Sagar's Poetry Collection

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Poocha kisi ne haal kisi ka to ro diye,

Paani mein aks chaand ka dekha to ro diye,


Naghma kisi ne saaz per chera to ro diye ,

Ghuncha kisi ne shaakh se tora to ro diye,


Urta huwa ghubaar sar-e-raah deikh kar ,

Anjaam hum ne ishq ka socha to ro diye,
 
  • Like
Reactions: hoorain

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Baadal fiza mein aap ki tasweer ban gaye ,

Saaya koi khaayal se guzra to ro diye,


Rang-e-shafaq se Aag shagufoo'n mei'n lag gai,

Sahir hamare haath se chalka to ro diye...!!!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Dil Mila aur gham Shanaas Mila,
Phool Ko aag Ka Libaas Mila,
Har Shanawar Bha'nwar may Dooba Tha,
Jo Sitara Mila Udaas Mila,
May-Kaday Kay Siwa, Hamara Pata,
Un ki Zulfoo'n Kay Aas Paas Mila,
Mujh Ko Taqdeer ki Guzargaah May,
Sirf Tadbeer ka Hiraas Mila,
Aab-e-Haiwaan ki Dhoom The Saghir,
Sada Pani Ka Aik Gilaas Mila....!!!!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Bhooli hui sada hun mujhe yad kijiye ,
Tum se kahin mila hun mujhe yad kijiye ,
Manzil Nahin Hun, Khizr Nahin, Rahzan nahin ,
Manzil ka ranta hun mujhe yad kijiye ,
Meri Nigah-e-Shauq Say har Gul hay Devta ,
Main ishq ka khuda hun mujhe yad kijiye ,
Naghmon ki ibtida thi kabhi mere nam say,
Ashkon ki intaha hun mujhe yad kijiye ,
Gum-sum khari hain donon jahan ki haqiqaten ,
Main un se keh raha hun mujhe yad kijiye ,
Saghir kisi ke husn-e-tagaful shi'aar ki ,
Behki hui adaa hun mujhe yad kijiye.....!!!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Aik wada hai kisi ka jo wafa hota nahi,
Warna in taroo'n bhari raaton mein kia hota nahi,
Ji mein Aata hay Ulat dein un k chehrey se naqaab ,
Hosla kartey hain lekin hosla hota nahi,
Shama jis ki Aabro pe jaan de de jhoom kar ,
Woh patanga jal to jata hay Fana hota nahi,
Ab to muddat se Rah-o-Rasm-e-Nazara band hay,
Ab to unka toor par Bhi samna hota nahi,
Har Shanawar ko nahi milta Talatum se kharaaj ,
Har safeeney ka muhafiz Nakhuda hota nahi,
Har Bhikaari pa nahi sakta muqaam-e-khawajgi ,
Har kas-o-nakas ko Tera Ghum Ata hota nahi,
Haye ye begaangi, Apni nahi muj ko khabar ,
Haye ye alam, Keh Tu dil se juda hota nahi,
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Aaj Roothay Huay sajan ko buhut yaad kia,
Apnay ujray huay Gulshan ko buhut yaad kia,
Jab kabhi gardish-e-taqdeer ne ghera hay hamen,
Geso-e-yaar ki uljhan ko buhut yaad kia,
Shama ki joo't par jaltay howay parwano nay,
Ik teray shola-e-daman ko buhut yaad kia,
Jis kay mathay par nayi subh ka Jhoomar ho ga,
Hum ne us waqt ki dulhan ko buhut yaad kia,
Aaj tootay howay sapnon ki bohat yaad aayi,
Aaj bitay howay sawan ko buhut yaad kia,
Ham sar-e-toor bhi mayoos tajalli hi Rahay,
Us dar-e-yaar ki chilman ko buhut yaad kia,
Mutma'in ho hi gayay daam-e-qafas may Saghir,
Hum Aseeron nay Nasheman ko buhut yaad kia....!!!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
ye jo diivaane se do chaar nazar aate hain
in mein kuchh saahib-e-asraar nazar aate hain
terii mahafil kaa bharam rakahate hain so jaate hain
varnaa ye log to bedaar nazar aate hain
duur tak ko_ii sitaaraa hai na ko_ii juganuu
marg-e-ummiid ke aasaar nazar aate hain
mere daaman mein sharaaron ke sivaa kuchh bhii nahiin
aap phuulon ke Khariidaar nazar aate hain
kal jise chhuu nahiin sakatii thii farishton kii nazar
aaj vo raunaq-e-baazaar nazar aate hain
hashr mein kaun gavaahii merii degaa 'Sagar'
sab tumhaare hii taraf_Daar nazar aate hain
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Hai dua yaad mager harf-e-dua yaad nahi,
Meray Naghmaat ko andaz-e-nawa yaad nahi,
Hum nay Jinke liye raahon mein bichaya tha Luhoo,
Hum say kehte hain wahi Ehd-e-wafa yaad nahi,
Zindagi Jabr-e-musalal ki tarha kaati hay ,
Jane kiss jurm ki payi hai saza yaad nahi,
Mein nay palkon se dar-e-yar pe dastak di hay,
Mein woh saayil hoon jise koi sada yaad nahi,
Kaiay bhar Aaye'n sar-e-sham kisi ki ankhein,
Kaissy Thar'rai chiraghon ki Ziya yaad nahi,
Sirf Dhunlaye sitaron ki chamak dekhi hay,
Kon hua kab hua kiss se khafa yaad nahi,
Aao ek sajda karein Aalam-e-Madhoshi mein,
Log kehte hain hum ko KHUDA yaad nahi...!!!
 
