Silsila-e-Roz-o-shab

  • Work-from-home

Fiza Ahmad

Regular Member
Jun 18, 2009
65
58
18
Kashmir

SILSILA-E-ROZ-O-SHAB NAQSH GAR-E-HADISAAT
SILSILA-E-ROZ-O-SHAB ASL-E-HAYAAT-O-MAMAAT

SILSILA-E-ROZ-O-SHAB TAAR-E-HAREER DO RAnG
JIS SE BANAATI HAI ZAAT APNI QABAAY-E-SIFAAT

SILSILA-E-ROZ-O-SHAB SAAZ-E-AZAL KI FUGHAAn
JIS SE DIKHAATI HAI ZAAT ZER-O-BAM-E-MUMKINAAT

TUJH KO PARAKTAA HAI YE, MUJH KO PARAKHTAA HAI YE
SILSILA-E-ROZ-O-SHAB SAIRAFI-E-KAAINAAT

TU HO AGAR KAM IYAAR, MAIn HOOn AGAR KAM IYAAR
MAUT HAI TERI BARAAT, MAUT HAI MERI BARAAT

TEREY SHAB-O-ROZ KI AUR HAQEEQAT HAI KYA
EK ZAMAANEY KI RAU JIS MEIn NA DIN HAI NA RAAT

AANI WO FAANI TAMAAM MO'EJIZAA HAAYE HUNAR
KAAR-E-JAHAAn BE-SABAAT! KAAR-E-JAHAAn BE-SABAAT!

