasal
karkay yahaan kay baibas aur kamzoor logoon ko gadha bhi nahain rehnay dain gay.
(www.zorpia.com)
 

Redvirus

Business Opportunities Network
VIP
Jul 3, 2009
13,363
7,771
1,313
Torino, Italy
first of all sorry coz of short time i could read it out complete bt apka articals kafi behas darkar hain intresting topic............

and it also need a serious discussion on this issue bt ap ny jo bat start main kahe wo kuch ghor talab hai sb sy pehly ye reasearch muslims sy he start hue the magrib k log to bs us theory ko follow kr k implementation karty hain bt yaha k log implementation karna to door follow karna he bhool gaye hain.

baki jo jobs k lehas sy issue hai to rozi dyny wali wo allah ki zaat hai gareente to koi b ni dy sakta ha bat agr sirf ap education k hissab sy karain then skills matters sirf degree lyny sy b job ni mil jati this is the time of competition race main rehny k liye sb sath dorna zaroori hai .....................
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top