Mohabbat - Hoshmandi Ya Baywaqoofi

  • Work-from-home

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Assalaam-O-alaikum

Bohat hi khoobsurati say aap nay Mohabbat kay taqaazay aur Mohabbat kay stages hum say share kiye, aur point-wise explanation bhi bohat hi achay andaaz say kii...

Aap kii baat ka nichouR yeh hay kay 'Hum apnay har amaal main srif iss baat ko daakhil kardain kay ALLAH SWT humain dekh raha hay aur agar hum uss Rab ki razaa chahtay hain tou iss kaam ko kaisay karain kay humari dunya bhi sanwaar jaayay aur humari aakhirat bhi kharab na ho'

Zindagi ka maqsad, TAQWA hay aur yehi taqwa hay jo ALLAH kay qareeb aur Jannat kay husool main madad karta hay!

Jazach ALLAH Khair for presenting your thoughts and making our view even more clear.. khush rahyeh.

Here is my explanation. I will try my best to make it simple and short. This could not be in response of written article. A voice of me . Random feelings , Please consider.

1- Hum sab ki zindge mukhtalif hy, Paida honay k baad say hum sab say pehli muhabbat apni family sy kerna shoro ker daitay hyn; waqt k sath jab humain shaoor ata hy tu sath sath duniya say b muhbbat shoro ho jati.

2- Phir zindge ka aik stage ata hy jab hum aik Opposite gender say muhabbat kerna shoro ker daitay hyn.Yai muhabbat kisi tareef k layq nhe . ab yai muhabbat school dour say shoro hoti ajkal k dour mai . Or iss muhabbat ki talash shahdi honay tak sab ko raihti hy. Log martay hyn, Martay hyn. Kch shahdi kertay hyn, Kch bhag jatay hyn, Or kch nai muhabbat ki talash shoro ker daitay hyn... Kch ko dhoka tu kch ko kamyabi

3- Muslam ki zindge mai ALLAH ki muhbabat ki rehmat b hoti hy.. Ab ALLAH ki muhabbat ka aihsas tab hota hy Jab dil altoo faltoo ki muhbaat say khali ho. Or yai aihsas zindge k kisi b hissay mai ho sakta hy ya nhe b hota .

4- Sirf yai bol dainy say k "Mujhy ALLAH say Muhababt hy" . Mubbat ka haq adaa nhe ho sakta. ALLAH ki muhbbat ka darja koi Ammm nhe jo khali baton say haq adaa ho jay.

5- Allah ki Muhabbat ko mehsous kerayn. Or phir in return b Muhabbat kerayn. Yaqeen janay jitni khalis apki Muhabbat ALLAH say ho ge . Apki ki zindge ki fikar utni he kaam ho jay ge.

6- Ab jab ALLAH say Muhabbat shoro ho gai tu phir , Allah ka har hukaam sar ankhon per rkhain. Khushi khushi zindge ker har farz poora kerayn. Halal rishton ko aihmiyat dyn. Haram relations say bachain. Her kaam jo Haram hy us say bachain. Jab tak practical nhe ho ga , ap kamyab nhe hyn.

7- Balance of life .... Allah say muhbabat keny say ata hy. Allah ki muhbbat mai ap Haram say cut off hotay hyn. Ab sabar seekh jatay hyn. Ap logon ko maaf kertay hyn. zindge say apki epectation down ho jati hyn. or bohat kch i cannot explain more ...

8- Insan bilkul b farishta nhe. Gunah tu hotay hyn insan say. Bas Gunah k baad Maafi zarour mangayn. Apny zameer ko soulayn nhe.

Baqi oper article mai sab say best explanation hy. Meray pass bohat kch hy kaihnay ko . I dont know k meri baatyn samjh aynn ge ya nhe But i have to say one more thing. But will say later.

DUA : ALLAH hum sab k dil mai sy duniya ki Muhabbat nikal ker apni Muhabbat daal dyn... Hum sab ki dil ko paak ker dyn. Humain muhabbat kerna seekha dyn. Humara shoomar momineen mai kerayn. Marny say pehlay ,Kalama zarour naseeb fermyn. Ameen Sum Ameen
 
thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Assalaam-O-alaikum

Fatima aap nay bohat hi acha point raise kia hay aur main apni 'mehdood knowledge' ko mad-e-nazar rakhtay huway iss per kuch kehna chahoon ga.

1. Actually humara maashra aur humari young generation aik kashmakash ka shikaaar hay.... Hum apnay behan bhayion say apnay bachoon say yeh tou expect kartay hain kay woh parents ki pasand say shaadi karain, magar ghar main star plus, indian movies, hatta kay pakistani drama main bhi 'love affairs', 'mohabbat waali shaadiyan', 'aisay hi mohabbat say bharpoor jazbaati songs' waghaira dekhnay aur sunnay per koi pabandi nahin lagatay balkay khudh parents bhi apnay jawan bhai behnoon kay saath aisi films enjoy kartay hain.... aur jab laRka aisii ghaltii karay tou ussay NADAANI aur jab laRki kisi say mohabbar karnay ki himaaqat karay tou issay 'Khandaan ki naak katwana' samajhtay hain.

2. Dosra agar hum apnay ghar main iss baat ka ehtiyat kar hii lain magar jab bachay bahar paRhtay hain tou dostoon kay influence main aakar pehlay opposite gender say dosti aur phir mohabbat jaisay rishtay main mubtula ho jaatay hain... LaRkay aksar ek say ziayda hi mohabbat kar baith-tay hain... :) anyways, iss umar main yeh soch aur samajh nahin hotii kay humaray parents iss ko humaray liye pasand karain gain kay nahin infact laRkiyan iss baat ka andaza nahin laga saktii kay laRka uss say haqeeqi mohabbat karta hay aur uss ko izzat kay saath apni shareek-e-safar banaanay main serious hay aur aksar laRkay ki hawas ka nishaana bann jaatii hay... shayed yehi waja hay kay ghar waalay issay bandaami aur khaandaan ki izzat ko mitti main milaanay kay mutraadif samajhtay hain.

