Lesson 6: Revert and Place Command

  • Work-from-home

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar

[SHADOW=1]
Revert and Place Command
[/SHADOW]


Asalam-o-alaikum wrwb!
Kaise hain aap sub?
I hope sub theek honge tu aaj hum ek new lesson study kerne jarahe hain same File menu bar se.


Revert:
1-Revert.png

Revert ka shortcut key F12 hain, jub kessi image pe buhut editing kiye ho and end mei pir sochte hain k koi edition nahin chahye and wapas image orginial format pe ajaye then simply file-Revert mei click kare ya pir press F12 button aapke sare edition clear hujayegi and image pahle jaise ban jayegi.


Note: yaad rahe Revert serf photoshop program close kerne se pahle he hoti hain yeh nahin k image edit and save ker k aap page close kero and then khayal aye image ko wapas original chaye then akar revert kero so tub kaam nahin kerega, yeh serf jub aap work ker rahe hote hain and bena photoshop mei save ker k close kerte hue he.

Place: File-place> yeh option photoshop mei ek image pe dusre Adobe Program file ko place kerne k lie use huti hain such as PDF (Portable Document Format), AI (Adobe Illustrator) , or EPS (Encapsulated PostScript).aur yaad rahe place kerne k lie koi bhi (BMP,JPG,PNG,GIF) image file use nahin hoti, so this command works only for PDF,AI AND OTHER adobe files, so koi bhi PDF ya AI ka ager file aapke paas ho, and aap usay dusre image file mei use kerna chahte hain tu easily apne photoshop mei Place command open ker k edit kersakte hain. tu es pe work kerne k lie aap File>Place open kero place mei aap PDF file ko spicify kare, jes pe aap work kerna chahte hain then ok ker k aapke lie alug sa box open hugi and usay box mei aapko kahe pages hungi means jitna aapke PDF file mei images maujud honge and aapko ek file choose kerne ka option diya jayega tu jho bhi file aapko chahye ho us pe click ker k file open kare.
Example:
1:abhi humare paas yeh TV ka ek image hain and mai chahte hu es mei ek dusre image jho k PDF format mei hain place keru.

place.1.png

tu eske lie aap jaye File-Place pir PDF File pe click kare jesay aap es dusre open image k saath place kerna chahte hain,

place.2.png

yaad rahe ager PDF file mei ek image hua, tu place box mei click kerte he voh directly open hujayegi. ager PDF file mei ek se zyada images maujood honge then place button per click kerte samaye ek aur mini box open hoga, jess mei aapko ek se zyada pages mei se koi ek ko select kerni hain so simply voh 1 image spicify kare jesse aap place kerna chahte hain,

place.3.png

go to page button mei click ker k page number likhe ker

place.4.png

ya simply scroll bar se up and down ker k jho image chahye us pe click ker k ok kare. ok kerne k baad aapka image dusre image k oper place hujayegi,

place.5.png


then transforming Selection se usay aap scale,rotate, small ya large kersakte hain sahi se fit hone k lie, the same like its showing in the image.

place.6.png

tu buss uske baad image ko flatten kare Flatten Image Layer mei maujood hain. aap hamisha aapne koi bhi image ko edit kerne k baad save kerne se pahle flatten image kare es se hoga yeh k jho changes aap image mei laye honge and jitne layers uski bani hue honge voh sub merge honge ,

place.7.png

and layer box mei ek layer ban jayegi pir koi edit nahin kersakega and mai aapni koi bhi work ko complete kerne k baad merge visible (Shift+Ctrl+E) ya flatten image kerti hu and then save image.

Place.8.png

so that was our place command. jho bhi question ho thread mei post kare and dont forget to try it once in photoshop.
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
walaikum assalam sabah :)
kal aapka link mila laikin office work ziada hone ki wajah se read nahi karsaka tha isliye sorry.k main late hogaya.mashaAllah saari class acchi tarha se samajh aagayi.maine jo samjha hai usse ek baar review karta hon yahan agar usme kuch ghalti hoto mujhe bataden.

aajki class revert command k taaluq se thi.jiska istemal ksi bhi ki hui changes ko undo kardena hai aur ye kaam file close karne se pahle hi hoga.uska baad nahi aur iskeliye(bmp,jpeg,gif,png) files istemal me nahi aatin balke iskeliye pdf and dosre adopbe files hi kaam karte hain.aur jab aapke pdf file me agar ek hi image hoto directly wahi open hojayegi warna aapko selection karna parega.aur isi tarha flatten image ka kaam dosre tamam waste layers ko merge karna hota hai.jiska file weight kum hojayega inshaAllah.

laikin isme mujhe jo mushkil pesh aayi hai wo ye k mere paas revert command is tarha dekhaayi deraha hai aur isi tarha flatten image bhi

ars.JPG
 
  • Like
Reactions: Sabah

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
walaikum assalam sabah :)
kal aapka link mila laikin office work ziada hone ki wajah se read nahi karsaka tha isliye sorry.k main late hogaya.mashaAllah saari class acchi tarha se samajh aagayi.maine jo samjha hai usse ek baar review karta hon yahan agar usme kuch ghalti hoto mujhe bataden.

aajki class revert command k taaluq se thi.jiska istemal ksi bhi ki hui changes ko undo kardena hai aur ye kaam file close karne se pahle hi hoga.uska baad nahi aur iskeliye(bmp,jpeg,gif,png) files istemal me nahi aatin balke iskeliye pdf and dosre adopbe files hi kaam karte hain.aur jab aapke pdf file me agar ek hi image hoto directly wahi open hojayegi warna aapko selection karna parega.aur isi tarha flatten image ka kaam dosre tamam waste layers ko merge karna hota hai.jiska file weight kum hojayega inshaAllah.

