Shirk Se Bachen Khud Quran Ke Ayaah Parhen

  • Work-from-home

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Wa iyyakum doston

Walaikumsalam
pr mjhy samjh ni ayi :s @S_ChiragH X_X
naat mein shirk hy ... yeh btana chah rhy hyn aap ???
Naat mein shirk nahin hota haan kuch loug pait ki aag bujhane ke liye
jahilana kalimaat likhte hain aur unhen naat bolte hain jese ke mandirja baala
zikr kiya gaya hai so beshak ALLAH ke siffaat se kisi aur ko nawazna shirk hi hai @Rubi sister : )
 
  • Like
Reactions: Rubi

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
waalaikum assalam
JAZAKALLAH khair for sharing![DOUBLEPOST=1366423361][/DOUBLEPOST]@Rubi naat ka matlab hota hay Prophet Muhammat (PBUH) ki taareef ya aqeedat may kuch likhna ya parhna!
lakin kuch jago par ALLAH ki siffat k saath prophet Muhammad(PBUH) ko shareek kiya jata hay (aqeedat k naam par)that is shirk!
 
  • Like
Reactions: Rubi

Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
Beshak Allah ke sifaat main kisi aur ko shreek karna shirk ha magar mujhe 2 baton ke sawajh nahi aati k shirk ko siraf naat k sath kioun jora jata ha?
Kia shirk siraf naat main ho sakta ha? uss mulla ke bat kioun nahi ke jati k jo aik taraf to Allama Iqbal k ashaar ko b shirkiya qarar deta ha magar dusri taraf wohi mulla apnay pait ke aag bujhanay k lie apni har taqreer main Allama Iqbal k ashaar b parhta ha...
Dusri bat ye ha k Allah k ilawa siraf Nabi k dar se mangnay ko he kioun shirk qarar diya jata ha,aam hukmurano se mangnay walon ke bat kioun nahi ke jati? For example,shirk k naaray laganay walon ne kabi iss bat par thread kioun nahi lagai k jo log madrason k naam par apna pait bharnay k lie Allah ke bijaaye soudi hakumat se madad mangtay hain,wo b shirk k murtikab hotay hain aur sitam zareefi ye k soudi hakumat ke imdad khanay walay baray dharallay k sath dusron par shirk k fatway kasstay hain,
aakhiri bat ye k jaisay kaha gaya k Allah ke sifaat main kisi ko shreek karna shirk ha to kia siraf Nabi ko shreek karna shirk ha?jo apnay aapko shreek karay usskay baray main kia khiyal ha? Jaisay k ma ne yahan shuru se dekha ha k shirak k naaray laganay walay kai log baray aram se dusray members ko kafir ya mushrik qarar detay hain,even mujhe b kaha gaya...to ye to Allah ke sift ha k wo faisla karay k kon mushrik ha aur kon kafir...to dusron ko mushrik ya kafir qarar denay walay kia khud ko Allah ke sifat main shreek nahi kar letay aur kia iss tarha wo khud shirk k murtikab nahi hotay?
Siraf naat main he shirk dhundnay ke bijaye in baton ko b hilight karna chahyay,
.. @S_ChiragH , @hoorain , @Rubi ,
 
  • Like
Reactions: MysTeri0uS

LoLzzz pehli baat jahaan apne magharat aqaiyd ko sabit kare ke liye
Iqbal ke ashaar ka sahara liya jaata hai wahin ye bhula diya jata hai
ke Iqbal to taqleed ke bhi khilaf bhi ashaar farma chuke doosri baat
Iqbal ke ashaar ko kis mulla e shirkiya kaha waazehatan batao to ??
aur aap ye ulte seedhe replyz hi de sakte ho Qura o ahadeeth pichli baar
ki tarah aapke aage peish kare lagun to aapne ye section chorh kar
baat cheet me ja kar Quran o ahadeeth ke khilaf apni bharaas nikalni hai

naat ka muamla aaj kal is liye uthana parta hai kyunke bad aqeedgi se
bhare aam nihad mohib e rasool (alaehe salam) ne naat ke naam per
shirkiya kalam jaari karne ka azam le rakha hai ab sawal karoge ke
kose alfaz shirkiya hain iska faisla me kon hoon karne wala ??
so mein faisla nahin karta balke ehl e sunnah ke kaseer tadad ke ulma
ke bayanaat peish kar dun ya phir dubara Qura o ahadees ka faisla sunaun ??
 
