Poetry by topic (Zindagi)

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Assalam O Alaikum Frnds....:)

Aaj main aapke liye ek aur dilchusp shayri game le ke hazir huwi hoon...


Ye game hai Poetry By Topics ... {(laire)}

Is game me aapko her week ek topic diya jayga....aur us topic pe aapko koi sher ya poetry yaha post karni hogi...ek member ek hi poetry ya sher yaha post ker sakta hai....{(order)}

ek week bad RR posted poetries me se ek select karengi aur use best poetry announce karengi... v{()|aw

us poetry ke post kerne wale member ko RR ki taraf se ye khoobsoorat flowers as award diye jayenge...{(goodluck)}



Umeed karti hoon ke ye game aaplogo ko pasand aayega aur aap sab is game me participate kiya karenge....:)

her monday ko main ek topic diya karoongi aur friday tak members yaha posting karenge aur final result sunday ko RR announce karengi...:)

Is week ka topic hai...

:)... Zindagi ...:)

as a example main ek sher post ker rahi hoon... :)


Zindagi zindadili ka naam hai
Murda dil kya khak jiya karte hain

umeed hai frnds ke aap sab ko samajh aa gaya hoga ke is game me kya karna hai...:)
so let's start...



Sare members monday - friday tak yaha sharing kar sakte hain & sunday ko result announce ker diya jayega

Note - Agar koi member yaha poetry image post karna chahta hai to use image me apna user name & tafreehmela ka naam mention karna hoga warna image accept nahi ki jaygi...{(order)}


 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Walaikum Assalam buhat khoob ammie nice topic Inshallah kuch share karon ga {(yahoo12)}
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
inshaAllah waqt se pehle post karne ki koshish karenge
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
gham_e_zindagi tairi rah mein
shab_e_aarzoo tairi chah mein
jo ujar gya wo basa nhi
jo bichar gya wo mila nhi
jo dil_o_nazar ka saroor tha
maire paas reh k bhi door tha
wohi ik gulaab umeed ka
mairi shaakh_e_jaan pe khila nhi
maira humsafar jo ajeeb tha
to ajeeb tar hoon main aap bhi
usse manzilon ki khabar nhi
muje raaston ka pata nhi
pas_e_karwan sar_e_reh guzar
main hara hoon to is liye
k qadam to sab se mila liye
maira dil kisi se mila nhi

 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wssalm u aliakum
wahh..umdah sharing ML and hoor{(ok)}
 

*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
walikum salam
:)
nice topic amreen sis
:-bd
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
hmmmmmmmm...nice
hum b jald kuch share karen gay baccha...........
 
  • Like
Reactions: Amreen

Khwahish

Super Star
Jul 9, 2010
10,367
2,827
1,313
28
Peshawar


Meri zindagi....


Zindagi Is Kadar Hamko Rulati Rahi
Zindagi Is Kadar Hamko Rulati Rahi
Har Khushi Paas Aane Se Pehle Dur Jaati Rahi
Gham Se Naata Hai Shayad Apna Pichle Janam Se
Tabhi To Har Khushi Gham Mein Badal Jaati Rahi
Chaha Jo Kuch Bhi Hamne Na Mila Hamko
Ek Adhoori Si Chahat Ban Ke Reh Gaya Sab Kuch
Ki Koshish Kabhi Hamne Jeetne Ki Kuch Bhi To
Hamari Hi Kismat Aa Kar Hamein Harati Rahi
Lad Bhi Lete Ham Mukadar Se Gar Koi Apna Hota
Aur Badal Bhi Dete Ham Shayad Apni Taqdeer Ko
Par Bhagte Rahe Jis Manzil Ko Paane Ki Khaatir
Woh Manzil Bhi Hamse Door Jaati Rahi
Aisa Nahi Ke Koi Nahi Tha Hamara Yahan
Har Rishta Hai Banaya Aur Apnaya Hamne
Aur Har Rishte Ki Khaatir Khud Ko Bhi Hai Mitaya Hamne
Par Shayad Kachchi Reh Jaati Thi Gaanth Har Rishte Ki
Jo Thoda Sa Kheenchne Pe Hi Khul Jaati Rahi
Bahut Roye Hai Ham Hasne Ke Baad Har Waqt
Aur Behte Bhi Rahe Hai Yeh Bewafa Aansu In Aankhon Se
Par Ek Yeh Hansi Shayad Wafadar Hai Apni
Jo Has Has Ke Har Gham Ko Chhupaati Rahi
[FONT=Verdana, Arial, Helvetica, sans-serif]
Jo Has Has Ke Har Gham Ko Chhupaati Rahi...



[/FONT]
 
  • Like
Reactions: Amreen

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
gham_e_zindagi tairi rah mein
shab_e_aarzoo tairi chah mein
jo ujar gya wo basa nhi
jo bichar gya wo mila nhi
jo dil_o_nazar ka saroor tha
maire paas reh k bhi door tha
wohi ik gulaab umeed ka
mairi shaakh_e_jaan pe khila nhi
maira humsafar jo ajeeb tha
to ajeeb tar hoon main aap bhi
usse manzilon ki khabar nhi
muje raaston ka pata nhi
pas_e_karwan sar_e_reh guzar
main hara hoon to is liye
k qadam to sab se mila liye
maira dil kisi se mila nhi

Masha Allah hoor very nice sharing...best of luck dear... :)
 
Status
Not open for further replies.
Top