AWWAL-O-AAKHIR FANAA, BAATIN-O-ZAAHIR FANAA
NAQSH-E-KUHAN HO KE NAU, MANZIL-E-AAKHIR FANAA

HAI MAGAR IS NAQSH MEIn RAnG-E-SABAAT-E-DAWAAM
JIS KO KIYA HO KISI MARD-E-KHUDAA NE TAMAAM

MARD-E-KHUDAA KA AMAL ISHQ SE SAAHAB FAROGH
ISHQ HAI ASL-E-HAYAAT MAUT HAI US PAR HARAAM

TUnD-O-SUBAK SAIR HAI GAR CHEY ZAMAANEY KI RAU
ISHQ KHUD IK SAIL HAI SAIL KO LETAA HAI THAAM

ISHQ KI TAQWEEM MEIn ASR-E-RAWAAn KE SIWAA
AUR ZAMAANEY BHI HAIn JIN KA NAHIEn KOI NAAM

ISHQ DAM-E-JIBRAIL, ISHQ DIL-E-MUSTAFAA
ISHQ KHUDAA KA RASOOL, ISHQ KHUDAA KA KALAAM

ISHQ KI MASTI SE HAI PAIKAR-E-GUL TAAB-NAAK
ISHQ HAI SAHBAA-E-KHAAM, ISHQ HAI KAAS-UL-KARAAM

ISHQ FAQIH-E-HARAM, ISHQ AMEER-E-JUNOOD
ISHQ HAI IBN-US-SABEEL, USKEY HAZAAROn MUQAAM

ISHQ KE MIZRAAB SE NAGHMA-E-TAAR-E-HAYAAT
ISHQ SE NOOR-E-HAYAAT, ISHQ SE NAAR-E-HAYAAT

AYE HARAM-E-QARTABAA! ISHQ SE TERAA WAJOOD
ISHQ SARAAPAA DAWAAM JIS MEIn NAHIEn RAFT-O-BOOD

RAnG HO YA KHISHT-O-SAnG, CHAnG HO YA HARF-O-SAUT
MO'EIJIZA-E-FUN KI HAI KHOON-E-JIGAR SE NAMOOD

QATRA-E-KHOON-E-JIGAR SIL KO BANAATAA HAI DIL
KHOON-E-JIGAR SE SADAA SOZ-O-SUROOR-O-SUROOD

TERI FAZAA DIL FAROZ, MERI NAWAA SEENAA SOZ
TUJH SE DILOn KA HUZOOR, MUJH SE DILOn KI KASHOOD

ARSH-E-MO'ELLAA SE KAM SEENA-E-AADAM NAHIEn
GAR CHEY KAF-E-KHAAK KI HAD HAI SAPAHR-E-KABOOD

PAIKAR-E-NOORI KO HAI SAJDAA MUYASSAR TO KYA
US KO MUYASSAR NAHIEn SOZ-O-GUDAAZ-E-SAJOOD

KAAFIR-E-HINDI HOOn MAIn DEKH MIRAA ZAUQ-OSHAUQ
DIL MEIn SALAAT-O-DUROOD, LAB PE SALAAT-O-DUROOD

SHAUQ MIRI LAI MEIn HAI, SHAUQ MIRI NAI MEIn HAI
NAGHMA-E-ALLAH-HU MEREY RAG-O-PAI MEIn HAI

TERAA JALAAL-O-JAMAAL MARD-E-KHUDAA KI DALEEL
WO BHI JALEEL-O-JAMEEL, TU BHI JALEEL-O-JAMEEL

TERI BINAA PAAY-DAAR, TERI SUTOOn BE-SHUMAAR
SHAAM KE SAHRAA MEIn HO JAISEY HUJOOM-E-NAKHEEL

TEREY DAR-O-BAAM PAR WAADI-E-AYMAN KA NOOR
TERAA MEENAAR-E-BULAND JALWAA GAH-E-JIBRAEEL

MIT NAHIEn SAKTAA KABHI MARD-E-MUSALMAAn, KE HAI
US KI AZAANOn SE FAASH SIRR-E-KALEEM-O-KHALEEL

US KI ZAMEEn BE-HUDOOD, US KA UFUQ BE-SUGHOOR
US KE SAMAnDAR KI MAUJ DAJLA-O-DANYUB-O-NEEL

US KE ZAMAANEY AJEEB, US KE FASAANEY GHAREEB
AHD-E-KUHAN KO DIYAA US NE PAYAAM-E-RAHEEL

SAAQI-E-ARBAAB-E-ZAUQ, FAARAS-E-MAIDAAN-E-SHAUQ
BAADAA HAI US KA RAHEEQ, TEGH HAI US KI ASEEL

MARD-E-SIPAAHI HAI WO, US KI ZA RAH LA-ILAHAA
SAAY-E-SHAMSHEER MEIn USKI PANAH LA-ILAHAA

TUJH SE HUWAA AASHKAAR BAnDA-E-MOMIN KA RAAZ
US KE DINOn KI TAPISH, US KI SHABOn KA GUDAAZ

US KE MUQAAM-E-BULAND, US KA KHAYAAL-E-AZEEM
US KA SUROOR, US KA SHAUQ, US KA NIYAAZ, US KA NAAZ

HAATH HAI ALLAH KA BAnDA-E-MOMIN KA HAATH
GHAALIB-O-KAAR AAFREEn, KAAR KUSHAA, KAAR SAAZ

KHAAKI-O-NOORI NIHAAD, BAnDA-E-MAULAA SIFAAT