mery to sari baton ka jawab diya nahi aur aagay se aur sawalat kar rahay hain aur soudi hakumat wali bat to mujhe yaqeen tha k aap karo ge nahi,
baqi pichli batain duhrao ge to to phir to kai batain yad aaen ge,ye b yad aaeye ga k jab ma ne aapko challenge kiya tha k meray post kiyay hue wo saray ashaar paish karo jo shirkiya thay,jo aap ne kaha tha k thread k last page par abi b mojud thay to aap ne phir reply he nahi kiya tha aur down voting walay saboot se dar kar he bhag gae,
aur bhai ma to hoon he boht bura magar aap to Quran'o hadees ke batain kartay ho to phir aap main akhlaqi girawat itni intaha ko kioun pohnch chuki ha k aap ne aik dafa phir aik faisla sadir farmaya aur mujhe "Quran'o hadees k khilaf bharas nikalnay wala" qarar diya,
Quran aur hadees ke bat karnay walay main itni akhlaqi pasti to nahi ho sakti,
 
Dar kar bhaage ?? tameez seekh kar aao mister qabar parast
us thread mein mazeed posting se staff ne roka tha warna
aapko barabar jawab de kar theek karna aata tha aur aata hai
mazeed Saudi hukumat per Pakistan hukumat per aap kisi aur
se beith kar discuss kar lo ke wahan per qabar parasti ko support
kese karwaayen mujhe ISLAM ke mutaliq baat karte huwe kisi
hukumat ke mutaliq jawab dene ki zarurat hi nahin got it ??
haan to nikalte hi ho yaad karo jab mene ayaat peish kiye the
ahadees peish kiye the ISLAMIC section se aap ghayab ho kar
Baat Cheet mein pohnch gaye the bharaas nikalne ko :D
aur ab yahan out of rules post bardasht nahin hogi .
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Beshak Allah ke sifaat main kisi aur ko shreek karna shirk ha magar mujhe 2 baton ke sawajh nahi aati k shirk ko siraf naat k sath kioun jora jata ha?
Kia shirk siraf naat main ho sakta ha? uss mulla ke bat kioun nahi ke jati k jo aik taraf to Allama Iqbal k ashaar ko b shirkiya qarar deta ha magar dusri taraf wohi mulla apnay pait ke aag bujhanay k lie apni har taqreer main Allama Iqbal k ashaar b parhta ha...
Dusri bat ye ha k Allah k ilawa siraf Nabi k dar se mangnay ko he kioun shirk qarar diya jata ha,aam hukmurano se mangnay walon ke bat kioun nahi ke jati? For example,shirk k naaray laganay walon ne kabi iss bat par thread kioun nahi lagai k jo log madrason k naam par apna pait bharnay k lie Allah ke bijaaye soudi hakumat se madad mangtay hain,wo b shirk k murtikab hotay hain aur sitam zareefi ye k soudi hakumat ke imdad khanay walay baray dharallay k sath dusron par shirk k fatway kasstay hain,
aakhiri bat ye k jaisay kaha gaya k Allah ke sifaat main kisi ko shreek karna shirk ha to kia siraf Nabi ko shreek karna shirk ha?jo apnay aapko shreek karay usskay baray main kia khiyal ha? Jaisay k ma ne yahan shuru se dekha ha k shirak k naaray laganay walay kai log baray aram se dusray members ko kafir ya mushrik qarar detay hain,even mujhe b kaha gaya...to ye to Allah ke sift ha k wo faisla karay k kon mushrik ha aur kon kafir...to dusron ko mushrik ya kafir qarar denay walay kia khud ko Allah ke sifat main shreek nahi kar letay aur kia iss tarha wo khud shirk k murtikab nahi hotay?
Siraf naat main he shirk dhundnay ke bijaye in baton ko b hilight karna chahyay,
.. @S_ChiragH , @hoorain , @Rubi ,
INNA LILLAHI WAINNA ILAIHI RAJION (beshak hum ALAH hi k hain aur ussi ki taraf Lout kar jaane waale hain)

ALLAH ki siffat may kisi ko b shareek karna shirk hay KISI KO BHI may sab aate hain!
ALLAH ki ibadat may KISI KO BHI shareek akrna shirk hay
ALLAH ki Zaat may KISI KO BHI shareek karna Shirk hay

