Mohabbat - Hoshmandi Ya Baywaqoofi

  • Work-from-home

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Assalaam-O-alaikum friends

Main nay aksar mushaida kia hay kay sab apnay hi andaaz say mohabbat ko dekhtay hain, samjhtay hain, yaa jaantay hain, meray khayal say mohabbat itna complicated rishta bhi nahin jiss ka samajhna itna mushkil ho!

Infact humari zindagi bhi itni complicated nahin hay jitna hum nay bana lia hay, zindagi bohat simple hay... isi tarah mohabbat ka jazba bhi aik bohat hi 'saada', 'khoobsurat' aur 'qabil-e-ehtraam' jazba hay!

Main tou uss shakhs ko zinda hii nahin samajhta jiss kay DIL main MOHABBAT na hoo!

Mujhay aksar dostoon say yeh sunnay ko milta hay kay jahan tak thefire1 ki baat hay tou uss kay liye mohabbat srif AQALMANDOON ka kaam hay....!!

Mujhay iss haqeeqat ka aiytraaf hay kay mohabbat waqayii main PRACTICAL aur AQALMANDOON ka hi kaam hay...... Main Mohabbat bohat soch samajh kar karta hoon, main kaisay itnay khoobsurat rishtay main baghair sochay samjhay mubtla ho jayoon.... yeh tou iss khoobsurat rishtay kay saath ziyadtii hogii kay main jab koi Car khareedon tou uss ki poori details loon, koi mobile loon uss ki poori specification samjhoo.... aur jab MOHABBAT jaisa sab say IMPORTANT maamla hoo tou main ANKHAIN bannd kar kay keh doo kay 'Mujhay tum say pyar hay aur baaqi sab baiqaar hay.... bilkul nahin!!!

Main har ilzaam waqt per nahin daalna chahta kay, yaa halaat per nahin daina chata, yaa apnay dil ko paagal aur apnay aap ko baywaqoof nahin kehlwaana chahta.... meri mohabbat main mera khuloos, merii soch, meri fikar, mera dil aur dimagh, meray ehsaasat, meray jazbat, meri zaat.... mehaz meray wajood main rehnay waalay har ehsaas meri mohabbat ka jeeta jaagta suboot hon gain.....!

Main Mohabbat main devdas ki tarah sharaab main mubtala nahin hona chahta, majnoon ki tarah galiyon ki khaak nahin chaannna chhata, heer ki tarah matkay per nadi paar karnay ki koshish nahin karna chahta, Farhad ki tarah Doodh ki nehar nahin banana chahta..... inn sab Qisay-kahniyon say alag main nay mohabbat karta chahta hoon....

Jahan tak main MOHABBAT ko samjha hay yeh sekha hay kay mohabbat nay mujhay jeenay ka shouur sikhaatii hay haar jaana nahin!

Mohabbat 'taqaddus' ka woh muqaaam ata kartii hay jiss tak shayed soch ki rasyii bhi na ho!

Mohabbat auroon say mohabbat karnay ka ka saleeqa sikhaatii hay....

Mohabbat WAFA ki taleem daitii hay taakay main apni mohabbat main itna andha naa ho jaayaon kay main apnii mohabbat ko paanay kay liye apnay waldain, apnay ghar waalay aur unn sab aziz dostoon ki mohabbat ko qurbaan kardoon jinhoon nay zindagi kay bohat hi khoobsurat lamhay meray saath guzaaray hain!

Mohabbat mujhay apnay aap say mohabbat karnay ka saleeqa sikhaatii hay kiyonki jo cheese khudh mujh main nahin hogii woh main auroon main kaisay taqseem karoonga!

Mohabbat mujhay insaaf karna sikhaatii hay, naa-insaafi nahin

Mohabbat mujhay loggon kay huqooq ki adayegii ka sabaq daitii hay, na kay haq-talfii ka

Mohabbat mujhay khush-o-khuzoo say ibaadat karnay ka tareeqa sikhatii hay naa kay ibaadat main tasweer-e-yaar ko laa kar uss main khalal paida karnay ka!

Mohabbat nay mujhay Khouf-e-Ilahyee say mutraadif karwaaya hay naa kay 'shaitaan' ki pairwii!

Mehaz yeh kay MOHABBAT nay mujhay aik bashour, ba kirdaar, ba-haya, aur ba-ikhtiyar insaan bannay main madad kiii hay.....!!!

Ab aap khudh faisla kar lain kay mohabbat HOSH cheen laitii hay.... yaa HOSHMANDD bana daitii hay!!!

