Maine ISLAM kyun khabool kiya....

  • Work-from-home

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Assalamualaikum Doston...

Hope ke aap theek hi honge Insha'ALLAH..

Mai aaplogon ke saath ek waqia pesh karne jaa raha hu, jo hai Maine ISLAM kyun khabool kiya....Ye ek sacha waqia hai jo RUSSIA ki ek larki ke saath guzra hua hai)

(Ye na dekhiye ke ye Column itna bara hai ye dekhiye ke ye kyun likha gaya aur aap sab se guzaarish hai ke ise pura parha jaaye)

Ek larki jo Russian thi jiske ghar wale inteha se zyada musalmaon se nafrat karte the, wo Russia me kahi job karti thi, use behla kar phusla kar SAUDI lejaya gaya kaam ke liye, waha leja kar wo log use faroqt karna chahte the aur use dance bar me kaam karne ke liye majboor kar rahe the...Wo larki kisi tarah waha se nikal kar bhaag gai, aur raaste me ek family se takrai jo musalmaan the ek larka uski 2 behne aur uski Walida, raaste se jaa rahe the ki wo larki unse takrai aur saara waqia bayaan kiya, to wo khandaan ne use apne ghar legaye, aur use apne paas rakhne lage, lekin wo inteha se zyada Musalmano ke khilaaf thi ke use wo ghar me bhi rehna nahi pasand tha, lekin majboori ke taur per reh rahi thi..

Wo dono larkiyan aur unki walida use baar baar israr karti ke Quran ko samjho, aur ISLAM ko jano, per laak baar israr karne par bhi wo larki unki baaton ko nahi maanti lekin ek waqt aisa aaya ki unke baar baar israr karne per wo larki ne kaha ki batao mujhe quran kya hai ISLAM kya hai to wo log use ISLAM ke baare me alag alag zaraaye se bataane lage aur kuch din baad us larki ne ISLAM khabool karliya Masha'ALLAh se...

Aur un larkiyon ke bhai se us larki ka nikah karwa diya gaya...
Uske baad wo itni ISLAM pasand hogai ke uski inteha na thi wo ghar walon se bhi zyada har baat ki paaband thi, ek dafa jab koi shopping center me usne dekha aur ghaur kiya ke larkiyan hijaab kyu karti hai to uske Husband ne use saari bata batai to zidd ke maare wo larki jab hi Abaya kharida aur pehenke ghar chali gai..