ye kehna k ye sab karna Shirk qrar diya gya hay aur ye kehna k fla banda Mushrik hay in dono baaton may farq hay!
La ILAHA ILLALLAHU (Nhi Koi Mabood(ibadat k Layq) Siwaye ALLAH k ,,jab saaf saaf ALLAH ki taraf se aik Cheez ki NAfi kr di gai hay to us may Agar Magar kio kaise kahan se le aate hain hum???
DUa Maangna ibadat hay aur ibadat k layq sirf ALLAH tala hay..Kisi zinda insan se Madad Mangna aur ALLAH se DUa mangna dono may farq hay
Jab Tak Prophet Muhammad PBUH zzinda thay log apni pareshanio k liye un se madad maangte un se mashwara maangte unhe bolte k un k liye dua ki jaaye,,Lakin ab wo dunya may nhi to un se nhi maanga ja sakta ab un se maangna Shirk hay kio k wo zinda nhi hain...
Ya baseeru (aey Daikhne waale) ya Sameeyu(Aey Sunne waale) sirf ALLAH k sifaati naam hain..yahan in words ka amtlab aey hamesha daikhne aur hamesha sunne waale k hain,,, ALLAH k siwa koi hamesha daikhne sunne wala nhi hay...

"kia unho ne ALLAH k siwa Sifarshi bna rakhey hain? Keh Dijye khawa wo kisi cheez ka bhi ikhtyar na rakhte hoon aur na samajhte hon..keh dijye Shifa'at saari ki saari sirf ALLAH hi k ikhtyar may hay! (al-Zumar:43-44)

surah AL-jin may ALLAH tala ka irshad hay

Aey Nabi (SAW) inhe keh dijye k main tumharey liye kisi bhi nafa-o-nuqsan ka ikhtyar nhi rakhta (Al-jin:21)

Jab ALLAH k sab se mahboob bandey k pas ye ikhtyar nhi tha jab ALLAH ne ye ikhtyar Prophet Muhammad(PBUH) ko nhi diya to koi aur kaise in ikhtyarat ya siffat ka dawa kar sakta hay??

hazraat Muhammad PBUH k paas ghaib ka ilm nhi tha siwaye un baaton k jo ALLAH aap (SAW) par wahi farmaate thay

aapko Hazrat Ayesha (R.A) ka waqya yaad hay jab Hazrat Ayesha (R.A) hazrat Muhammad (PBUH) k qafiley k satah hi kahi jaati hain aur wahan wo camping karte hain wapsi pe hazrat Ayesha(r.A) k galley ka haar (Necklace) kahi gir jata hay aur ussi dhundhte huye wo qafiley se peeche reh jaati hain n baad may un apr log ilzam lga daite hain ???
Agar Prophet Muhammad(PBUH) k paas ghaib ka ilm hota to kia unhe foran se pta na chal jata k jo b batain log akr rhe hain wo ilzam hain? Prophet Muhammad(PBUH) Wahi nazil hone tak Kashmakash may kio rahey?? (Waqya Ifaq)
Kisi ki Dua qabul karne may b ALLAH tala khud ikhtyar rakhte hain koi sifarish nhi chal sakti Kisi ki b,,,
Wo waqya aapko yaad hay jab aik aurat jsika naam khola tha wo Hazrat Muhammad(PBUH) k paas ayai apni pareshani le kar aur btaya k us k shohar ne usse uski maan se (shohar ki maan se ) tashbeeh di hay(Resemblance) aur ab wo khdu ko apne shohar par haram samajh rhi hay lakin ALLAH ka kia hukam hay is par to tab k qanun k mutabiq un dono ka rishta khatam ho gya tha par wo Aurat Hazur Paak (SAW) se behas akrne laggi aur ALLAH se ro akr dua akrne laggi q k wo rishta khatam akrna nhi chahti thi aur dusri taraf wo shohar se parda b akr rhi thi ,,,ussi doran hazrat Muhammad(PBUH) par wahi nazil hui aur ye aayat nazil hui

Aey Piaghambar jo aurat tum se apne shohar k baare may behas karti aur khuda se shikayat aur ranj-o-mlal karti thi khuda uski iltija sun rha tha aur khud ne tum dono ki guftagu suni kuch shak nhi k khuda sunta aur daikhta hay, jo log tum logon may se apni aurton ko maan keh daite hain wo unki mayain nhi ho jaati,,inki mayain to wohi hain jin k batan se wo paida huye beshak wo namaqul aur jhooti bata kehte hain aur khuda barra maaf akrne wala aur bakhshne wala hay ( AL-mujadla:1-2)

aur b bohat si aayat hain bohat si misalain hain,,jaise k HAzrat yunas(A.S) ka waqya Hazrat Nooh (A.S) ka waqya ,,aur kaafi aayat jin se ye poori tara sabit hay k KOI b aur Kisi b tara ALLAH ki zaat siffat ibadat may Hisse daar nhi hay aur jo apne amal se ye hissedaari zahir akrey ya samjhey wo mushrik hay ,,koi kisi k kehne se Mushrik nhi hota sirf Apne amal ki bina par hote hain,,,
Prophet Muhammad PBUH Perfect insan aur hum sab k liye role Model hain,,ALLAH tala ne Farmaya agar tum meri khushnudi chahte ho to ALLAH k rasool(SAW) ki perwi karo ALLAH tumhare gunah maaf farma dega(Al-Imran)
ALLAH k baad kisi se sab se ziada muhabbat aur aqeedat ho to wo Prophet Muhammad PBUH hi hain lakin ALLAH k baad ALLAH k brabar nhi !