Dear Members,

Humarii misaal unn teen andhoon ki tarah hain jo aik ZOO main jaatay hain aur haathi ka mushahida kartay hain.... jab log unn say poochtay hain kay haathi kaisa tha tou
1. Aik kehta hay kay haathi 'rassi' kay jaisa hay, kiyonki uss nay haathi ki dumm ka mushida kia.
2. Doosra kehta hay kay haathi 'Pillar' kay jaisa tha, kiyonki uss kay haath main haathi ki tang aayii.
3. Teesra kehta hay kay haathi 'ChouRa aur pehla hay' uss kay hissay main haathi kay KAAN aatay hain!

Matlab yeh hay kay woh teenon apnay statement main Sahiii hain (apni soch kay hissab say - andhay honay ki waja say) aur teenon ghlat hain (humari soch ki hisaab say - aankh waala honay ki hisaab say).... main hum unhain aisay andhoon ko BAYWAQOOF aur aankh waaloon ko HOSHMANDD nahin keh saktay.... kiyonki dono hi apni soch kay hissab say sahii hain..

Humaray samnay BEHTREEN misaal humaray SAHAB-E-KARM ki MOHABBAT hay, kiyonki SAHAB-E-KARAAM nay humesha BALANCED or MIDDLE tareeqa follow kia, na hi ISHQ ki hadoon ko cross kar kay WALIALLAH bann gayay aur naa hi DUNIYA ki mohabbat ko apna kar BADSHAHAT ko apnaaya!

1. agar Shohar banay tou behtreen shohar
2. agar mujahid banay tou behtreen mujahid
3. agar Khalifa banay tou behtreen khalifa
4. agar guide banay tou behtreen guidance dee
5. agar baap banay tou pur-shafeeq baap
6. agar bhai banay tou behreen bhai
7. agar dost banay tou aisay dost jiss ki misaal hum aaj tak daitay hain!!!

Yeh hay MIDDLE and BALANCED way of living life, and understanding MOHABBAT....!!!

May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN SUM AMEEN

Meri post ki tawaalat kay liye maazrat, mujhay apna nuqta-e-nazar samjhaanay main kaafi dinoo say dushwaari ho rahii thi, and I hope I made my point very clear!

Khush rahyeh

Fi amaan ALLAH

@h@!der @Hoorain @Seap @NailaRubab @fatimanoor @Fanii @Shiraz-Khan @fouziakhan @Hira_Khan @AM_ @Rubi kindly tag others please.....

I am dedicating this writing to our member @Seap jinhoon nay mujhay Islamic nazraye ko zehan main rakhtay huway tehreer likhnay ka kaha... shukria Seap khush rahyeh :)
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Speecless..jaisw jaise parh thi maire paas kuch batain thi kehne ko but end hone tk I m speechless..muhabbat ki itne mufsal aur khubsurat explanation maine pehli baar parhi..
thanx for sharing :-bd
 
  • Like
Reactions: thefire1

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
Walaikum slaaam aaapki yeh tehreer masha Allah Bihar khubsurat hai Jo log life or mohobbat ko complicated bnaty kahenn na kaheen WO khud gharz hony lagty hen jub k yeh munasib nhi hyy him nhi sochty k hmari bewaqoofi sy hmari or him sy jury logo ki life py kya ASSR pary sahaba ekraam ki koi brabri nhi. Or mohobbt ki sub sy bari missal to hmary nabi ki mohobbat ki hyy his me koi shrk nhi @thefire1 jazak Allah is khubsurat tehreer k liye aapny asal mohobbat ko Islam ki rooh sy ujagar kiya Allah tala him subko sahi ghalt ki pehchan ki tofeeq den ameeen dil khush hogaya :-bd :-bd i have no words :) :-bd
 
thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Thank you Fatima for your kind words.

Mujhay khushi hay kay humari noujawan nasal bashaour ho rahi hay. ..

aap ki tehreer ka intizaar rahay ga. Khush rahyeh :)

Best explanation. Kash k ajj ki noujwan nasal ko samjh aa jay ...
I will would like to add mine too ...
 
thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Thank you for your kind words sister. They mean a lot to me. Inshallah aainda bhi aisi tehreer paish karta rahoon ga. Khush rahyeh :)

Speecless..jaisw jaise parh thi maire paas kuch batain thi kehne ko but end hone tk I m speechless..muhabbat ki itne mufsal aur khubsurat explanation maine pehli baar parhi..
thanx for sharing :-bd
 
  • Like
Reactions: Hoorain

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Bohat achay andaz main aap nay meri tehreer per tabsura kia hay. ..khushi hoyii parh kar..... thank you for your kind and appreciating words. .. khush rahyeh :)

Walaikum slaaam aaapki yeh tehreer masha Allah Bihar khubsurat hai Jo log life or mohobbat ko complicated bnaty kahenn na kaheen WO khud gharz hony lagty hen jub k yeh munasib nhi hyy him nhi sochty k hmari bewaqoofi sy hmari or him sy jury logo ki life py kya ASSR pary sahaba ekraam ki koi brabri nhi. Or mohobbt ki sub sy bari missal to hmary nabi ki mohobbat ki hyy his me koi shrk nhi @thefire1 jazak Allah is khubsurat tehreer k liye aapny asal mohobbat ko Islam ki rooh sy ujagar kiya Allah tala him subko sahi ghalt ki pehchan ki tofeeq den ameeen dil khush hogaya :-bd :-bd i have no words :) :-bd
 
  • Like
Reactions: Seap

fatimanoor

Active Member
Jul 6, 2014
374
340
63
Rawalpindi
Here is my explanation. I will try my best to make it simple and short. This could not be in response of written article. A voice of me . Random feelings , Please consider.

