Assalamo alaikum TM baad e muddat haazir hoon
eik ghazal peish e khidmat karne ke waaste
insha'ALLAH ehl e TM ko ghazal pasand aayegi
aur jin mahaan hastion ko pasand na bhi aaye
to nuqta cheeni me koi kasar na chhoriyega
Manzar hai na meri koi kahani hai
Manzar hai na meri koi kahani hai
akela tha bachpan akeli hi jawani hai
aur koi saath kya nibhata humara
hum se to tanhaiy bhi begaani hai
dil me sub rahe qismat me raha na koi
har jaane wale ne chori apni nishani hai
aur hum to kisi ko bhool bhi nahin paate
ke wafa ki humare dil per hukmarani hai
yehi hai lougon purdard shayari ki wajah
sang qalam ashkon ki bhi rawani hai
ajeeb mere liye bhi meri zindagi hai ke
dil me hai aag aankhon me sirf paani hai
kya likhengen hum koi kahani ChiragH
yahan tp paheli apni hi zindagani hai
***S_ChiragH***