laikin isme mujhe jo mushkil pesh aayi hai wo ye k mere paas revert command is tarha dekhaayi deraha hai aur isi tarha flatten image bhi


well it means k aap ache se lesson read kerte ho,thats really good :) ab athe hain aapke sawal and aapke defination ki taraf, aap ne revert ko buhut ache se define kiya But!
Revert and Place command ek dusre se attached nahin, revert ek alug sa tool hain and place alug, so revert option PDF k lie nahin balke baki image types JPEG,GIF, PNG and etc.. options k changes ko revert kerti hain, per kio k order tareeke se revert k baad place ko define kerna tha tu donu lessons ko ek time pe ek thread mei post kiye... Revert actually subhe type k images k lie use huti hain wether its is JPG,GIF,BMP or else. but Place Command Serf PDF, AI, and baki adobe files ko ek JPEG ya baki image type file mei set kerne k lie use huti hain.
Revert ka Option eslie off dekh rahe hain shayed aapne kessi image ko open ker k us mei koi editing nahin ki abhi aap ek image open kero photoshop mei and us mei kuch likho ya kuch design kero then yeh option ON dekhega and same Flatten Image ka bhi hain jub aap koi image design ker rahe ho tu us mei layers zaroor banengi.
layers kia hain eska ek alug lesson hain jho soon apko introduce kerungi but images mei jho layers banengi pir yeh flatten image ka option on hujayega and tub aap es pe click ker k sabhe layers ko merge kersakte hain and eske saath merge layer visible ka option hain so voh bhi same layers ko merge ker k ek layer banati hain, abhi aapke esay sawal k jawab k lie yeh video tutorial banaye hain saath mei image mei koi qoute and text kaise likhta hain yeh tips bhi dekhaye gaye hain so watch it and InshAllah aapko sab ache se samajh ayegi its about 15 mins tutorial..
tutorial mei mazeed typing mistakes bhi hue and shortcut keys bhi use hue hain just jaldi jaldi mei banaya sorry for that and aap logu ki asani k lie kafi slow motion and simple work ki hain but pir bhi kuch samajh na aye to poch sakte hain..

HERE IS THE VIDEO TUTORIAL...

 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
shukran sabah jazakAllah khair.
bahot acche se samjhaya aapne alhamdulillah theek samajh aagaya.
abhi aisa lagta hai k maine kitna chota question kia tha haha.
laikin ek baat batayyiye sabah kia revert k bajaye ctrl+z istemal kia jaye to kaisa hoga kyunke revert k zarye se saari ki hui changes undo ho rahi hain jabke ctrl+z k zarye last change hi undo hoti hai.kaunsa behtar rahega?
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
shukran sabah jazakAllah khair.
bahot acche se samjhaya aapne alhamdulillah theek samajh aagaya.
abhi aisa lagta hai k maine kitna chota question kia tha haha.
laikin ek baat batayyiye sabah kia revert k bajaye ctrl+z istemal kia jaye to kaisa hoga kyunke revert k zarye se saari ki hui changes undo ho rahi hain jabke ctrl+z k zarye last change hi undo hoti hai.kaunsa behtar rahega?
Hmmmm yeah question chota tha but Jawab zyada...
well revert tu khair once for all sabhe changes ko clear kerti hain so yeh us method k lie use kia jata hain jub aap wapas aapna Original image chahte hain but Ctrl+Z jho k undo ka shortcut key hain yeh aapke last one changes ko undo kerti hain tu yeh aap tabhe estemal kersakte hain jub koi ek edition ko backward kerna hain and jub ek se zyada aur changes ko undo kerna chahte hain pir uske lie ALT+CTRL+Z ka us kersakte jho aapke 12 tuk changes ko step backward kersakta hain...
 

yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں
Sabah Revert ke barey maen iss se qabl itni detail maen maloom naheen thaa, mashaAllah barey behtreen tareeke se explain kya hai...., or samajh bhee agayaa hai....
 
  • Like
Reactions: Sabah

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Sabah Revert ke barey maen iss se qabl itni detail maen maloom naheen thaa, mashaAllah barey behtreen tareeke se explain kya hai...., or samajh bhee agayaa hai....
Shukriya Khurram Bro
kio k yaha pe subko asani se samajh aye tu eslie video tutorial bhi banaye...
 

*khushi*

Senior Member
Oct 18, 2011
6,444
1,468
263
Ghar :p
koi bnda ya bndi hr format ki aik aik pic share kr skta hai?

coz mery paas ye formats nahi hain just JPG hain to main is lesson ka practical krna chahti hoon...

is liye mujhy images ki zaroort hai :(
 

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
Khushi aap jpg pe he try ker lo normaly yeah he file format use hota hai and don't confuse with file format is stage pe aap ko practise ke lea JPG pic suitable hai..... So google se pic download ker lo jpg n jitni chahe practise kero.... :)
 

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
Oh ok Place command ke lea aap ko PDF file chahiye hogi to google pe jao aur pdf file download likh ke search kero aur koi si bhi pdf download ker lo.... Aur practise ker lo..
 

*khushi*

Senior Member
Oct 18, 2011
6,444
1,468
263
Ghar :p
nahi mil rahi

plzzzzzzzzzzz dhoond kr do na plzzzzzzzzzzzzzzzz

hr formate ki aik aik pic dhoond do plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz {(cray)}
 

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
Acha baba link pm kerta hon you ko pdf file ka download ker lo right.... Bus PDF file he place command me use ho gi is pe he try ker lo.... Okey....:)
 
Top