Poetry by topic ( Husn )

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Assalam O Alaikum Frnds....:)

Aaj main aapke liye ek aur dilchusp shayri game le ke hazir huwi hoon...


Ye game hai Poetry By Topics ... {(laire)}

Is game me aapko her week ek topic diya jayga....aur us topic pe aapko koi sher ya poetry yaha post karni hogi...ek member ek hi poetry ya sher yaha post ker sakta hai....{(order)}

ek week bad RR posted poetries me se ek select karengi aur use best poetry announce karengi... v{()|aw

us poetry ke post kerne wale member ko RR ki taraf se ye khoobsoorat Trophy as award di jayegi...{(goodluck)}



Umeed karti hoon ke ye game aaplogo ko pasand aayega aur aap sab is game me participate kiya karenge....:)

her monday ko main ek topic diya karoongi aur friday tak members yaha posting karenge aur final result sunday ko RR announce karengi...:)

Is week ka topic hai...

:)... HUSN...:)

as a example main ek sher post ker rahi hoon... :)

Nazar is HUSN per thehrey to aakhir kis tarah thehrey
Kabhi jo phool ban jaye kabhi rukhsar ho jaye


umeed hai frnds ke aap sab ko samajh aa gaya hoga ke is game me kya karna hai...:)
so let's start...



Sare members monday - friday tak yaha sharing kar sakte hain & sunday ko result announce ker diya jayega

Note - Agar koi member yaha poetry image post karna chahta hai to use image me apna user name & tafreehmela ka naam mention karna hoga warna image accept nahi ki jaygi...{(order)}


 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
masha Allah acha topic hai
waqt se pehle post karne ki koshish karenge inshaAllah
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Walaikum Assalam amreen.
mashaAllah bahot umda topic hai husn.
ye lijiye husn par meri ek choti si koshish.
umeed k sabko pasand aaye.

khuda se husn ne

khuda se husn ne ek roz ye sawal kia
jahan me kyun na mujhe tuney la zawal kia


mila jawab k tasveer khaana hai dunya
shab e daraz adm ka fasana hai dunya


hui hai rung e taghauur se jab namood uski
wahi haseen hai haqeeqat la zawaal hai jiski

kahin qareeb tha ye guftagu qamar ne suni
falak pe aam hui akhtar e sahar ne suni

sahar ne taare se sunkar sunayi shabnam ko
falak ne baat batadi zameen k mahrum ko


bhar aaye phool k aanso payam e shabnam se
kali ka nanha sa dil qoon hogaya ghum se

chaman se rota hua mausam e bahaar gaya
shabaab sair ko aaya tha sogwaar gaya.


(
by:allama iqbal rahimahumulla)
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Tere Husn Ki Kya Tareef Karun kuch kehte hue bhi darta hun............................
{(popcorn)}{(popcorn)}{(popcorn)}
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Saviouuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuu
abb har thread me Vanda mat kiya karen aap.......
warna mei bhi phir zabardst nick rakhungi apka{(cray)}{(cray)}
 

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
my Sharing on topic husn @

Aslam-O-aliekum TM ..

here my sharing , hope u like it ..{(thx)}


Wasta Husn Se Ya Shiddat-e-Jazbat Se Kya?



Wasta Husn se Ya shidat-e-jazbat se kia
Ishq ko teray Qabelay Ya meri zaat se kia

Meri masroof tabiyat bi kahan rook saki ..
wo yad ata hai usko meray din raat se kia

Pyas ko dekhun ya karun fikar k ghar kacha hai
soch men hn k mera rishta hai barsat se kia ....