3. Kuch laRkay waqayii serious bhi hotay hain, magar aksar ghar waloon kay pressure main aakar laRkii kii achi khaasi zindagi ko ansoonyon ki nazar kar daitay hain.... aur agar woh stand lay lain tou laRki waalay iss rishtay ko bachii kay liye thiik nahin samajhtay...

Humari early islamic days main ISLAM nay laRka laRkii ki pasand ka khayal rakha hay, aur aisay bohat say waqaiya hain jahan Shabiya-e-Rasool SAW nay Shabi-e-rasool SAW say shaadi karnay say inkaar kia, aur bohat say qissay hain jahan baghair Maa Baap ki madakhlat kay aik dosray say adjwaji rishtay main munsalik huway.

Humain apni soch ko badalnay kii zaroorat hay, kiyonki kitni hii humari behnain aisii hain jo ziyada umar ki hochukii hain, kabhi achay rishtay ki talaash main, tou kabhi khadaani waqar ki paas main.... jiss tarah hum nay apni zindagi ko complicate kardiya hay ussi tarah aaj yeh MOHABBAT aur SHADI ka masla bhi bohat complicated hochuka hay.....

I am sure that we can make a difference by educating our parents, and elders at home by giving them a wise advice, please do not think that you are a better decision maker then your parents but its always worth to speak your opinion with valid reasons and I know our parents are so caring that they will listen to your opinion and will take a good decision which suits best for your betterment, kiyonki koi bhi waldain apnii aulaad ka bura nahin soch saktay... yeh humari soch hoti hay kay hum per zulm hua!!

May ALLAH light and guide our ways ameen.

Main baaqi members ko bhi tag kar raha hoon taakay woh bhi apnii soch say humain aagha karain @h@!der @Hoorain @Seap @NailaRubab @DesiGirl @Fanii @Rubi @Shizu

Aik general si baat. Jab ap oppsite gender say Muhabbat kerayn tu Hoshmandi say kerayn, Yai faisla hoshmandi ay he hona chahiyai. Jis insan k sath ap future mai shahdi nhe ker saktay,Uss say muhbbat ker k apna waqt kiyn zaya keryn?

Muhabbat us insan say kerayn, Jisko ap k parents b ap k liyai fakhar say pasand kerayn. Or apki shahdi b ho uss say.

Kbhi b apni zindge ka waqt us insan k liyai barbaad na keryn jo ap say shahdi na keray.

Everyone has full freedom to choose his/her life partner. But choose at right time. Don't even try to choose in too much early stage .... And once you make decision to get marry to that person. Then make a stand.
 
Rubi

๋• ˆ⌣ˆ ● ĴнαLLi ● ˆ⌣ˆ •๋
Hot Shot
Aug 17, 2010
47,979
14,096
913
WoℵdeℜLaℵd ツ
walaikum salaam
ahan ...very nice ..
*muhabbat muhabbat* :p
Assalaam-O-alaikum friends

Main nay aksar mushaida kia hay kay sab apnay hi andaaz say mohabbat ko dekhtay hain, samjhtay hain, yaa jaantay hain, meray khayal say mohabbat itna complicated rishta bhi nahin jiss ka samajhna itna mushkil ho!

Infact humari zindagi bhi itni complicated nahin hay jitna hum nay bana lia hay, zindagi bohat simple hay... isi tarah mohabbat ka jazba bhi aik bohat hi 'saada', 'khoobsurat' aur 'qabil-e-ehtraam' jazba hay!

Main tou uss shakhs ko zinda hii nahin samajhta jiss kay DIL main MOHABBAT na hoo!

Mujhay aksar dostoon say yeh sunnay ko milta hay kay jahan tak thefire1 ki baat hay tou uss kay liye mohabbat srif AQALMANDOON ka kaam hay....!!

Mujhay iss haqeeqat ka aiytraaf hay kay mohabbat waqayii main PRACTICAL aur AQALMANDOON ka hi kaam hay...... Main Mohabbat bohat soch samajh kar karta hoon, main kaisay itnay khoobsurat rishtay main baghair sochay samjhay mubtla ho jayoon.... yeh tou iss khoobsurat rishtay kay saath ziyadtii hogii kay main jab koi Car khareedon tou uss ki poori details loon, koi mobile loon uss ki poori specification samjhoo.... aur jab MOHABBAT jaisa sab say IMPORTANT maamla hoo tou main ANKHAIN bannd kar kay keh doo kay 'Mujhay tum say pyar hay aur baaqi sab baiqaar hay.... bilkul nahin!!!

Main har ilzaam waqt per nahin daalna chahta kay, yaa halaat per nahin daina chata, yaa apnay dil ko paagal aur apnay aap ko baywaqoof nahin kehlwaana chahta.... meri mohabbat main mera khuloos, merii soch, meri fikar, mera dil aur dimagh, meray ehsaasat, meray jazbat, meri zaat.... mehaz meray wajood main rehnay waalay har ehsaas meri mohabbat ka jeeta jaagta suboot hon gain.....!

Main Mohabbat main devdas ki tarah sharaab main mubtala nahin hona chahta, majnoon ki tarah galiyon ki khaak nahin chaannna chhata, heer ki tarah matkay per nadi paar karnay ki koshish nahin karna chahta, Farhad ki tarah Doodh ki nehar nahin banana chahta..... inn sab Qisay-kahniyon say alag main nay mohabbat karta chahta hoon....

Jahan tak main MOHABBAT ko samjha hay yeh sekha hay kay mohabbat nay mujhay jeenay ka shouur sikhaatii hay haar jaana nahin!

Mohabbat 'taqaddus' ka woh muqaaam ata kartii hay jiss tak shayed soch ki rasyii bhi na ho!

Mohabbat auroon say mohabbat karnay ka ka saleeqa sikhaatii hay....

Mohabbat WAFA ki taleem daitii hay taakay main apni mohabbat main itna andha naa ho jaayaon kay main apnii mohabbat ko paanay kay liye apnay waldain, apnay ghar waalay aur unn sab aziz dostoon ki mohabbat ko qurbaan kardoon jinhoon nay zindagi kay bohat hi khoobsurat lamhay meray saath guzaaray hain!

