Poetry by topic (Chaand)

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
assalam o alaikum doston
chaand k mauzu par ye rahi meri ek choti si koshish.umeed k pasand aaye


gaye baras ki eid ka din kiya acha tha
chand ko dekh ke uska chehra dekha tha


faza mein cactus ke lehje ki narmaahat thi
mausam apne rang mein faiz ka mesrah tha


Dua ke be-awaz, ulohi lamhoon mein
woh lamha bhi kitna dilkash lamha tha


haath utha ker jab Aankhoon hi hi aankhon me
uss ne mujh ko apne Rab se manga tha


Phir mere chehre ko haatoon mein le ker
kitne piyaar se mera matha chooma tha!


Hawa! kuch aj ki shab ka ahwaal suna
kiya woh apni chat per aj akeela tha?


ya koi mere jaisa saath tha, aur uss ne
chand ko dekh ke uss ka chehra dekha tha?

(
by: praveen shakir)

 
  • Like
Reactions: Amreen

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
assalam o alaikum doston
chaand k mauzu par ye rahi meri ek choti si koshish.umeed k pasand aaye


gaye baras ki eid ka din kiya acha tha
chand ko dekh ke uska chehra dekha tha


faza mein cactus ke lehje ki narmaahat thi
mausam apne rang mein faiz ka mesrah tha


Dua ke be-awaz, ulohi lamhoon mein
woh lamha bhi kitna dilkash lamha tha


haath utha ker jab Aankhoon hi hi aankhon me
uss ne mujh ko apne Rab se manga tha


Phir mere chehre ko haatoon mein le ker
kitne piyaar se mera matha chooma tha!


Hawa! kuch aj ki shab ka ahwaal suna
kiya woh apni chat per aj akeela tha?


ya koi mere jaisa saath tha, aur uss ne
chand ko dekh ke uss ka chehra dekha tha?

(
by: praveen shakir)


Wa Alaykum Assalam Wrwb :)

janab pehla page dekhen ye to ham share karchuke hain /:)
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
[h=6]Wo Chehra Chand Sa Chehra Jamale Aftabi He
Ke Gar Din Me Nazar Aye To Sooraj Doob Jata He

Wo Chehra Phul Sa Chehra Jo Ham Shakale Gulabi He
Ke Jis Dam Bi Nazar Aye Saman Bi Rooth Jata He

Tere Chehre Ki Husnat Ko Bayan Kese Kare FURQY
Ke Jab Kuch Likhna Chahe To Qalam Bi Toot Jata He
[/h]f7033cb099ee2db8dc7b64e.jpg
 
  • Like
Reactions: Amreen

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Chand bhi tanha hai, Meri tarah
Is virani raat mein, Qatil ki tarah.
Ankho mein neend nahi Aati
Bistar par para hoon, cheez ki tarah.
So gaya jag sara
Phir bhi jaag raha hoon, hawa ki tarah.
Dil ki Dhakane, Badhne lagi hai
Kahi tarapkar na toot jaye, Ghungro ki tarah.
Kitni mushkil hai zindgi
Phir bhi kat jayege, Jugnoo ki tarah.
Manzil jitni door hai,
Chahat bhi adhoori hai, Armano ki tarah.
Jitna khud ko samjha maine
Tanha tha, Tanha rah gaya, Khawish ki tarah
Zabardust sharing farhan...best of luck...:)
 

lavina

TM Star
Jun 14, 2009
1,580
780
113
USA
Chand Ki Justju Rahi Barson
Tou Meri Arzoo Rahi barson
Shab-e-Furqat Chali To Yeh Janaa
Mere Khwabon Mein Woh Rahe Barson
Mai Hi Unko Samajh Na Payi
Unse Yun Guftgu Rahi Barson
Jab Kabhi Bhi Wo Gulbadan Aaya
Mere Ghar Rang-o-Bu Rahi Barson
Aib Apne Kahan Chupa Leta
Woh Nazar Chaar-Su Rahi barson
Maut Ke Saaye Mein Bhi
Zindagi Ru-b-Ru Rahi Barson
 
  • Like
Reactions: Amreen

farhan memon

TM Star
Aug 18, 2011
2,121
377
233
41
Karachi
Aey Chand! Kch dair Zmen pe ana,
Aaj ki Shab UN k Ghr ko hai jana,
Nazuk sa Dil ha UN ka, Drwaza bare Pyar se khat'khatana
Poche agr Koi aaney ki wja, to ksi choti c Baat pe Uljhana
Yaad rkhna Jadoo hai UNki Baato main,
Wo lakh rokein mgr TUM lot ana
A chand kch der zamin pe ana.
 

