Muqabla E Ghazal June 2009

  • Work-from-home

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
{(AOA)}

Umeed karta ho k aap Allah Paak k Fazl o Karam
se theek hongay.

aaj se Hum Ghazal Section
mayn ayk Muqabala shrow karnay ja rahay hayn
umeed kartay hayn k aap zaroor hissa layngay.

toh jiss word pe aapko ghazal share karni hay
woh lafaz hay

"Aankhayn"




Rules

1) Ayk member ayk hi ghazal share karay ga.

2) pehlay se share kiye gayee Ghazal muqabala mayn shamil nahi hongay.

3) Behas o Mubasa ki ijazat nahi hay.

4) Winner ka pata TM team ki turf say via poll kiya jayyega.

5) Muqabala ki akhiri tareekh 30/06/2009 hay.

6) Winner ka alaan 02nd July ku TM team ki taraf say kiya jaye ga aur surprising prize say nawaza jaye ga

Best of Luck of all participants
 

Entertainer

Senior Member
Jul 10, 2008
536
564
1,193
34
Ghazal

Ghazal


Jo DIL ko Be-kal rakhta he, Woh Chand Nahein Ek CHERA he,
Jo Sham-o-Sehar Tarapta he, Woh Phool Aisa Lehja he.

Ek Aahat he, Har Raste Par, Ek Dard sa he, ManziL ManziL,
Kiya Janiye Qis Khoj mein He, Kiya Kahiye Kon AkaiLa He.

Jin Shakhon Par Kuch Phool Khiley they, Chahat ke 100 Rang liye,
En Shakhon Par Ab Kuch Bhi Nahein, Ek Shookha Patta Thehra He.

Kine he Vaadey Khuwab huwey, Kitnay he Bandhan Toot gaye,
Aye DiL, Aye DiL, Be-Taab Na ho, Yeh Duniya he Yeh Duniya he.

Lout Aye Jane Waley to Yeh Samgho DiL ki Jeet Hui,
Warna to Akaili Ra'hon par kab Lout k Koi Aata he,

Us Paikar Naz ko Kon Kahey, Ek Khuwab he Jaagti Aankhon ka,
Woh Aankhein kiya Kuch Kehti hein, Ab kon kah
ey Sab Dhoka He.
 

goodfrndz

"A faithful friend is the medicine of life."
VIP
Aug 16, 2008
12,849
4,072
1,113
محبت والا
Mein us ki sookhi hui aaNkhooN pe kya yaqeen karta!!!!

mohabbatoN meiN bhi ka'ee madd-o-jazar deikhey heiN
saba ki dastak pe toot'tey huwey ghar deikhey heiN

meiN us ki sookhi hui aaNkhoN pe kya yaqeeN karta!
meiN ne thehrey huwey paani meiN bhaNwar deikhey heiN

pat'tey toot'tey heiN to shaakoN ko khooN rulaatey heiN
tum ne khizaaN meiN kabhi ghaor se shajar deikhey heiN!

kisi chaman ka mujhey koi nishaaN kaheeN na mila
haaN dasht ke saaey meiN ne ta'hadd-e-nazar deikhey heiN

meiN ne na thakney ka sabaq seekha hey parindoN se
wo jab miley heiN un ke paroN meiN safar deikhey heiN

nasha ho 'ishq' ka ya 'janm-o-janam' ke rishtoN ka
meiN ne dinoN meiN utartey ye asar deikhey heiN


 

Azaanyaal

Newbie
May 12, 2009
100
37
0
Kisi Ki AankhOon May KhwaB LikhnA Tou Soch Lena
Falak Pay Koi Sahaab Likhna Tou Soch Lena


Hain Roshni Kay Tamam Rasty Bujhy Bujhy Say
MusaFtOon Ko SaraaaB Likhna Tou Soch Lena


Main PaniYoOn Kay HusaaR May Hun Gumaa’n JazEera
Gar Iski BaBat KitaaB Likhna Tou Soch Lena


Main Dust-e-Furqat May Jalay KhaeMoOn Ko Dekhti Hun
Jhulastay Sahra Ko Aab Likhna Tou Soch Lena


