poetry

  • Work-from-home
Jun 26, 2010
25
17
503
reza reza kanch k herf
dheery zara dheery
dheery bht dheery
roh ki gehraion mein pewasat ho rehy hein
bojhal num andhery
kuhr mein lipti sham
umeed ky jugnoo nigal rehi hy
sarad yakh lamhon ki banhain
akaas beil ki tarah
dheery dheery
badan k reshon ko jakarti ja rehi hain
palkon say lipti yaqeen ki jhilmilati loa
panion ky bhanwar mein dobti ja rehi hy
aiey sham-e-tanhaiey
keisay phir
jugnooan ka entsaab
tery peshani kay naam karon
keisay phir
chand pe titlion ky paron say kahanian likhon
phir bhi aiey unwan-e-zindagi
fursat mili to loton gi tery taraf
dheery bht dheery
dheery zara.....................{(book)}
 
Jun 26, 2010
25
17
503
yyeh Nelli of course

---------- Post added at 11:49 PM ---------- Previous post was at 11:47 PM ----------

thanks 419

---------- Post added at 11:50 PM ---------- Previous post was at 11:49 PM ----------

aray thx jee

---------- Post added 06-30-2010 at 12:10 AM ---------- Previous post was 06-29-2010 at 11:50 PM ----------

tery honton ki udasi ko dhery say chura lon
tery ansoan ko apni poron s ay choo lon

hathon ki larzashon ko hathon main thal kr
baton say risti mayosion ko tanha kar don

andheron sy bany rishty ko palkon sy chura kr
kalion ko titlion ko is safr ka razdan kar don

samaton ki rah guzar tery rasty say mila kar
aitbaar jy perahan say lafzon ko muatbr kr don
fozia
 
Top