Mohabbat mujhay apnay aap say mohabbat karnay ka saleeqa sikhaatii hay kiyonki jo cheese khudh mujh main nahin hogii woh main auroon main kaisay taqseem karoonga!

Mohabbat mujhay insaaf karna sikhaatii hay, naa-insaafi nahin

Mohabbat mujhay loggon kay huqooq ki adayegii ka sabaq daitii hay, na kay haq-talfii ka

Mohabbat mujhay khush-o-khuzoo say ibaadat karnay ka tareeqa sikhatii hay naa kay ibaadat main tasweer-e-yaar ko laa kar uss main khalal paida karnay ka!

Mohabbat nay mujhay Khouf-e-Ilahyee say mutraadif karwaaya hay naa kay 'shaitaan' ki pairwii!

Mehaz yeh kay MOHABBAT nay mujhay aik bashour, ba kirdaar, ba-haya, aur ba-ikhtiyar insaan bannay main madad kiii hay.....!!!

Ab aap khudh faisla kar lain kay mohabbat HOSH cheen laitii hay.... yaa HOSHMANDD bana daitii hay!!!

Dear Members,

Humarii misaal unn teen andhoon ki tarah hain jo aik ZOO main jaatay hain aur haathi ka mushahida kartay hain.... jab log unn say poochtay hain kay haathi kaisa tha tou
1. Aik kehta hay kay haathi 'rassi' kay jaisa hay, kiyonki uss nay haathi ki dumm ka mushida kia.
2. Doosra kehta hay kay haathi 'Pillar' kay jaisa tha, kiyonki uss kay haath main haathi ki tang aayii.
3. Teesra kehta hay kay haathi 'ChouRa aur pehla hay' uss kay hissay main haathi kay KAAN aatay hain!

Matlab yeh hay kay woh teenon apnay statement main Sahiii hain (apni soch kay hissab say - andhay honay ki waja say) aur teenon ghlat hain (humari soch ki hisaab say - aankh waala honay ki hisaab say).... main hum unhain aisay andhoon ko BAYWAQOOF aur aankh waaloon ko HOSHMANDD nahin keh saktay.... kiyonki dono hi apni soch kay hissab say sahii hain..

Humaray samnay BEHTREEN misaal humaray SAHAB-E-KARM ki MOHABBAT hay, kiyonki SAHAB-E-KARAAM nay humesha BALANCED or MIDDLE tareeqa follow kia, na hi ISHQ ki hadoon ko cross kar kay WALIALLAH bann gayay aur naa hi DUNIYA ki mohabbat ko apna kar BADSHAHAT ko apnaaya!

1. agar Shohar banay tou behtreen shohar
2. agar mujahid banay tou behtreen mujahid
3. agar Khalifa banay tou behtreen khalifa
4. agar guide banay tou behtreen guidance dee
5. agar baap banay tou pur-shafeeq baap
6. agar bhai banay tou behreen bhai
7. agar dost banay tou aisay dost jiss ki misaal hum aaj tak daitay hain!!!

Yeh hay MIDDLE and BALANCED way of living life, and understanding MOHABBAT....!!!

May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN SUM AMEEN

Meri post ki tawaalat kay liye maazrat, mujhay apna nuqta-e-nazar samjhaanay main kaafi dinoo say dushwaari ho rahii thi, and I hope I made my point very clear!

Khush rahyeh

Fi amaan ALLAH

@h@!der @Hoorain @Seap @NailaRubab @fatimanoor @Fanii @Shiraz-Khan @fouziakhan @Hira_Khan @AM_ @Rubi kindly tag others please.....

I am dedicating this writing to our member @Seap jinhoon nay mujhay Islamic nazraye ko zehan main rakhtay huway tehreer likhnay ka kaha... shukria Seap khush rahyeh :)
 
  • Like
Reactions: thefire1

Rubi

๋• ˆ⌣ˆ ● ĴнαLLi ● ˆ⌣ˆ •๋
Hot Shot
Aug 17, 2010
47,979
14,096
913
WoℵdeℜLaℵd ツ
walaikum salaam
bilkul sahi kaha
aur wo star plus wali bat ..wo to entertainment aur time pass k liye dekhy jaty hyn
ALLAH ny sabko dimag k sath aqal b diya hy .. zruri nhi hy jo aap dekho usy execute b kro ..insan tafreeh k liye b dekh skta hy
pr jin myn aqal ki kami hti hy wohi fantasy world myn rehna shuru krdyty hyn aisy hindi movies aur dramas dekh dekh k
aqal-o-sha'oor har insan myn hta hy ... bas kch log bada hna nhi chahty ... fantasy myn hi rehna pasnd krty hyn
aur affairs b unky fantasy world ka e ek hissa hty hyn ... jiska baad myn nuqsaan family k sath sath mua'shry ko b bhugatna prta hy in one way or another.

Assalaam-O-alaikum

Fatima aap nay bohat hi acha point raise kia hay aur main apni 'mehdood knowledge' ko mad-e-nazar rakhtay huway iss per kuch kehna chahoon ga.

1. Actually humara maashra aur humari young generation aik kashmakash ka shikaaar hay.... Hum apnay behan bhayion say apnay bachoon say yeh tou expect kartay hain kay woh parents ki pasand say shaadi karain, magar ghar main star plus, indian movies, hatta kay pakistani drama main bhi 'love affairs', 'mohabbat waali shaadiyan', 'aisay hi mohabbat say bharpoor jazbaati songs' waghaira dekhnay aur sunnay per koi pabandi nahin lagatay balkay khudh parents bhi apnay jawan bhai behnoon kay saath aisi films enjoy kartay hain.... aur jab laRka aisii ghaltii karay tou ussay NADAANI aur jab laRki kisi say mohabbar karnay ki himaaqat karay tou issay 'Khandaan ki naak katwana' samajhtay hain.