Mery MuQaDder Ki Dhalti ShaKhOon Say Poch Lena
Badalti RuTt Ka AzaaB Likhna Tou Soch Lena


KhaLoOs-o-Maher-o-Wafa Ki RahaIn KaRri Hain
MuhaBbaToOn Ka NiSaaB Likhna Tou Soch Lena
 

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
kaha gaye bhai sub members, kiya howa kiya "Ankhon" ka topic koi ghazal nahi yaad, send your sharing to in participate in the contest,
only 03 days left then this thread will be closed after 30th of June' no post will be included in the contest.

So hurry up guy's.................
 

kingnomi

Doctor
Super Star
Jan 7, 2009
12,873
10,849
1,313
Owsum , Superb , Very Nice :P
Suna hoga bohat tum ne... kahiN aankhoN ki rim jhim ka
kahin palkoN ki shabnam ka
parha hoga bohat tumne.... kahiN lehjay ki barish ka
kahiN sagar ke aansoo ka
magar tum ne kabhi humdam...kahin daikhay kahin parkhay
kisi tehreer ke aansoo
mujhe teri judaai ne... yehi mairaaj bakhshi hai
ke main jo lafz likhta hoN....woh saray lafz rotay hain
ke main jo harf bunta hoN...woh saray bain kartay hain
mere sang is judaai main...mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain...meri tehreer ki lekin..
kabhi koi nahin sunta...mere alfaz ki siski
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil...usi taseer ke aansoo
kabhi daikho mere humdam
meri tehreer ke aansoo ..
 
  • Like
Reactions: Cinderella

zulqarnain

~ A Man Of Two Ages ~
VIP
Dec 28, 2008
8,004
2,473
113
31
Karachi
VERANIAN ACHI LGTI HAIN TANHAIYAN ACHI LGTI HAIN
MJKO GHAM-E-SANJOG KI KHAMOSHIYAN ACHI LGTI HAIN


FIZAON MAY URNA BADLON KO CHULAINA KHUABHI TO HY
TABIRAIN NA SAHI PR PANCHIYAN TO AZAD HI ACHI LGTI HAIN

BE RUSWAI KI RAVISH PR MOHABAT LAKH RUSWA SAHI
PHIR BHI GHAZLEIN TO MOHABAT KI ACHI LGTI HAIN

YOUN TO SAFAR TE HOTA HY ANDHERON MAY BHI
PR MANZIL KI TALASH MAY ROSHNIYAN ACHI LGTI HAIN

TM BIN JEENA MAHAL SAHI PR NA MUMKIN NAHI
K MJKO HIJR KI YE SHAMEIN BHI ACHI LGTI HAIN

BAT BAT PR TMHARA NAAM LENA OR PHIR SOCHNA
K TMSE JURRI TO YADIEN BHI ACHI LGTI HAIN

PAR JAE JB ZINDAGI PR UDASIYON KA QAHAT...................
TO KHUSHIYON KI MUSKURATI BARISHIEN ACHI LGTI HAIN

MAY YAHAN TU WAHAN YE KaiSA WAQT-E-ZINDAGI HY
MOHABAT MAY TO QAREEB QAREEB ZINDAGIYAN ACHI LGTI HAIN

DUNIYA DARI MAY IN AANKHO KO SANBHAL RKHNA
K MJKO YE MASOOM AANKHEN ACHI LGTI HAIN...



plz agar koi aur topic ho to batana mery pass Aankhoon per sirf 3 hi ghazlain hain...


 
  • Like
Reactions: Cinderella

misskarwa123

Newbie
Mar 10, 2009
286
207
0
35
myanmar
dil ki batain bata deti hain ,' aankhen'
dharkanon ko jaga deti hain ,'aankhen'
dil pe chalta nahi jaadoo ,chehron ka kabhi
dil ko to ,deewana bana deti hain, 'aankhen'
woh zubaan se izhaar nahi karte to na kare,
haal -e-dil suna deti hain, 'aankhen'
aata hai jab jawani ka daur ,to my love
sundar sapne ,basa deti hain ,'aankhen'
jab koi gum aata hai hum per,to b izhaar karti hain ,'aankhen
mana ke neend aati hai ,'aankhon ' me hi
magar kabhi kabhar ,neend ura deti hain ,'aankhen'
to dekha tumne mere yaar
khushi ho ya gum izhaar karti hain aankhen...............................