Jisko kadsha ho mar jayen gay bhooke bachay
Sochiye Usko kisi or k Halaat se kia

Aj use fikar ke kia log kahen gay Mohsin
kal jo kehta tha mje Rasm-o-riwayat se kia .........
 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
Husn Ko Chand Javaani Ko Kanwal Kehte Hain
Unki Surat Nazar Aaye To Ghazal Kehte Hain

Woh Tere Husn Ki Qeemat Se Nahi Hain Waaqif
Pankhari Ko Jo Tere Lab Ka Badal Kehte Hain

Uff Woh MarMar Se Taraasha Hoa Shaffaaf Badan
Dekhne Waale Jise Taaj Mehel Kehte Hain

Par Gayin Paaon Main Taqdeer Ki Zanjeer To Kya
Hum To Isko Bhi Teri Zulf Ka Ball Kehte Hain
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Jab guftgoo ke imkaan bante hain
jaane kitne armaan bante hain

chhat hai waha(n) na aangan koi
kaise – kaise makaan bante hain

guzraa hai kya haadisa koi
phir bayaan pe bayaan bante hain

husn ghazal ka naam tumhare
ishq se jism-o-jaan bante hain

haule – haule utthti hai lehar
lamha – lamha toofaan bante hain

ab siyaasat ke sanamkhano mein
kaise–kaise bhagwaan bante hain

bhool jate hain wo ahad apna
jab markaj ke mehmaan bante hain

mast rahte hain jo mad mein sadaa
ghar mein unke toofan bante hain

affsos ! Ki ab ahl – e - siyaasat
adeebo(n) ke mehmaan bante hain

jab neend hame(n) aati hai zaraa
mulaqaat ke imkaan bante hain

hame(n) bhi wahi pasad hai jo
rasoi mein pakwaan bante hain

naam ghazal "ahsaas" hai uska
gham se jo guldaan bante hain
 

Khwahish

Super Star
Jul 9, 2010
10,367
2,827
1,313
28
Peshawar
Husn ke zer e baar ho ke na ho!!
Ab mere dil me pyar ho ke na ho
Marg e amboh dekh aate hain!!!!
Aankh phir ashkbaar ho ke na ho
Karb e paiham se hogaya pat_thar
Ab ye seenaa figaar ho ke na ho
Phir yahi rut ho ain mumkin hai
Par tera intezaar ho ke na ho
Shakh e zatoon ke amiN hum hain
Shahr me ishtehaar ho ke na ho
Daagh e dil hum dikhaye jate hain
Us pe hai _ Sharmsaar ho ke na ho
She’r mere sanbhal kar rakhna!
Ab ghazal mushkbar ho ke na ho
 

farhan memon

TM Star
Aug 18, 2011
2,121
377
233
41
Karachi
Uske Husn Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Koi Sehzadi Zamee Par Utar Aayi Hai
Ae Banane Wale Lagta Jaise
Koi Sangmarmar Ki Murat Tune Banayi Hai


Uske Zulafo Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Jaise Din Dhalte Hi Chhayi Andhyari Hai
Ho Chali Hai Pawan Bhi Pagal
Uski Zulaf Lehar-Do Leharaayi Hai


Aankhein Uski Ya Mehkashi K Pyaale
Dekhkar Hi Hum Pe Khumari Si Chhayi Hai
Honth Kahu Ya Phoolo Ki Paankhein
Jiski Khushboo Ne Hamari Saaso Ko Mehkayi Hai
Abar Kahu Uske Gaalo Ko Main
Dhoodh Se Jaise Wo Nahayi Hai
Chand Kahu Fir Bhi Kam Hoga
Aasma K Nakshtro Mein Wo Hi Jag-Magayi Hai


Uske Husn Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Koi Sehzadi Zamee Par Utar Aayi Hai
Ae Banane Wale Lagta Jaise
Koi Sangmarmar Ki Murat Tune Banayi Hai
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
kaha hain baqi frnds....jo jo bache huwe hain jaldi jaldi sharing karen waqt kam hai.....:)
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
topic close karne ka waqt aa gaya hai...Insha Allah sunday ko result announce kar doongi...:)
 
Status
Not open for further replies.
Top