Main actually aisa e kch socha tha jysa fari darling ny share kiya
bt fahadd bro & fari donon ki nazam thi so ab main ghazal likh k share kr rhi hun
achi na lagy toh bataana
agr apna hashar nashar krwana hy toh
Mujhy lahu pr lahu-luhan sy acha word nii suja
Sharm-o-haya ky pardy mein lipti gairat lahu-luhan hy ,
Tery ghar ky kony mein simti pari izzat lahu-luhan hy ,
Kahin nanhe-paudy pr sy hy paed ka saya uth gaya ,
Kahin be-zubaan bachy ki masumiyat lahu-luhan hy ,
Jhoot ko chupany ki mijalen pakar rahin hyn zor ,
Aaj sach kehny ki himmat lahu-luhan hy ,
Kahin daulat ki hawis , Koi bhuka shohrat ka ,
Ae shehr-e-khwahish teri badolat insaniyat lahu-luhan hy ,
Hasad sy chalni hy har kaleja yahan ,
Aaj bhai-chary ki riwayat lahu-luhan hy ,
Khaak-nasheenon mein hy akad chit'tanon ki si ,
Qaum ko sudharny chali hakumat ' lahu-luhan hy ... !
[DOUBLEPOST=1361103343][/DOUBLEPOST]
Guneh-gari mein inteha kr chuka jo ,
Us musalman ki ibadat lahu-luhan hy ... !