---------- Post added at 10:15 PM ---------- Previous post was at 09:53 PM ----------

dil ki batain bata deti hain ,' aankhen'
dharkanon ko jaga deti hain ,'aankhen'
dil pe chalta nahi jaadoo ,chehron ka kabhi
dil ko to ,deewana bana deti hain, 'aankhen'
woh zubaan se izhaar nahi karte to na kare,
haal -e-dil suna deti hain, 'aankhen'
aata hai jab jawani ka daur ,to my love
sundar sapne ,basa deti hain ,'aankhen'
jab koi gum aata hai hum per,to b izhaar karti hain ,'aankhen
mana ke neend aati hai ,'aankhon ' me hi
magar kabhi kabhar ,neend ura deti hain ,'aankhen'
to dekha tumne mere yaar
khushi ho ya gum izhaar karti hain aankhen...............................
 
  • Like
Reactions: Cinderella

yasir101

Newbie
May 4, 2009
1,272
2,010
0
36
GHAZAL

Mataa-e-Kausar o ZamZam k paimaane, teri aankhein
Farishton ko bana deti hain deewaane, teri aankhein


Jahaan-e-rang o bu uljha hua hai in k ddoron mein
Lagi hian kaakul-e-taqdeer suljhaane, teri aankhein


Ishaaron se dilon ko cheirr kar iqraar karti hain
Utthaati hain bahaar-e-nau k nazraane, teri aankhein


Wo deewaane zamaam-e-laala o gul thaam lete hain
Jinhein mansoob kar deti hain veeraane, teri aankhein


Shagoofon ko sharaaron ka machalta roop deti hain
Haqeeqat ko bana deti hain afsaane, teri aankhein
 
  • Like
Reactions: Cinderella
May 22, 2009
13
5
0
35
Ye Aankhein Teri Jaise Do Kanwal,
Kehti Hain Chupke Se Koi Gazal
Ye Aankhein Teri Aur Inki Gehrayee,
Sunaati Hai Jaise Ye Dastaan Koyiiiiiii

Ye Aankhein Teri Aur Inka Dard,
Dekha To Bas Tadap Uthe Hum
Ye Aankhein Teri, Yaan Paimaane Do,
Khuda Ke Hain, Ye Nazraane Do,
Ye Aankhein Teri, Koi Jaadoo Hain Inmein,
Dekhe To Bhool Jaayein Log Apne Raste,
Ye Aankhein Teri, Nahi In Jaisi Kahin,
Deewaana Kiya Hume In Aankhon Ne Teri

Der raat jab kisi ki yaad sataaye…
thandi hava jab zulfon ko sahlaaye..
karlo aankhein band aur so jao..
kya pata jiske hai khayaal…
wo khwabon mein aa jaaye
 
  • Like
Reactions: Cinderella

**King**

Newbie
Sep 6, 2009
2,244
645
0
35
nice ghazal

---------- Post added at 01:39 AM ---------- Previous post was at 01:38 AM ----------

nice ghazal {(baby2})
 
  • Like
Reactions: Cinderella
Sep 8, 2009
7,895
5,402
0
England-Deep Darkness
Sadion Say Jaagi Aankhon Ko Ek Baar Sulanay Aa Jao
Mana K Tum Ko Pyar Nahi Nafrat Hee Jatanay Aa Jao

Jis Mor Pay Hum Ko Chor Gaye Hum Baithay Ab Tak Soch Rahay
Kya Bhool Hui Kyou Juda Huway Bus Yeh Samjhanay Aa Jao

Har Lamha Teri Furqat Mein Hum Tarsay Rahay
Meri Manoo Tum Is Dil Ko Kuch Pal Behlanay Aa Jao
 
Top