2. Dosra agar hum apnay ghar main iss baat ka ehtiyat kar hii lain magar jab bachay bahar paRhtay hain tou dostoon kay influence main aakar pehlay opposite gender say dosti aur phir mohabbat jaisay rishtay main mubtula ho jaatay hain... LaRkay aksar ek say ziayda hi mohabbat kar baith-tay hain... :) anyways, iss umar main yeh soch aur samajh nahin hotii kay humaray parents iss ko humaray liye pasand karain gain kay nahin infact laRkiyan iss baat ka andaza nahin laga saktii kay laRka uss say haqeeqi mohabbat karta hay aur uss ko izzat kay saath apni shareek-e-safar banaanay main serious hay aur aksar laRkay ki hawas ka nishaana bann jaatii hay... shayed yehi waja hay kay ghar waalay issay bandaami aur khaandaan ki izzat ko mitti main milaanay kay mutraadif samajhtay hain.

3. Kuch laRkay waqayii serious bhi hotay hain, magar aksar ghar waloon kay pressure main aakar laRkii kii achi khaasi zindagi ko ansoonyon ki nazar kar daitay hain.... aur agar woh stand lay lain tou laRki waalay iss rishtay ko bachii kay liye thiik nahin samajhtay...

Humari early islamic days main ISLAM nay laRka laRkii ki pasand ka khayal rakha hay, aur aisay bohat say waqaiya hain jahan Shabiya-e-Rasool SAW nay Shabi-e-rasool SAW say shaadi karnay say inkaar kia, aur bohat say qissay hain jahan baghair Maa Baap ki madakhlat kay aik dosray say adjwaji rishtay main munsalik huway.

Humain apni soch ko badalnay kii zaroorat hay, kiyonki kitni hii humari behnain aisii hain jo ziyada umar ki hochukii hain, kabhi achay rishtay ki talaash main, tou kabhi khadaani waqar ki paas main.... jiss tarah hum nay apni zindagi ko complicate kardiya hay ussi tarah aaj yeh MOHABBAT aur SHADI ka masla bhi bohat complicated hochuka hay.....

I am sure that we can make a difference by educating our parents, and elders at home by giving them a wise advice, please do not think that you are a better decision maker then your parents but its always worth to speak your opinion with valid reasons and I know our parents are so caring that they will listen to your opinion and will take a good decision which suits best for your betterment, kiyonki koi bhi waldain apnii aulaad ka bura nahin soch saktay... yeh humari soch hoti hay kay hum per zulm hua!!

May ALLAH light and guide our ways ameen.

Main baaqi members ko bhi tag kar raha hoon taakay woh bhi apnii soch say humain aagha karain @h@!der @Hoorain @Seap @NailaRubab @DesiGirl @Fanii @Rubi @Shizu
 
Fanii

‎Pяiиcε ♥
VIP
Oct 9, 2013
61,263
16,095
1,313
Moon

waalaikum assalam ... aala ... :-bd
 
  • Like
Reactions: thefire1

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Pasandeedgi ka shurkiya.

Rubi, kisi bhi cheeze ki ziyadtii insaani sehat kay liye thiik nahin hotii, chahay woh dimaagi sehat hoo ya jismaani.... Humari zindagi main Entertainment aik hissa hay magar yeh humari priority nahin... humari priority yeh hay kay hum apnay behan bhaiyon ko apni aulaad ko aik sahii message say mutradif karain... aagar unn kay KACHAY zehan main (yaani kam-umri ki stage main) hii hum unhain sahii aur ghalat kay farq ko wazhay tour per batayain tou shayed haalat mukhtalif hoon.

Hum star plus, indian aur pak movies even english movies say unn ki entertainment kartay hain aur yeh expect kartay hain kay humaray bachay shareef hain aur woh unn jazbaati scences ko dekh kar apnay jazbaat ko qaboo main kar paayain gain.... aisa mumkin nahin, insaani mahool uss ki zehanii salahiatoon per bohat ziyada asarandaaz hota hay, aur jitnay bhii gunah sar-zadd hotay hain unnka background buray haalat hii hotay hain....

main nay iss zamray main aik tehreer likhii hay... jald hii sahre karoon ga. khush rahyeh :)

walaikum salaam
bilkul sahi kaha
aur wo star plus wali bat ..wo to entertainment aur time pass k liye dekhy jaty hyn
ALLAH ny sabko dimag k sath aqal b diya hy .. zruri nhi hy jo aap dekho usy execute b kro ..insan tafreeh k liye b dekh skta hy
pr jin myn aqal ki kami hti hy wohi fantasy world myn rehna shuru krdyty hyn aisy hindi movies aur dramas dekh dekh k
aqal-o-sha'oor har insan myn hta hy ... bas kch log bada hna nhi chahty ... fantasy myn hi rehna pasnd krty hyn
aur affairs b unky fantasy world ka e ek hissa hty hyn ... jiska baad myn nuqsaan family k sath sath mua'shry ko b bhugatna prta hy in one way or another.
 
Rubi

๋• ˆ⌣ˆ ● ĴнαLLi ● ˆ⌣ˆ •๋
Hot Shot
Aug 17, 2010
47,979
14,096
913
WoℵdeℜLaℵd ツ
sahi
pr kachy-zaheno myn kahan itni samjh hti hy k aisi badi batyn smjh skyn
parents ko khud bhi koshish krni chahye .. pr wo kis had tak guide krskty hyn ulad ko? aaj kal ki ulad to ziddi aur apni marzi krny wali hy
agr wo zid krskty hyn , man-maani krskty hyn ..to un myn sahi ghlt ki tameez b hni chahye
parwarish bachpan sy hti hy ..
aur wysy b bachon/teeangers myn tajassus hta hy ..unhyn jis kaam sy mana kya jaye wo wohi kaam lazim krna chahty hyn .. aur asal kaam khrab to teenagers hi krty hyn ..jazbaat myn aa k

Pasandeedgi ka shurkiya.

Rubi, kisi bhi cheeze ki ziyadtii insaani sehat kay liye thiik nahin hotii, chahay woh dimaagi sehat hoo ya jismaani.... Humari zindagi main Entertainment aik hissa hay magar yeh humari priority nahin... humari priority yeh hay kay hum apnay behan bhaiyon ko apni aulaad ko aik sahii message say mutradif karain... aagar unn kay KACHAY zehan main (yaani kam-umri ki stage main) hii hum unhain sahii aur ghalat kay farq ko wazhay tour per batayain tou shayed haalat mukhtalif hoon.