Kuch din ke baad wo larki ka passport expire hone wala tha aur use RUSSIA jaana zaroori tha, to wo apne husband ke saath RUSSIA gai aur uske ghar ke khareeb lejakar kehne lagi kuch nahi kehna jo bhi hai mai baat karungi apne ghar walon se use pata tha ke uske ghar wale ye baat nahi maanenge kyun ke wo aise khandaan se talluq rakti thi jo inteha se zyada ISLAM aur Musalmaaon ke khilaaf tha, chunaache jab uske ghar pohchi aur apne husband ko baaher intezaar karne ko kaha uske waalid aur uske bhai se jab baat karne lagi aur saara waqia bayaan karne lagi to uske bhai aur baap itne zaalim the ki use buri tarah peetne lage, aur jab hairaan hokar uske husband ne rokne ki koshish ki to use bhi bohot maarne lage, aur wo larka apni jaan bachake bhaag nikla waha se, lekin kuch door jaane ke baad soncha ke wo kaise akela bhaag gaya jab ke uski shareek-e-hayaat to wahi hai wo door se ghar ke darwaaze per dekhte raha aur koi nahi aaya baaher, to wo larka kuch door jaane per ek room leliya kiraye per aur rehne laga use bhi itni buri tarah peeta gaya tha ke wo us zakhmo ko bhar na saka, kuch din aise hi guzar gaye, roz uthta neend se bedaar hota aur uski biwi ke ghar ke darwaze per nazar lagae rakhta ke shayad aaj koi aajae, kuch din guzar jaane per dekha ki koi larki zanjeeron me pari hui ghsr ke darwaaze per aayi kaise taise koshish karke to wo dekh kar bhaagta hua gaya aur use mila aur rone laga, tab wo larki ne kaha tum wahi intezaar karna agar ALLAH ko hame milana hai to koi nahi rok sakta bharosa rakhen aur kuch na Karen mai zaroor aaungi tum wahi rehna, wo larka rote hue waha se chala gaya aur phir usi tarah ghar ke darwaze per nazar tikae rakta…
Ek din wo apne room me baitha tha sudden darwaza per kisi ne dastak di aur jab khola to uski biwi thi, uski khushi ki intehaa na thi, aur jab wo larke ne wajah puchi ke kaise aaye ho to us larki ne saari baat sunai ke uske bhai aur baap ne itna maara use aur roz maarte the khane ko khana nahi dete the aur zanjeeron me jaked ke rakte the aur use ISLAm chorne ke liye kehte the aur apne hi saath chabiyan bhi lekar jaate the us lock ki jisse use baanda karte the, ek din usne saari baat apni choti behen se batai jo wo bhi bohot ISLAM ko napasand karti thi to uski behen ne bhi kaha ke wo haqq per hai chupke se lock khola aur uski behen ko usne waha se bhagaa diya, jab wo larki apne husband ke paas aayi wo dono waha se nikal kar kahi doosre sheher me gaye aur apne passport ki karwai karne lage, jab passport office gaye to waha passport officer ne kaha ke use photos chahiye us larki ke passport ke liye to larki ne apne photos jo bilkul hijaab me the aur siwae aankhon ke apna chehra bhi na diktat ha wo photos usne passport officer ko diye, passport officer ne wo photos thukra diye kyun ke us photos me larki ka chehra hi nahi diktat ha, lekin wo larki zidd per adi rahi ke agar passport dena hai to wahi photos me dena hoga, passport officer ne inkar kardiya aur jaane ko kaha, jab wo log apne room jaaker aaram kiya aur husband sogaya, wo larki raat bhar namaze parti rahi passport ke liye aur apne husband ko bhi raat ko tahajjud ke liye uthaya, aur jab uske husband ne bhi use kaha ki maan jao sirf passport ke liye hi to photos dena hai, to us larki ne kaha ki photo ki baat nahi hai waha, ISLAM ki baat hai ye takleef kuch b nahi hai, jo hamare Nabi Rasool Allah(PBUH) ko hui thi ISLAM ko phailane me..
Jab fajar ka waqt hua to wo dono fajar ko adaa kiya aur passport office phir jaane lage, jab passport office pohche hi the ke unhe dek kar office boy ne bulaya aur us larki ka passport use thama diya wahi Hijaab wale photos me…
Ye hai ALLAH TAALA ki shaan, jab wo dono waapas SAUDI chale gaye to uske baad 6 mahine tak wo larki ka ilaaj chalta raha jo uske waalid aur bhai ne use maara tha…..
Is waqiaya ko sunaane ka maqsad mera kya hai aaplogon ne jaana…
ALLAH TAALA ko hamari ibadat ki zarurat nahi hai, wo to banda hai Jannat ki khaatir apne RAB ko yaad karta hai, ALLAH TAALA ne farma diya agar tum bande apna kaam nahi kar sakte to mai apna kaam kisi aur se nikalunga, to agar hum ISLAM per nahi challenge to ALLAH TAALA kisi aur qaum se apna kaam karwaega, kya faida aise naam ke musalman bane rehne ka, hame to Kaam karna hai…
Jaagiye doston abhi bhi waqt hai ALLAH TAALA se muaafi maangiya wo bara ghafoor ruraheem hai 70 maaon se zyada mohabbat rakhne wala hai , wo aapki duaon ko radd nahi hone dega, Namazon ki paabandi kijiye aur Quran ki tilawat kijiye aur jitna hosake deen ko phailaiye….

Aur khaas taur pe mujhe apni Duaon me shaamil rakhiye
ALLAH TAALA hame sunne dekhne se zyada amal ki taufeeq de AMEEn Ya RABBUL ALAMEEN…
 

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
Walikum Assalam
Bohot touching waqiya sunaya hei aap ne i like it so much, bilkul hamien iman per mazboot rehna chahiye aur bari baat k ALLAH aur us k Rasool Hazrat Muhammad (S.A.W.W) se mohabbat rakhni chahiye.
 
