Mujhe kabhi tanha hone nahin dete
teri yaadein apna kaam dikhate hain
nasha e sharaab ki unhein zarurat nahin
jo khud ko har waqt ashk pilate hain
bach ke jaayen bhi to kis simt hum ke
khwab e ajal mein bhi tujhe paate hain
mar gaye tamaam nibhaane wale yaaron
ab loug bas waade torne ko karwate hain
use lagta hai mujhe dard nahin hota kyun
keuse ehsaas e dard hum nahin karate hain
jise khud dars e bardasht diya tha hum ne
ab woh humein lazzat e dard batate hain
un se to bura ab apna haal hai ChiragH
jo jaag kar humein raat bhar jalate hain
***S_ChiragH***
teri yaadein apna kaam dikhate hain
nasha e sharaab ki unhein zarurat nahin
jo khud ko har waqt ashk pilate hain
bach ke jaayen bhi to kis simt hum ke
khwab e ajal mein bhi tujhe paate hain
mar gaye tamaam nibhaane wale yaaron
ab loug bas waade torne ko karwate hain
use lagta hai mujhe dard nahin hota kyun
keuse ehsaas e dard hum nahin karate hain
jise khud dars e bardasht diya tha hum ne
ab woh humein lazzat e dard batate hain
un se to bura ab apna haal hai ChiragH
jo jaag kar humein raat bhar jalate hain
***S_ChiragH***