Hum star plus, indian aur pak movies even english movies say unn ki entertainment kartay hain aur yeh expect kartay hain kay humaray bachay shareef hain aur woh unn jazbaati scences ko dekh kar apnay jazbaat ko qaboo main kar paayain gain.... aisa mumkin nahin, insaani mahool uss ki zehanii salahiatoon per bohat ziyada asarandaaz hota hay, aur jitnay bhii gunah sar-zadd hotay hain unnka background buray haalat hii hotay hain....

main nay iss zamray main aik tehreer likhii hay... jald hii sahre karoon ga. khush rahyeh :)
 
  • Like
Reactions: thefire1

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
sahi
pr kachy-zaheno myn kahan itni samjh hti hy k aisi badi batyn smjh skyn
parents ko khud bhi koshish krni chahye .. pr wo kis had tak guide krskty hyn ulad ko? aaj kal ki ulad to ziddi aur apni marzi krny wali hy
agr wo zid krskty hyn , man-maani krskty hyn ..to un myn sahi ghlt ki tameez b hni chahye
parwarish bachpan sy hti hy ..
aur wysy b bachon/teeangers myn tajassus hta hy ..unhyn jis kaam sy mana kya jaye wo wohi kaam lazim krna chahty hyn .. aur asal kaam khrab to teenagers hi krty hyn ..jazbaat myn aa k
jee mera bhi nuqta-e-nazar yehii hay kay humari 'tarbiyat' aik bohat musbat soch laatii hay bachoon kay zehnoon per.. :)
 
Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
Assalaam-O-alaikum

Fatima aap nay bohat hi acha point raise kia hay aur main apni 'mehdood knowledge' ko mad-e-nazar rakhtay huway iss per kuch kehna chahoon ga.

1. Actually humara maashra aur humari young generation aik kashmakash ka shikaaar hay.... Hum apnay behan bhayion say apnay bachoon say yeh tou expect kartay hain kay woh parents ki pasand say shaadi karain, magar ghar main star plus, indian movies, hatta kay pakistani drama main bhi 'love affairs', 'mohabbat waali shaadiyan', 'aisay hi mohabbat say bharpoor jazbaati songs' waghaira dekhnay aur sunnay per koi pabandi nahin lagatay balkay khudh parents bhi apnay jawan bhai behnoon kay saath aisi films enjoy kartay hain.... aur jab laRka aisii ghaltii karay tou ussay NADAANI aur jab laRki kisi say mohabbar karnay ki himaaqat karay tou issay 'Khandaan ki naak katwana' samajhtay hain.

2. Dosra agar hum apnay ghar main iss baat ka ehtiyat kar hii lain magar jab bachay bahar paRhtay hain tou dostoon kay influence main aakar pehlay opposite gender say dosti aur phir mohabbat jaisay rishtay main mubtula ho jaatay hain... LaRkay aksar ek say ziayda hi mohabbat kar baith-tay hain... :) anyways, iss umar main yeh soch aur samajh nahin hotii kay humaray parents iss ko humaray liye pasand karain gain kay nahin infact laRkiyan iss baat ka andaza nahin laga saktii kay laRka uss say haqeeqi mohabbat karta hay aur uss ko izzat kay saath apni shareek-e-safar banaanay main serious hay aur aksar laRkay ki hawas ka nishaana bann jaatii hay... shayed yehi waja hay kay ghar waalay issay bandaami aur khaandaan ki izzat ko mitti main milaanay kay mutraadif samajhtay hain.

3. Kuch laRkay waqayii serious bhi hotay hain, magar aksar ghar waloon kay pressure main aakar laRkii kii achi khaasi zindagi ko ansoonyon ki nazar kar daitay hain.... aur agar woh stand lay lain tou laRki waalay iss rishtay ko bachii kay liye thiik nahin samajhtay...

Humari early islamic days main ISLAM nay laRka laRkii ki pasand ka khayal rakha hay, aur aisay bohat say waqaiya hain jahan Shabiya-e-Rasool SAW nay Shabi-e-rasool SAW say shaadi karnay say inkaar kia, aur bohat say qissay hain jahan baghair Maa Baap ki madakhlat kay aik dosray say adjwaji rishtay main munsalik huway.

Humain apni soch ko badalnay kii zaroorat hay, kiyonki kitni hii humari behnain aisii hain jo ziyada umar ki hochukii hain, kabhi achay rishtay ki talaash main, tou kabhi khadaani waqar ki paas main.... jiss tarah hum nay apni zindagi ko complicate kardiya hay ussi tarah aaj yeh MOHABBAT aur SHADI ka masla bhi bohat complicated hochuka hay.....

I am sure that we can make a difference by educating our parents, and elders at home by giving them a wise advice, please do not think that you are a better decision maker then your parents but its always worth to speak your opinion with valid reasons and I know our parents are so caring that they will listen to your opinion and will take a good decision which suits best for your betterment, kiyonki koi bhi waldain apnii aulaad ka bura nahin soch saktay... yeh humari soch hoti hay kay hum per zulm hua!!

May ALLAH light and guide our ways ameen.