1- Hum sab ki zindge mukhtalif hy, Paida honay k baad say hum sab say pehli muhabbat apni family sy kerna shoro ker daitay hyn; waqt k sath jab humain shaoor ata hy tu sath sath duniya say b muhbbat shoro ho jati.

2- Phir zindge ka aik stage ata hy jab hum aik Opposite gender say muhabbat kerna shoro ker daitay hyn.Yai muhabbat kisi tareef k layq nhe . ab yai muhabbat school dour say shoro hoti ajkal k dour mai . Or iss muhabbat ki talash shahdi honay tak sab ko raihti hy. Log martay hyn, Martay hyn. Kch shahdi kertay hyn, Kch bhag jatay hyn, Or kch nai muhabbat ki talash shoro ker daitay hyn... Kch ko dhoka tu kch ko kamyabi

3- Muslam ki zindge mai ALLAH ki muhbabat ki rehmat b hoti hy.. Ab ALLAH ki muhabbat ka aihsas tab hota hy Jab dil altoo faltoo ki muhbaat say khali ho. Or yai aihsas zindge k kisi b hissay mai ho sakta hy ya nhe b hota .

4- Sirf yai bol dainy say k "Mujhy ALLAH say Muhababt hy" . Mubbat ka haq adaa nhe ho sakta. ALLAH ki muhbbat ka darja koi Ammm nhe jo khali baton say haq adaa ho jay.

5- Allah ki Muhabbat ko mehsous kerayn. Or phir in return b Muhabbat kerayn. Yaqeen janay jitni khalis apki Muhabbat ALLAH say ho ge . Apki ki zindge ki fikar utni he kaam ho jay ge.

6- Ab jab ALLAH say Muhabbat shoro ho gai tu phir , Allah ka har hukaam sar ankhon per rkhain. Khushi khushi zindge ker har farz poora kerayn. Halal rishton ko aihmiyat dyn. Haram relations say bachain. Her kaam jo Haram hy us say bachain. Jab tak practical nhe ho ga , ap kamyab nhe hyn.

7- Balance of life .... Allah say muhbabat keny say ata hy. Allah ki muhbbat mai ap Haram say cut off hotay hyn. Ab sabar seekh jatay hyn. Ap logon ko maaf kertay hyn. zindge say apki epectation down ho jati hyn. or bohat kch i cannot explain more ...

8- Insan bilkul b farishta nhe. Gunah tu hotay hyn insan say. Bas Gunah k baad Maafi zarour mangayn. Apny zameer ko soulayn nhe.

Baqi oper article mai sab say best explanation hy. Meray pass bohat kch hy kaihnay ko . I dont know k meri baatyn samjh aynn ge ya nhe But i have to say one more thing. But will say later.

DUA : ALLAH hum sab k dil mai sy duniya ki Muhabbat nikal ker apni Muhabbat daal dyn... Hum sab ki dil ko paak ker dyn. Humain muhabbat kerna seekha dyn. Humara shoomar momineen mai kerayn. Marny say pehlay ,Kalama zarour naseeb fermyn. Ameen Sum Ameen

fatimanoor

Active Member
Jul 6, 2014
374
340
63
Rawalpindi
Aik general si baat. Jab ap oppsite gender say Muhabbat kerayn tu Hoshmandi say kerayn, Yai faisla hoshmandi ay he hona chahiyai. Jis insan k sath ap future mai shahdi nhe ker saktay,Uss say muhbbat ker k apna waqt kiyn zaya keryn?

Muhabbat us insan say kerayn, Jisko ap k parents b ap k liyai fakhar say pasand kerayn. Or apki shahdi b ho uss say.

Kbhi b apni zindge ka waqt us insan k liyai barbaad na keryn jo ap say shahdi na keray.

Everyone has full freedom to choose his/her life partner. But choose at right time. Don't even try to choose in too much early stage .... And once you make decision to get marry to that person. Then make a stand.
 
  • Like
Reactions: thefire1

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
aap nay bohat achii baat kahii hay.... abhi tou neend aarahi hay... INSHALLAH jald hi iss per tabsara karta hoon, balkay apna tajurba paish karta hoon, khush rahyeh :)

@thefire1 yai b perh lijiyai ga.
 
  • Like
Reactions: thefire1
Top