pari ne hamse dua karne k liye kaha aur hame bohot khushi huyi k hame itni izzat dhi unhone aur sath hi sare TM ne bhi aur aage bhi aise hi pyar ki umeed hai
ham Allah k dar pe apne toote phoote alfazon me dil ki gehrion se qabooliat ki umeed se dua karte hain
Alhamdulillahi rabbil aalameen arrahmaan nirraheem maliki yomiddeen iyyaka nabudu wa iyyaka nastaeen
ya arhamar rahimeen ya akramul akrameen
aye Allah tu malik hai tu hakim hai tu khaliq hai tu raziq tu ek hai tune sari kayenat ko banaya hai zarra zarra tera mohtaaj hai tu kisi ka mohtaj nahi aye Allah tu har cheez pe qadeer hai
aye Allah hamare gunahon ko maaf farma hamare khataon ko dar guzar farma hamara zarra zarra gunahon me dooba hua hai lekin teri rehmat k samne hamare gunah kuch bhi nahi ham par raham karam ka maamla aata farma hame shirk se bacha bidat se bacha aye Allah ham deen ki ujale me raat k andhere me jaan kar anjane me jo gunah kiye hain unhe maaf farma aye raheem kareem aye raham karam karne wale maul ham par raham karam ka maamla aata farma
aye Allah yahan TM par ham sab ne milkar Quran ko khatam kiya hai aur hamari niyyat khalis teri ibadat teri raza hai hamare is padhne ko qabool farma aye Allah jitne logon isme hissa liya hai unko iska ajar aata farma jitne logon inka sath diya hai unko bhi ajar aata farma aye Allah TM par jitne bhi loog tere deen k khatir apni taqat k mutabik jo kuch bhi kar rahe hain usko qabool farma aur hamse jo choti galtian hojati hain anjane me usse daguzar farma aye Allah TM ko sar bulandi naseeb farma hame aur mehnat se aur lagan se iske zariye aur deen ki khidamat karna naseeb farma
aye Allah is ramzan me hamne jitne bhi toote phoote amaal kiye hain usse qabool farma jitni bhi lagzishen huyi hain unhe maaf farma aye Allah hame lailatul Qadr naseeb farma usme ibadat naseeb farma
aye Allah aaj duniya me har jageh musalmaan zaleel o khwar hai har jageh bata hua hai phir bhi hamari ankhen nahi khulti aye Allah hamari ankhen khol de ham sab ko ek aur neik bana aye Allah hame tere Habeeb alayhisalam k naqshe kadam par chalne ki taufeeq aata farma aye Allah ittehad o ittefaq naseeb farma hamare halat ko durust farma khaas kar aaj Pakistan k halat bohot hi nazuk hain aye Allah tu raham nahi karega to ham kahan jayenge tere dar par aaye hain teri chokhat par aaye hain tu hamara data hai tu hi hamra dastageer hai tu hi sunne wala hai tujhi se ham maangte hain ham par raham karam ka maamla aata farma hamari duaon ko qabool farma
aye Allah hame jab tak zinda rakh islam par zinda rakh jab maut de to imaan ki halat me maut de
aye Allah hamari duaon ko mahez apne fazl o karam se apne rahmo karam se qabool farma Aameen ya rabbul aalameen
subhana rabbika rabbil izzati amma yasifoon wasalamun alal mursaleena walhamdulillahi rabbil aalameen
wa sallellahu nabiana Mohammad wa aala aalihi wa asha bi hi ajmaeen
Allahumma salli aala Mohammad wa aala aali Mohammad kama sallaita aala ibrahima wa aala aali ibrahima innaka hameedum majeed
Allahumma barik aala Mohammad wa aala aali Mohammad kama barakta aala ibrahima wa aala aali ibrahima innaka hameedum majeed
This site uses cookies to help personalise content, tailor your experience and to keep you logged in if you register.
By continuing to use this site, you are consenting to our use of cookies.