Main baaqi members ko bhi tag kar raha hoon taakay woh bhi apnii soch say humain aagha karain @h@!der @Hoorain @Seap @NailaRubab @DesiGirl @Fanii @Rubi @Shizu
walaikum slaaam i agree wid hmary walden sy behter koi rehnuma nhi even sometime apny liye jo cheez hum choose karty hen wo theak nhi hoti jis ki kasak reh jaati hy or hum khud ko maUF nhi karty wo log to khushnaseeb hen jin k liye khud rab ji faisla karen or zroori nhi larka har baat me larka larki halat moashra khandan waliden ko blame karna theak nhi mohobbat koi bhi kar skta hy ek dafa do dafa dus dafa shayd tab tak jub tak usy sachi mohabat mil na jaye wo jeevan sathi mil na jaye jiski usy talash hy sub sy pelhy hmy khudko apni soch ko badlna hy bus :p thanks for sharing last k 2 para love it that s a reality aesa hota hy ho raha hy :-bd
 
  • Like
Reactions: thefire1

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
Walaikumassalam..
Jo jo Points aapne raise kie hain..Khase aam hain..(aaj kal k Muashre main) Na Sirf IS muamle Me balki Almost har Muaamle Me Logon Ka nazrya larka aur Larki ko le kar khasa mukhtalif hota hai..khair Aallah Pak ne Humen Waliden jaisi Nemat se nawaza hai,,To beshak Uska Aihsaan hi hai..Its Common k agar koi cheez TALAB par na mile to Bura to lagta hai.. Par Agar Walidain ki baat Manen to Bad me Khud Aihsas Hota k hum Kitne NADAAn the..Muhabbat aur Shadi I think Sabse Aasan Aur Pakeeza rishte hote hain..Na k Comlicated..Complicated To Hamari Soch hai..So zaroorat hai Humen khud ko aur hamari soch ko Badalne ki..!!
 
  • Like
Reactions: thefire1

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
sahi
pr kachy-zaheno myn kahan itni samjh hti hy k aisi badi batyn smjh skyn
parents ko khud bhi koshish krni chahye .. pr wo kis had tak guide krskty hyn ulad ko? aaj kal ki ulad to ziddi aur apni marzi krny wali hy
agr wo zid krskty hyn , man-maani krskty hyn ..to un myn sahi ghlt ki tameez b hni chahye
parwarish bachpan sy hti hy ..
aur wysy b bachon/teeangers myn tajassus hta hy ..unhyn jis kaam sy mana kya jaye wo wohi kaam lazim krna chahty hyn .. aur asal kaam khrab to teenagers hi krty hyn ..jazbaat myn aa k
jee mera bhi nuqta-e-nazar yehii hay kay humari 'tarbiyat' aik bohat musbat soch laatii hay bachoon kay zehnoon per..
walaikum slaaam i agree wid hmary walden sy behter koi rehnuma nhi even sometime apny liye jo cheez hum choose karty hen wo theak nhi hoti jis ki kasak reh jaati hy or hum khud ko maUF nhi karty wo log to khushnaseeb hen jin k liye khud rab ji faisla karen or zroori nhi larka har baat me larka larki halat moashra khandan waliden ko blame karna theak nhi mohobbat koi bhi kar skta hy ek dafa do dafa dus dafa shayd tab tak jub tak usy sachi mohabat mil na jaye wo jeevan sathi mil na jaye jiski usy talash hy sub sy pelhy hmy khudko apni soch ko badlna hy bus :p thanks for sharing last k 2 para love it that s a reality aesa hota hy ho raha hy :-bd
bohat khoobsurat likha hay aap nay... achii soch hay, keep it up :)

laikin yeh aik baar, do baar, teen baar, aur jab tak sachii mohabbat na mil jaayay waali baat hazam nahin hoyee... main issi baat ko to promote kar raha hoon kay humain apnay jazbaat per qaboo rakhna chayeh aur kisi ki achi nazar ko, kisi ki khush kalaami ko, kisi ki caring waghaira ko mohabbat ka naam nahin daina chayeh kiyonki aisay main aksar insaan dhoka kha jaata hay kay woh mohabbat main mubtala hay kay kisi crush main...

Meri ammi kaha kartii thii kay aik aurat aur mard main sachii mohabbat shaadi kay baad hoti hay, aur yehi waja hay kay humain uss mohabbat ko chandd dinoo ki khushii kay liye neelaam nahin karna chayeh :)
 
  • Like
Reactions: Seap and Rubi

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Walaikumassalam..
Jo jo Points aapne raise kie hain..Khase aam hain..(aaj kal k Muashre main) Na Sirf IS muamle Me balki Almost har Muaamle Me Logon Ka nazrya larka aur Larki ko le kar khasa mukhtalif hota hai..khair Aallah Pak ne Humen Waliden jaisi Nemat se nawaza hai,,To beshak Uska Aihsaan hi hai..Its Common k agar koi cheez TALAB par na mile to Bura to lagta hai.. Par Agar Walidain ki baat Manen to Bad me Khud Aihsas Hota k hum Kitne NADAAn the..Muhabbat aur Shadi I think Sabse Aasan Aur Pakeeza rishte hote hain..Na k Comlicated..Complicated To Hamari Soch hai..So zaroorat hai Humen khud ko aur hamari soch ko Badalne ki..!!
jee bilkul sahii... we shouldnt complicate our selves :) thanks for your comments, khush rahyeh
 
