Shehr k dukaaN daro! (ghazal)

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
shehr k dukaN daro, karobar-e-ulfat maiN sood kia zayaN kia hai, tum na jan pao gay
dil k daam kitnay haiN, khab kitnay mehangay haiN aur naqd-e-jaN kia hai, tum na jan pao gay

koi kaisay milta hai, phool kaisay khilta hai, aankh kaisay jhukti hai, sans kaisay rukti hai
kaisay rah nikalti hai, kaisay bat chalti hai, shauq ki zubaN kia hai, tum na jan pao gay

wasl ka sakooN kia hai, hijr ka janooN kia hai, husn ka fasooN kia hai, ishq ka darooN kia hai
tum mareez-e-danaai, maslehat k shaidaai, rah-e-gumrahaN kia hai, tum na jan pao gay

zakhm kaisay phaltay haiN, dagh kaisay jaltay haiN, dard kaisay hota hai, koi kaisay rota hai
ashk kia hai naalay kia, dhasht kia hai chaalay kia, aah kia faghaN kia hai, tum na jan pao gay

na-murad dil kaisay subh-o-sham kartay haiN, kaisay zinda rehtay haiN aur kaisay martay haiN
tum ko kab nazar aai gham zadoN ki tanhai, zeest-e-bay amaaN kia hai, tum na jan pao gay

janta hooN maiN tum ko zauq-e-shayeri bhi hai, shakhsiyat sajanay maiN ik yeh mahiri bhi hai
phir bhi harf chuntay ho, sirf lafz suntay ho, un k darmayaN kia hai, tum na jan pao gay!
 

**King**

Newbie
Sep 6, 2009
2,244
645
0
35
Nice sharing

---------- Post added at 01:10 AM ---------- Previous post was at 01:09 AM ----------

Nice sharing
 
Top