HAR DO JAHAAn SE GHANI US KA DIL-E-BE-NIYAAZ

US KI UMEEDEIn QALEEL, US KE MAQAASID JALEEL
US KI ADAA DIL-FAREB, US KI NIGAH DIL-NAWAAZ

NARM DAM-E-GUFTAGOO, GARM DAM-E-JUSTAJOO
RAZM HO YA BAZM HO PAAK DIL-O-PAAK-BAAZ

NUQTA-E-PARKAAR-E-HAQ, MARD-E-KHUDAA KA YAQEEn
AUR YE AALAM TAMAAMWAHM-O-TILISM-O-MAJAAZ

AQL KI MANZIL HAI WO, ISHQ KA HAASIL HAI WO
HALQA-E-AAFAAQ MEIn GARMI-E-MAHFIL HAI WO

KAABA-E-ARBAAB-E-FUN! SITWAT-E-DEEN-E-MABEEn
TUJH SE HARAM MARTABAT UNDALASIYOn KI ZAMEEn

HAI TAH-E-GARDOn AGAR HUSN MEIn TERI NAZEER
QALB-E-MUSALMAAn MEIn HAI AUR NAHIEn HAI KAHEEn

AAH WO MARDAAN-E-HAQ, WO ARABI SHAH-SAWAAR
HAAEL-E-'KHALQ-E-AZEEM', SAAHAB-E-SIDQ-O-YAQEEn

JIN KI HUKOOMAT SE HAI FAASH YE RAMZ-E-GHAREEB
SALTANAT-E-AHL-E-DIL FAQR HAI SHAAHI NAHIEn

JIN KI NIGAAHOn NE KI TARBIYAT-E-SHARQ-O-GHARB
ZULMAT-E-EUROPE MEIn THI JIN KI KHIRAD RAAH-BEEn

JIN KE LUHOO KE TUFAIL AAJ BHI HAIn UNDALASI
KHUSH DIL-O-KHUSH IKHTALAAT, SAADAA-O-RAUSHAN JABEEn

AAJ BHI IS DES MEIn AAM HAI CHASHM-E-GHAZAAL
AUR NIGAAHOn KE TER AAJ BHI DIL-NASHEEn

BOO-E-YAMAN AAJ BHI ISKI HAWAAOn MEIn HAI
RAnG-E-HIJAAZ AAJ BHI ISKI NAWAAOn MEIn HAI

DEEDA-E-AnJUM MEIn HAI TERI ZAMEEn AASMAAn
AAH! KE SADYOn SE HAI TERI FAZAA BE-AZAAn

KAUN SI WAADI MEIn HAI, KAUN SI MANZIL MEIn HAI
ISHQ-E-BALAA-KHEEZ KA QAAFLA-E-SAKHT JAAn

DEKH CHUKAA ALMANI SHORISH-E-ASLAAH-E-DEEn
JIS NE NA CHHODEY KAHIEn NAQSH-E-KUHAN KE NISHAAn

HARF-E-GHALAT BAN GAYI ISMAT-E-PEER-E-KANISHT
AUR HUI FIKR KI KASHTI-E-NAZUK RAWAAn

CHASHM-E-FRANSIS BHI DEKH CHUKI INQILAAB
JIS SE DIGAR Gon HUA MAGHRABIYOn KA JAHAAn

MILLAT-E-RUMI NIZAAD KUHNAA PARASTI SE PEER
LAZZAT-E-TAJDEEDAA SE WO BHI HUI PHIR JAWAAn

RUH-E-MUSALMAAn MEIn HAI AAJ WOHI IZTARAAB
RAAZ-E-KHUDAAI HAI YE KAH NAHIEn SAKTI ZABAAn

DEKHIYE IS BAHR KI TAH SE UCHHALTAA HAI KYA
GUnBAD-E-NEELOFARI RAnG BADALTAA HAI KYA

WAADI-E-KUHSAAR MEIn GHARQ-E-SHAFAQ HAI SAHAAB
LAAL-BADAKHSHAAn KE DHER CHHOD GAYAA AAFTAAB

SAADAA-O-PUR-SOZ HAI DUKHTAR-E-DAHQAAn KA GEET
ASHTI-E-DIL KE LIYE SAIL HAI AHD-E-SHABAAB

AAB-E-RAWAAN-E-KABEER!* TEREY KINAAREY KOI
DEKH RAHAA HAI KISI AUR ZAMAANEY KA KHWAAB

AALAM-E-NAU HAI ABHI PARDA-E-TAQDEER MEIn
MERI NIGAAHOn MEIn HAI USKI SAHAR BE-HIJAAB

PARDAA UTHAA DOn AGAR CHAHRA-E-AFKAAR SE
LA NA SAKEYGAA FIRAnG MERI NAWAAOn KI TAAB

JIS MEIn NA HO INQILAAB MAUT HAI WO ZINDAGI
RUH-E-UMAM KI HAYAAT KASHMAAKSH-E-INQILAAB

SOORAT-E-SHAMSHEER HAI DAST-E-QAZAA MEIn WO QAUM
KARTI HAI JO HAR ZAMAAn APNEY AMAL KA HISAAB

NAQSH HAIn SAB NA-TAMAAM KHOON-E-JIGAR KE BAGHAIR
NAGHMA HAI SAUDAA-E-KHAAM KHOON-E-JIGAR KE BAGHAIR
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top