AM_

Regular Member
Jul 12, 2014
86
25
18

وعلیکم السلام
آپ کے خیالات جان کر اچھا لگا۔
محبت دراصل ایک فطری جذبہ ہےاس میں انسان کے عقل و شعور کا کوئی عمل دخل نہیں ہوتا،یہ انسانیت کا درس دیتا ہے، اگر محبت نکال دی جائے تو انسانیت کا وجود باقی نہیں رہتا، کرہ عرض کی تخلیق کا مقصد فوت ہوجاتا ہے۔ انسان مرتے دم تک محبت کرتا ہے لاکھوں کروڑوں مرتبہ کرتا ہے انسان کی ہر خواہش محبت ہے، محبت ہی کسی چیز کی طلب پر اکستانی ہے، لیکن آج کے معاشرے میں محبت صرف "لڑکے اور لڑکی" کے باہمی قرب کو کہا جاتا ہے۔درحقیقت یہ محبت نہیں بلکہ جنسِ مخالف کی کشش ہےجو زیادہ سے زیادہ چاہے جانے پر اُکساتی ہے، یہ کشش بڑھتی ہے تو عشق مجازی کا روپ دھار لیتی ہے، لیکن عشق مجازی کی درحقیقت کوئی حقیقت نہیں،یہ انسان کی محبت کو اس قدر تقسیم کردیتا ہےکہ وہ اپنے دیگر تمام تر فرائض سے غافل ہوجاتا ہے، اس قدر غافل کے وہ ا پنے مقصدِ حیات کو بھی بھول جاتا ہےدیگر تمام حقوق (حقوق اللہ اور حقوق العباد)سے غافل ہوجاتا ہےعشق مجازی میں پڑ جانے والے انسان کو غفلت کا شکار کہا جاتا ہے۔۔ یہاں پر ضرورت ہوتی ہے محبت کے اصل کو سمجھنے کی۔محبت کا اصل عشق حقیقی ہے،اگر ہم عشقِ مجازی میں پڑکر عشق حقیقی سے مل جائیں تو محبت کو پا سکتے ہیں کیونکہ عشق حقیقی ہمیں ہمارے اصلی مقصد کی طرف لوٹاتا ہے حقوق اللہ اور حقوق العباد کی ادائیگی کا درس دیتا ہےدوسروں سے نیکیوں والا حُسنِ سلوک اور معاشرتی برائیاں ختم کرنے کا درس دیتی ہے۔ محبت کی اصل عشق حقیقی ہے۔۔ جب تک عشق مجازی میں رہیں غفلت کا شکار ہیں۔کیونکہ عشق مجازی کی کوئی حقیقت نہیں یہ سانس چلنے تک ساتھ ہےسانس کی ڈوری ٹوٹنے کی دیر ہےدوسرے فرد(معشوق) کو اپنی زندگی میں لوٹنا پڑتا ہے۔ایک دن دو دن چار دن، ہفتہ، مہینہ حد کئی سالوں تک اپنی محبت کے مزار پر ماتم کرتے کرتے اسے زندگی کی حقیقت کو تسلیم کرنا ہی پڑتا ہے ، نئے سرے سے محبت کرنا ہی پڑتی ہے۔اس لیے محبت کی اصل (عشق حقیقی) کو سمجھیں۔۔ بات صرف سمجھنے کی ہے

  • Like
Reactions: thefire1

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
jee mera bhi nuqta-e-nazar yehii hay kay humari 'tarbiyat' aik bohat musbat soch laatii hay bachoon kay zehnoon per..

bohat khoobsurat likha hay aap nay... achii soch hay, keep it up :)

laikin yehbaar, do baar, teen baar, aur jab tak sachii mohabbat na mil jaayay waali baat hazam nahin hoyee... main issi baat ko to promote kar raha hoon kay humain apnay jazbaat per qaboo rakhna chayeh aur kisi ki achi nazar ko, kisi ki khush kalaami ko, kisi ki caring waghaira ko mohabbat ka naam nahin daina chayeh kiyonki aisay main aksar insaan dhoka kha jaata hay kay woh mohabbat main mubtala hay kay kisi crush main...

Meri ammi kaha kartii thii kay aik aurat aur mard main sachii mohabbat shaadi kay baad hoti hay, aur yehi waja hay kay humain uss mohabbat ko chandd dinoo ki khushii kay liye neelaam nahin karna chayeh :)
I mean k insaan ek dafa mohobbt karta hai dhoka kha k bhi akal nhi ati wo bar bar ghaliyan karta hai k usy wo chahiye jo us ny soch rakha hy or aesy hi wo mazeed ghaltiyan karta hai phly apni soch badlo sub achaw hoga Allah ji bary meherban hen kuch achw jata hy to bht achaw dety hen
 
fatimanoor

Active Member
Jul 6, 2014
374
340
63
Rawalpindi
Why we are defending watching Star plus? Please accept the act is wrong. You can carry on doing wrong act. We all perform wrong act, Star plus nhe tu kch or ghalt kertay hon gynnn .... But never try to justify the wrong act. We are talking about the LOVE for ALLAH. When we will these start plus dramas, And ALLAH also watching us , So ALLAH will please to us on that time?

LIKE WISE:
1- If we are listening songs,, Wrong act. But keep listening. This is your choice to listen. But accept that you are doing wrong act.

Moreover when you keep watching such things on regular basis , they does effect in your mind , in your thoughts and heart.
 
thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Assalaam-O-alaikum

Mujhay bhi Aap ki soch jaan kar bohat acha laga.

Aap ki baat say mutafiq hoon kay mohabbat aik fitree jazba hay.... magar kuch baatain aisii hain jinhain hum zindagi main nazar-andaaz kar daitay hain yaa samajhnay ki koshish nahin kartay..

Pichlay dinoo 'Soura-e-Yousif' ka tarjuma aur tafseer paRhii tou yaqeen hua kay ALLAH SWT nay insaan ko ISHQ aur MOHABBAT main farq ko wazhay tour per bayan kar dia hay.... yeh 'Ishq-e-mizaaji' aur 'Ishq-e-haqeeqi' humaray zehnoon main daal kar humain gumraah karnay kii koshish ki hay humaray philospher nay.... iss ka koi wajood na hadidht ki roshni main milta hay aur naa hi doura-e-khilaafat main humaray Khulafa-ur-Rashdeen RZ kay kirdaar say.

Quran kay mutabiq Zulekha Hazrat Yousif kay ISHQ main griftaar hoyee thii (MOHABBAT main nahin) unn ki khoobsurtii say mutaasir hokar... aur yehii waja hay kay jab uss nay dekha kay Hazrat Yousuf uss kay dao-o-paich say bach niklay tou uss nay foran INTIQAAM lainay kii thaani...

Jab kay MOHABBAT sourat, shakal, waghaira ki mouhtaaj nahin hoti, Mohabbat kisi kay kirdaar say hoti hay, uskay karnamon say hotii hay.... jaisay hum Sahaba-e-karam say mohabbat kartay hain, hum main say kiss nay unko dekha hay magar unn kay karnamay aur ISLAM say mohabbat nay humain unn kay qareeb tar kardiya.... yehi misaal aaj kay dour ki lay lain, kay agar koi khilaadi acha perfom karta hay tou hum kia uss ki zaaat, usski shakal dekh kar uss say mohabbat kartay hain yaa uss kii performance dekh kar..

