Mujko Aisa Nazar Aane May Barri Dair Laggi!

  • Work-from-home

Manxil

BEiNg SiNglE is My ATtITUde
Super Star
May 7, 2012
13,831
2,488
913
Ishq ki joat jaganay mein bari dair lagi
Saye se dhoop bananay mein bari dair lagi

Main hoon is shehr mein takheer se aya hua shakhs
Mujh ko aik aur zamanay mein bari dair lagi

Yeh jo mujh pe kisi apnay ka guman hota hai
Mujh ko aesa nazar aanay mein bari dair lagi

Ek sada aai jharokay say keh tum kesay ho
Phir mujhay laut ke janay mein bari dair lagi

Bolta hoon to meray hont jhulas jatay hain
Us ko yeh baat batanay mein bari dair lagi

Main sar e khak koi pairr nahi tha Tabish
Is liye paoon jamanay mein bari dair lagi

@Shizu @whiteros @h@!der @Rubi @Fanii @Manxil
Alaa
 
Top