  • Like
Reactions: Wasif Safi

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
Jazak Allah Khair ..Eman afroz waqia , Allah Pak jab ksi insan k sath bhalai ka mamla farmate hn to usay deen men faqeh kar detay hn , Dua hai k Allah Pak sab ko deen ki samaj Ata farmaye ..Ameen..:)
 
  • Like
Reactions: Wasif Safi

faari

Super Star
Nov 13, 2009
6,380
4,321
713
Allama iQbal ki zameen
masha Allah buhat zabardast waqiya hai aur sachi me esy mujzaat hoty hein k emaan ko taza kr dete hein esy kuch waqiyaat main ne pary hein foreign countries ki families k anyways thanks fors this post {(goodpost)}
 
  • Like
Reactions: Wasif Safi

*khushi*

Senior Member
Oct 18, 2011
6,444
1,468
263
Ghar :p
Mashallah

bohat acha waqiya hai or maza aya read krny pr

or Dua hai k Allah hum sb ko islam k mutabiq zindagi guzaarny ki hidayat day Ameen
 
  • Like
Reactions: Wasif Safi

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
MashAllah......nihayet hi sabkamoze waqea bayan kiya apne....
Waqt agaya hai k hume apas k jhagron ko pas e pusht daalkar uspar amal karen jo Islam ka haq hai aur Huszur e akarm swww aur Unki Aal ki pairwi karen jinke nukhoosh se hum bhatak gaye hain..
Jazak Allah khair Bro....
 
  • Like
Reactions: Wasif Safi

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Walikum Assalam
Bohot touching waqiya sunaya hei aap ne i like it so much, bilkul hamien iman per mazboot rehna chahiye aur bari baat k ALLAH aur us k Rasool Hazrat Muhammad (S.A.W.W) se mohabbat rakhni chahiye.


Jazakallah Khair Waqas...

Haan beshak hame chahiye ki ALLAH TAALA ki rassi ko thaame aur Rasool Allah(PBUH) ki sunnaton per amal karen Ameen...
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Jazak Allah Khair ..Eman afroz waqia , Allah Pak jab ksi insan k sath bhalai ka mamla farmate hn to usay deen men faqeh kar detay hn , Dua hai k Allah Pak sab ko deen ki samaj Ata farmaye ..Ameen..:)


Haan Tayyab Bhai, aur bhi aise bohot se waqiat hai jo mai aahista aahista share karta rahunga Insha'ALLAH
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
masha Allah buhat zabardast waqiya hai aur sachi me esy mujzaat hoty hein k emaan ko taza kr dete hein esy kuch waqiyaat main ne pary hein foreign countries ki families k anyways thanks fors this post {(goodpost)}


{(thx)}{(thx)} Jazakallah Khair Faari, aise itne waqiat hai dilon ko dehla dene wale lekin hum Musalmaan apne hi farz per mukammal taur per nahi chal rahe hai....
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Mashallah

bohat acha waqiya hai or maza aya read krny pr

or Dua hai k Allah hum sb ko islam k mutabiq zindagi guzaarny ki hidayat day Ameen

Khushi hui Khushi hame ke aapne saara waqia parha aur samjha isko...

ALLAH TAALA hame seekhne ki aur samajne ki salahiyat ataa farmae Ameen aur siraat ul mustaqeem per chalae Ameen....
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
MashAllah......nihayet hi sabkamoze waqea bayan kiya apne....
Waqt agaya hai k hume apas k jhagron ko pas e pusht daalkar uspar amal karen jo Islam ka haq hai aur Huszur e akarm swww aur Unki Aal ki pairwi karen jinke nukhoosh se hum bhatak gaye hain..
Jazak Allah khair Bro....


Bohot shukriya Bahar aapka, jo aapne sara waiqa parha, haan beshak ham sab ko ikatthe hokar deen ki tayyari me lagna chahiye...

ALLAHI Barik Feek..!!!
 
Top