  • Like
Reactions: laiqueansari

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Wo bulayen to kya tamasha ho,
Hum na jayen to kya tamasha ho ,
Ye kinaron se khailnay walay
Doob jayen to kya tamasha ho,
Banda-parwar! Jo hum pe guzri hay,
Ham batayen to kya tamasha ho ,
Aaj hum bhi teri wafaon par,
Muskurayen to kya tamasha ho ,
Teri surat jo Ittefaq say hum,
Bhool jayen to kya tamasha ho,
Waqt ki chand sa'atein 'Saghir'
Laut ayen to kya tamasha ho...!!!!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Daman-e-Chaak ko jo dekha to Mila Eid ka Chaand,
Apni tasveer kahan bhool gaya eid ka chaand,
Un kay abroo-e-khamida ki Tarah Teekha hay,
Apni aankhon mein Bari dair chubha eid ka chaand,
Janay kyun aap kay Rukhsar Mehek uthtay hain,
Jab kabhi kaan mein chupkay sy kaha eid ka chaand,
Door wiraan baseray mein diya ho jaisay,
Gham ki diwar say dekha to laga eid ka chaand,
Lay Kay Halaat kay sehraaon mein aa jata hay,
Aaj bhi khuld ki rangeen fiza eid ka chaand,
Talkhiyaa'n Barh Gai'n Jab Zeest Kay Pemanay May,
Ghool Kay dad Kay maaroo'n nay piya eid ka chaand,
Chishm To Was'at-e-Aflaak Khoi Saghir,
Dil nay aik aur jaga Dhoond Liya Eid Ka Chaand...!!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Hai duaa yaad magar harf-e-duaa yaad nahiin
mere naghmaat ko andaaz-e-navaa yaad nahiin
main ne palakon se dar-e-yaar pe dastak dii hai
main vo saahil huun jise ko_ii sadaa yaad nahiin
main ne jin ke liye raahon mein bichhayaa thaa lahuu
ham se kahate hain vahii ahad-e-vafaa yaad nahiin
kaise bhar aaiin sar-e-shaam kisii kii aankhen
kaise tharraae charaaGon kii ziyaa yaad nahiin
sirf dhundhalaa_ii sitaaron kii chamak dekhii hai
kab huaa kaun huaa kis se Khafaa yaad nahiin
zindagii jabr-e-musalasal kii tarah kaTatii hai
jaane kis jurm kii paa_ii hai sazaa yaad nahiin
aao ik sajdaa karen aalam-e-madhahoshii mein
kahate hain ke "Sagar" ko Khudaa yaad nahiin
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Teri dunya mein ya Rab Zeest kay Samaan jaltay hain,
Fareb-e-zindagi ki Aag mein insan jalte hain ,
Dilon mein Azmat-e-Tauhid k dipak fasurda hain,
Jabinon Par Riya-o-Kibr kay saman jaltay hain,
Hawas ki baryabi hay khird-mandon ki Mehfil mein,
Ro Pehli Tikliyon ki Oot mein Eman jaltay hain ,
Hawadis Raqs-farma hain qayamat muskurati hay,
Suna hay Nakhuda kay nam se Toofan jaltay hain ,
Shagoofay Jhooltay hain is chaman mein Bhook kay Jhoolay,
Baharoo'n mein nasheman to beher unwan Jaltay hain ,
Kahi'n Pazeb ki chan-chan mein Majboori tarapti hay,
Riya dam Tor Deeti hay sunehray Daan Jaltay hain ,
Manao Jashn-e-may-noshi, Bikhero zulf-e-may-khana,
Ibadat say to Saghir Dahar kay Shaitan Jaltay hain...!!!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Mehfilain Lut gai'n, jazbat nay dam Tor diya,
Saaz khamosh hain, Naghmaat nay dam Tor diya,
Har Musarat Gham-e-deroz ka unwaan bani ,
Waqt ki Goud may lamhaat nay dam Tor diya,
An gint mehfilain mehroom-e-chiragha'n hain abhi ,
Kon kahta hay Keh zulmaat nay dam Tor diya,
Aaj phir bujh gay jal jal kay umeedon kay chiragh ,