Babar-Azam

"Be serious" - "I am wild"
TM Star
Jun 27, 2010
4,089
1,482
1,013
Abbottabad

hum to hain pardes mei, des mei nikla hoga chand
apni raat ki chat par kitna tanha hoga chand ho..

jin ankhon mei kajal ban kar tairi kali raat
un aankhon mei aanso ka ik katra hoga chand

raat ne aisa pech lagaya toti haath se Dor
angan wale neem mein jakar atka hoga chand

chand bina har din yun beeta jaise yug bethe
mere bina kis haal mein hoga, kaisa hoga chand


hum to hain pardes mei, des mei nikla hoga chand
apni raat ki chat par kitna tanha hoga chand ho..............


 
  • Like
Reactions: Amreen

farhan memon

TM Star
Aug 18, 2011
2,121
377
233
41
Karachi
dekhiyeh chand raat aai hai
sath khushian hazar laee hai


tum chaley aao aik lamhey ko
ham bhi manain ke eid aae hai


chaand bhia ya chand lamhon ko
jaisey tum ney jhalak dikhai hai


ham ne qismat ajeeb paee hai
Eid ka din hai aur judai hai


keh rahe hai hawa mujhy yasir!
us ne mehndi abhi lagaii hai
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India


phr chand khila,
phr raat thami,
phr dil nay kaha,
ik teri kami,
phr yad k jhonkhay mehak gye,
phr pagal armaan behak gye,
phr janat si lgti ha zamen,
phr dil nay kaha,
ik teri kami,
phr guzray lamhon ki baatien,
phr jaagi jaagi si raatien,
phr ther gyi palkon pe nami,
phr dil nay kaha,
ik teri kami..
























Masha Allah desi bohat hi umdah sharing...best of luck...:)
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Chand Ki Justju Rahi Barson
Tou Meri Arzoo Rahi barson
Shab-e-Furqat Chali To Yeh Janaa
Mere Khwabon Mein Woh Rahe Barson
Mai Hi Unko Samajh Na Payi
Unse Yun Guftgu Rahi Barson
Jab Kabhi Bhi Wo Gulbadan Aaya
Mere Ghar Rang-o-Bu Rahi Barson
Aib Apne Kahan Chupa Leta
Woh Nazar Chaar-Su Rahi barson
Maut Ke Saaye Mein Bhi
Zindagi Ru-b-Ru Rahi Barson
bohat khoob lavina sisso...kya bat hai...Best of luck...:)
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India

hum to hain pardes mei, des mei nikla hoga chand
apni raat ki chat par kitna tanha hoga chand ho..

jin ankhon mei kajal ban kar tairi kali raat
un aankhon mei aanso ka ik katra hoga chand

raat ne aisa pech lagaya toti haath se Dor
angan wale neem mein jakar atka hoga chand

chand bina har din yun beeta jaise yug bethe
mere bina kis haal mein hoga, kaisa hoga chand


hum to hain pardes mei, des mei nikla hoga chand
apni raat ki chat par kitna tanha hoga chand ho..............


very heart touching sharing babar bhai...lagta hai ye aapke hi dil ki awaz hai...best of luck...:)
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
assalam o alaikum doston
chaand k mauzu par ye rahi meri ek choti si koshish.umeed k pasand aaye


gaye baras ki eid ka din kiya acha tha
chand ko dekh ke uska chehra dekha tha


faza mein cactus ke lehje ki narmaahat thi
mausam apne rang mein faiz ka mesrah tha


Dua ke be-awaz, ulohi lamhoon mein
woh lamha bhi kitna dilkash lamha tha


haath utha ker jab Aankhoon hi hi aankhon me
uss ne mujh ko apne Rab se manga tha


Phir mere chehre ko haatoon mein le ker
kitne piyaar se mera matha chooma tha!


Hawa! kuch aj ki shab ka ahwaal suna
kiya woh apni chat per aj akeela tha?


ya koi mere jaisa saath tha, aur uss ne
chand ko dekh ke uss ka chehra dekha tha?

(
by: praveen shakir)

pasand to bohat aayi aapki sharing arshad bhai per afsos ye nasir bhai pehle hi share kar chuke hain to aap plzz koi aur poetry share kijiye...:)
 
  • Like
Reactions: Aara'af
Status
Not open for further replies.
Top