My Ghazal For Khwahish

  • Work-from-home

Bird-Of-Paradise

TM ki Birdie
VIP
Aug 31, 2013
23,935
11,040
1,313
ώόήȡέŕĻάήȡ
Assalaamu alaikum TM doston aaj mein aap subke saath apni subse
taazi ghazal share kar raha hoon ye ghazal mene apni pyari si behna @khwahish
ke liye likhi hai INSHA'ALLAH ghazal subko pasand aayegi


A ghazal for my dearest sister Khwahish

Dost ho ehbaab ka khayal rakhti hai Uzma
sub ke saath achhe se baat karti hai Uzma


deendar dunyadar hayadaar hai tabhi
tamaam doston ke dil me basti hai Uzma


qurban jaayen hum inke adab adaab per
har baat ji ji karke suna karti hai Uzma


hain khush inse saare ghar waale
man laga ke har waqt parhti hai Uzma


lagta hai khil hai sunehra ghulaab
jab kabhi be ikhtiyar hansti hai Uzma


ghour o fikar se man laga ke aksar
deeni baaton samajhti hai Uzma


sehat ilm o hidayat ise mile Aameen
khud bhi subke liye dua karti hai Uzma


is qadar milti julti hain humari baaten
mujhe to saggi behna lagti hai Uzma


har wo fard iski achaiy bayan karta hai
jisse ek lamhe ko bhi milti hai Uzma


sub saheliyan ise takti reh jati hain
ke rani si lagti hai jab sajti hai Uzma


***S_Chiragh***
lovely
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH
Top