Aaj phir taaron bhari Raat nay dam Tor diya,
Jin say afsana-e-hasti main tasalsul tha kabhi ,
Unn Muhabbat ki Rawayaat nay dam Tor diya,
Jhilmilaate huwe ashkon ki lari toot gai,
Jagmagaati hui barsaat nay dam Tor diya,
Haye Aadaab-e-Muhabbat Kay Taqazay Saaghir,
LAB hilay or SHIKAYAT nay dam Tor diya...!!!!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
bargashta-e-yazdan se kuch bhul hui hai
bhatke hue insan se kuch bhul hui hai
ta hadd-e-nazar shole hi shole hain chaman mein
phulon k nigehban se kuch bhul hui hai
jis ahad mein lut jaye faqiron ki kamai
us ahad ke sultan se kuch bhul hui hai
hanste hain meri surat-e-maftun pe shagufe
mere dil-e-nadan se kuch bhul hui hai
huron ki talab aur mai-o-sagar se hai nafrat
zahid tere irfan se kuch bhul hui hai
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
bat phulon ki suna karte the
ham kabhi sher kaha karte the
mashalen leke tumhare gam ki
ham andheron mein chala karte the
ab kahan aisi tabiyat wale
chot kha kar jo dua karte the
tark-e-ehsas-e-muhabbat mushkil
han magar ahl-e-wafa karte the
bikhri bikhri zulfon wale
qafile rok liya karte the
aj gulshan mein shaguf-e-sagar
shikawe bad-e-saba se karte the
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
chupaye dil mein gamon ka jahan baithe hain
tumhari bazm mein ham bezaban baithe hain
ye aur bat k manzil pe ham pahunch na sake
magar ye kam hai k rahon ko chan baithe hain
fugan hai dard hai soz-o-firaq-o-dag-e-alam
abhi to ghar mein bahut mehrban baithe hain
ab aur gardish-e-taqdir kya satayegi
luta k ishq mein nam-o-nishan baithe hain
wo ek lafz-e-mohabbat hi dil ka dushman hai
jise shariat-e-ehsas man baithe hain
hai maikadon ki baharon se dosti ‘Sagar’
baraye had-e-yaqin-o-guman baithe hain
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
dukh dard ki saugat hai dunya teri kya hai
ashkon se bhari rat hai dunya teri kya hai
kuch log yahan nur-e-sahar dhundh rahe hain
tarik si ik rat hai dunya teri kya hai
paband-e-mashiyat hai tanaffus bhi nazar bhi
ik jazya-e-lamhat hai dunya teri kya hai
taqdir k chehre ki shikan dekh raha hun
aina-e-halat hai dunya teri kya hai
majruh-e-taqaddus hai taqaddus ki haqiqat
rudad-e-kharabat hai dunya teri kya hai
“Sagar” mein chalkate hain samawat k israr
saqi ki karamt hai dunya teri kya hai
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahin
marmari taron bhari raton mein kya hota nahin
ji mein ata hai ulat dein un k chehre se naqab
hausla karte hain lekin hausla hota nahin
shama jis ki abru par jan de de jhum kar
wo patanga jal to jata hai fana hota nahin
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
puuchaa kisii ne haal kisii kaa to ro diye
paanii meN aks chaaNd kaa dekhaa to ro diye
naGhmaa kisii ne saaz par chheRaa to ro diye
Ghunchaa kisii ne shaaKh se toRaa to ro diye
uRtaa hu’aa Ghubaar sar-e-raah dekh kar
anjaam ham ne ishq kaa sochaa to ro diye
baadal fizaa meN aap kii tasviir ban gaye
saayaa ko’ii Khayaal se guzraa to ro diye
rang-e-shafaq se aag shiGhuufoN meN lag gayii
“Saghar” hamaare haath se chhalkaa to ro diye
 
Top