Meri Tishnagi ka khayal kar
Main Udaas hon Mujhe dekh ja
Meri Be-Basi ka Malal kar
Main Udaas hun Mujhe dekh ja
Main Tere khayal keh Dasht mein
Sabhi Raston se Guzar gaya
Tu Mere Ghum ka khayal kar
Main Udaas hon Muhje dekh ja
Ye Tere Sitam,ye Tere karam
Mujhe aur Zauq-e-Janoon de
Mera Chalna yun na Mahal kar
Main Udaas hun mujhe dekh ja
Mera Zard Chehra hai kis liye
Yeh Makan Ujra hai kis liye
Na Tu mujh se Aisa sawal kar
Main Udaas hun mujhe dekh ja
Main Udaas hon Mujhe dekh ja
Meri Be-Basi ka Malal kar
Main Udaas hun Mujhe dekh ja
Main Tere khayal keh Dasht mein
Sabhi Raston se Guzar gaya
Tu Mere Ghum ka khayal kar
Main Udaas hon Muhje dekh ja
Ye Tere Sitam,ye Tere karam
Mujhe aur Zauq-e-Janoon de
Mera Chalna yun na Mahal kar
Main Udaas hun mujhe dekh ja
Mera Zard Chehra hai kis liye
Yeh Makan Ujra hai kis liye
Na Tu mujh se Aisa sawal kar
Main Udaas hun mujhe dekh ja