Inn short, mohabbat, mohabbat hotii hay...kabhi ishq-e-mizaaji aur ishq-e-haqeqi main tabdeel nahin hoti... aur mohabbad hoshmand banaatii hay naa kay ishq-e-mizaaji aur ishq-e-haqeqi main mubtula ho kar 'Majnoon' yaa 'pagal' bana day.... yeh sab sofiyaana baatain hain, aur ISLAM ko sab say ziyada nuqsaan issi 'Sofiasm' nay poohchaya aur aaj tak hum isi zillat ka shikaar hain.

May ALLAH light and guide our ways AMEEN

وعلیکم السلام
آپ کے خیالات جان کر اچھا لگا۔
محبت دراصل ایک فطری جذبہ ہےاس میں انسان کے عقل و شعور کا کوئی عمل دخل نہیں ہوتا،یہ انسانیت کا درس دیتا ہے، اگر محبت نکال دی جائے تو انسانیت کا وجود باقی نہیں رہتا، کرہ عرض کی تخلیق کا مقصد فوت ہوجاتا ہے۔ انسان مرتے دم تک محبت کرتا ہے لاکھوں کروڑوں مرتبہ کرتا ہے انسان کی ہر خواہش محبت ہے، محبت ہی کسی چیز کی طلب پر اکستانی ہے، لیکن آج کے معاشرے میں محبت صرف "لڑکے اور لڑکی" کے باہمی قرب کو کہا جاتا ہے۔درحقیقت یہ محبت نہیں بلکہ جنسِ مخالف کی کشش ہےجو زیادہ سے زیادہ چاہے جانے پر اُکساتی ہے، یہ کشش بڑھتی ہے تو عشق مجازی کا روپ دھار لیتی ہے، لیکن عشق مجازی کی درحقیقت کوئی حقیقت نہیں،یہ انسان کی محبت کو اس قدر تقسیم کردیتا ہےکہ وہ اپنے دیگر تمام تر فرائض سے غافل ہوجاتا ہے، اس قدر غافل کے وہ ا پنے مقصدِ حیات کو بھی بھول جاتا ہےدیگر تمام حقوق (حقوق اللہ اور حقوق العباد)سے غافل ہوجاتا ہےعشق مجازی میں پڑ جانے والے انسان کو غفلت کا شکار کہا جاتا ہے۔۔ یہاں پر ضرورت ہوتی ہے محبت کے اصل کو سمجھنے کی۔محبت کا اصل عشق حقیقی ہے،اگر ہم عشقِ مجازی میں پڑکر عشق حقیقی سے مل جائیں تو محبت کو پا سکتے ہیں کیونکہ عشق حقیقی ہمیں ہمارے اصلی مقصد کی طرف لوٹاتا ہے حقوق اللہ اور حقوق العباد کی ادائیگی کا درس دیتا ہےدوسروں سے نیکیوں والا حُسنِ سلوک اور معاشرتی برائیاں ختم کرنے کا درس دیتی ہے۔ محبت کی اصل عشق حقیقی ہے۔۔ جب تک عشق مجازی میں رہیں غفلت کا شکار ہیں۔کیونکہ عشق مجازی کی کوئی حقیقت نہیں یہ سانس چلنے تک ساتھ ہےسانس کی ڈوری ٹوٹنے کی دیر ہےدوسرے فرد(معشوق) کو اپنی زندگی میں لوٹنا پڑتا ہے۔ایک دن دو دن چار دن، ہفتہ، مہینہ حد کئی سالوں تک اپنی محبت کے مزار پر ماتم کرتے کرتے اسے زندگی کی حقیقت کو تسلیم کرنا ہی پڑتا ہے ، نئے سرے سے محبت کرنا ہی پڑتی ہے۔اس لیے محبت کی اصل (عشق حقیقی) کو سمجھیں۔۔ بات صرف سمجھنے کی ہے

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
You are right Fatima, we must have guts to accept that what we are doing is wrong... because until you realise what is wrong, you will not take action to rectify it, or correct your mistakes.

May ALLAH light and guide our ways AMEEN.

Why we are defending watching Star plus? Please accept the act is wrong. You can carry on doing wrong act. We all perform wrong act, Star plus nhe tu kch or ghalt kertay hon gynnn .... But never try to justify the wrong act. We are talking about the LOVE for ALLAH. When we will these start plus dramas, And ALLAH also watching us , So ALLAH will please to us on that time?

LIKE WISE:
1- If we are listening songs,, Wrong act. But keep listening. This is your choice to listen. But accept that you are doing wrong act.

Moreover when you keep watching such things on regular basis , they does effect in your mind , in your thoughts and heart.
 
thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
I mean k insaan ek dafa mohobbt karta hai dhoka kha k bhi akal nhi ati wo bar bar ghaliyan karta hai k usy wo chahiye jo us ny soch rakha hy or aesy hi wo mazeed ghaltiyan karta hai phly apni soch badlo sub achaw hoga Allah ji bary meherban hen kuch achw jata hy to bht achaw dety hen
Baar baar mohabbat karnay ki ghaltii hii kiyon karay insaan, kia aik hi martaba ka sabaq kaafi nahin?

we should learn from our mistakes and correct them.. Aik mard aur aurat kay darmiyan srif aik hi rishta hay jo kay 'azdawaji rishta' hay aur asal mohabbat wohii hoti hay, baaki kisi ko pasand karnay main koi mumaniyat nahin magar azaadana milna, mohabbat ki baatain karna, phone calls per lambi lambi baatain karna, ghair sharyee hay jiss ki kahin bhi koi ijaazat nahin...
 
Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
Baar baar mohabbat karnay ki ghaltii hii kiyon karay insaan, kia aik hi martaba ka sabaq kaafi nahin?

we should learn from our mistakes and correct them.. Aik mard aur aurat kay darmiyan srif aik hi rishta hay jo kay 'azdawaji rishta' hay aur asal mohabbat wohii hoti hay, baaki kisi ko pasand karnay main koi mumaniyat nahin magar azaadana milna, mohabbat ki baatain karna, phone calls per lambi lambi baatain karna, ghair sharyee hay jiss ki kahin bhi koi ijaazat nahin...
Yehi to baat hai insaan nhi seekhta air just duniya mohobbat kehti hy WO mohobbat nhi hy
 
Top