LA ILAHA ILLAALLAHU (Hmara Kalma NAfi se Shuroo hua hay HAr kisam k shirk ki Nafi se)

Bottom Line Ikhtyarat tmam k Tmam sirf ALLAH k Paas hain!
Aik b Jaga aik b hadith may ya aik b aayat may Prophet Muhammad PBUH se unki wafat k baad ya kisi b aur bazurg se un k faut hone k baad ya unki zindagi may hi badat ki gharz se direct mangna nafa nuqsan ka malik samjhna sabit nhi hay ,,waseela bnane ya unki qabar ko poojne ka hukam nhi,,agar hum aisa karte hain to ALLAH tala hamain hidayat ata farmayain aur hmare haal par reham farmayain AAMEEN![DOUBLEPOST=1366442784][/DOUBLEPOST]n BTW shirk Shirk hi hay chahey wo koi natiya kalmaat may akrey,,koi Mullah apni speech may akrey ya koi shayer apni shayri may,,us may koi do raye nhi hay!
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Don and Rubi

Rubi

๋• ˆ⌣ˆ ● ĴнαLLi ● ˆ⌣ˆ •๋
Hot Shot
Aug 17, 2010
47,979
14,096
913
WoℵdeℜLaℵd ツ
@Rubi naat ka matlab hota hay Prophet Muhammat (PBUH) ki taareef ya aqeedat may kuch likhna ya parhna!
lakin kuch jago par ALLAH ki siffat k saath prophet Muhammad(PBUH) ko shareek kiya jata hay (aqeedat k naam par)that is shirk!
han naat ki tareef toh main janti hun baji /:) ab aisi v bat ni :|
 
Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
Dar kar bhaage ?? tameez seekh kar aao mister qabar parast
us thread mein mazeed posting se staff ne roka tha warna
aapko barabar jawab de kar theek karna aata tha aur aata hai
mazeed Saudi hukumat per Pakistan hukumat per aap kisi aur
se beith kar discuss kar lo ke wahan per qabar parasti ko support
kese karwaayen mujhe ISLAM ke mutaliq baat karte huwe kisi
hukumat ke mutaliq jawab dene ki zarurat hi nahin got it ??
haan to nikalte hi ho yaad karo jab mene ayaat peish kiye the
ahadees peish kiye the ISLAMIC section se aap ghayab ho kar
Baat Cheet mein pohnch gaye the bharaas nikalne ko :D
aur ab yahan out of rules post bardasht nahin hogi .
kitnay afsos ke bat ha k quran aur hadees se ye b nahi seekh sakay k aisay bad akhlaqi se nahi bolna chahyay,
moderator ban kar aapko ye haq hasil nahi ho gaya k aap kisi k tazleel karain,aur ma admins aur degar staff se mutaliba karta hoon,k wo chiragh sahib k in alfaz ka notice lain,inho ne mujhe qabar parast kaha ha,in se kaha jaaeye k ye meray qabar parast honay ka saboot faraham karain,warna apnay alfaz wapis lain,
agar mods he itni akhlaqi pasti ka muzahira karain ge to phir iss forum ka kia banay ga?
.. @Don , @RedRose64 , @Nelly , @hoorain , @Atif-adi , @Dawn , @ChoCo ,
.. @Do
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Mohtaram mazar walon se qabar walon se dua karne ke mutaliq
aapke posts hain kaafi dua ibadat hi hai ab ibadat ko
parastish nahin bolun ya qabar ko qabar na bolun @Abidi
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
han naat ki tareef toh main janti hun baji /:) ab aisi v bat ni :|
to phir aapko kia samajh nhi aayi thi :s
jo lines ooper naat k naam par kahi gai hain un may shirk hay ,,aur b kaafi ishaar ,,natiya kalmat wagahaira aise hote hain jin may Shirk hota hay zaruri nhi k har Naat may ho,,[DOUBLEPOST=1366456909][/DOUBLEPOST]calm down brothers,, Topic chor k idhar udhar mat jaya krain pta hi nhi chalta thread kis cheez par tha aur behas kis par shuroo ho gai hay :s
@S_ChiragH @Abidi
 
  • Like
Reactions: Rubi and S_ChiragH
Top