Dil ka malal kam nahin mausam-e-sar khushi main bhi
Ashk buhat piye gaye aaj hansi hansi main bhi
Zindagi khuwab to nahin phir bhi bashakal-e-arzoo
Dekhain agar to beshumar khuwab hain zindagi main bhi
Dushman-e-sar kashida say jo bhi raha mamala
Waisa hi kuch mazaa mila aap ki dosti main bhi
Ankhain k shub-e-guzida hain wajah malal kiya kahain
Kuch bhi nazar na aa saka aaj to roshni main bhi
Apnay liye na soochna sab k liye hi soochna
Bus yehi aaib mujh main hai aur meri zindagi main bhi