Lesson 5: Save for web

  • Work-from-home

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar

[SHADOW=1]SAVE FOR WEB
Shortcut Key (Alt+Shift+ctrl+S)
1-Save For web.png
[/SHADOW]









Asalam-o-alaikum wrwb
hazir hain aajke new lesson k saath which is Save for web...
jaise k name se he andaza hota hain k yeh tool images ko web site k lie save kerta hain because aise kafi images huti hain jeske size zyada hone se voh kafi dair se email ya web page mei load hote hain, mostly uske wajah high quality images with maximum images size huti hain, tu eslie ager aapko website banners k lie ya phir profile image k lie easy and simple way for loading the image chahye, so this tool is best for that jho k size and quality ko ache se reduce ker k maintain kerta hain and yeh khaas ker JPEG images k lie help kerti hain but hum esay PNG,GIF and BMP k lie bhi use kersakte hain.



Save for web Images k lie 3 baato ka dehan rakhe hamisha k:
- Resolution 72 dpi (dots per inch)
- Color mode RGB
- Generally chote size image use kiya kare for web images and its faster upload.


yeh tha defination ab athe hain k how does it work so go to:
File>Save for web

2-save for web.png

Save for web box k top Left Corner mei 4 tabs maujud hain (Original,optimized,2-Up and 4-Up) aur jaise k es tabs k naam se he maloom hojata hain k Original mei aap apna original image dekh sakte hain, Optimized mei aap apne ready for web image, means (jess mei save for web k changes applied hue ho) dekh sakte hain,

3-save for web.png
and 2-Up mei aap ek side pe original image and dusre side pe optimized image dekh sakenge,

4-Save for web.png

and 4-UP mei aapko es image ki 4 Copies dekenge jho ek dusre se different honge quality and size k mutabek, jho her ek mei aap changes lasakte hain and ek dusre se compare ker k changes dekh bhi sakte hain.

5-Save for web.png

Save for web k 6 Left Tabs

- 6-Save for web(hand tool).png- Hand tool: ager save for web box mei image Large size ka ho tu hand tool k zerye aap image ko top,bottom and left,right move around kersakte hain.


- 7-Save for web, slice tool.png- Slice tool: jaise k aapko pahle bata chuki hu k photoshop koi aisa program nahin jeska startup and khatma hum ek tarteeb se bata sake, aapko bataye the k yaha pe her ek command ek dusre command se attached hai to same Slice tool button ka bhi hain, attachment with Save for the web command, but slice tool ka alug sa button hai tool box mei,jesse baad mei bhi aapko briefly samjhaungi InshAllah,
Slice: jaise k name se maloom hota hain yeh ek image ko slice kerta hai and eske zerye hum kersakte hain k aapne ek image ko email mei slices k taur per send kare means cut cut ker k, mostly slices email k lie work kerta hain jub aap koi image k her ek side ko alug alug define kerna chahte hain ya pir mail mei uske alug alug slices ker k kessi ko send kerne hain tu usay slice mei divide kerte hain and ek box mei voh sliced images save huti hain jho esay hum baad mei tool box pe study karenge.tu save for web per hum usay slice ko uske usage k mutabek study karenge.

8-Save for web Tool,slice tool intro.png
*: Save for web mei slice pe kaam kerne k lie aapko pahle se photoshop page mei, image pe slice Selection kerne hugi (the same like in above image) so eske lie Tool Box mei aap Slice Tool pe Click kare and image pe mouse cursor ko hold on ker k utne he area ko select kare jesska aap slice chahte hain, jess se ek slice banegi and slice Selection serf tool box mei huti hain means image mei slice serf photoshop programe page mei bana sakte hain,
9-Save for web slice tool.png
yaad rahe save for web pe yeh kaam nahin hosakta waha pe serf slice selection pe click kersakte hain and utne he area mei changes lasakte hain, per slice nahin bana sakte and kessi bhi slice k area pe click keruge then usay area mei aap changes lasakte hain like following image pe jess mei selected slice ki quality dusre selection se different hain,Blur ko increase ki hain and see voh serf usay slice pe apply hue hain jess pe mouse click ki hue hain mai ne.
10-save for web Slice.png


So yeh tha Slice ka kaam for save for web.

- 11- Save for web Tool, Toggle slices Visiblity.png-Toggle slices Visiblity (Q): yeh button aapko image k slices show and hide kerte hain once ager click kare tu slices ko invisible kerta hain and again click kare then wapas slices selection ko visible kerta hain.


-12 save for web tool, zoom tool.png- Zoom Tool: es se aap image ko zoom in and zoom out kersakte hain. yeh mostly zoom in show hota hain but kessi image ko ager zoom in kerne k baad zoom out kerna ho then hold Down the Alt button and then zoom out hoga.


- 13-Save for web tool eyerdropper.png- EyeDropper: es k zerye aap image ki koi bhi color pick kersakta hain.
Simply image k jho color apko pick kerna ho, us pe click kare then color box mei vohi color show hugi and ager kahe pe voh color use kerna ho tu kare so eska main kaam kessi image se color pick kerna hain.

abhi athe hain Save for web k settings area mei!
Settings mei already optimized settings hain with different Image quality which you can see,
014-preset.png
ab settings pe click kerne se aapko ek list show hugi tu usay list mei aapne koi bhi image type pe select kerni hai jho aap apne image k lie use kerna chahte hain her ek ka different effect hain jho click ker k aapko dekegi but mostly web images k lie
JPEG formats best huti hain so aap yahi select kersakte hain. (JPEG high)
14-Save for web settings.png

Settings k baad 2 aur box hain left mei:

jho ek mei aap click ker k image formats choose kersate hain like:
15-image format.png

aur eske following box mei aap above format k mutabek image quality select kersakte hain,
jho k 4 type k hai.
16-image quality.png

Note: jitne be aap image mei changes laate rahenge voh sub Optimized image mei aapko show hugi, and 2nd aap jitna bhi quality high and low select karenge us se image k size mei fark athe raheg means high quality mei size zyada and image ache dekhegi and low quality mei image size decrease hoker image quality bhi down hujayegi, so save for web actually web k lie image size ko maitain kerne k lie use huti hain jho asani se image web pe open hosake so try kare k aapke image size zyada na hujae means kum ho.

ab athe hain baki Extra buttons pe Quality and Blur:



Quality:

simply yeh image quality zyada and kum kerta hain.

17-blur and quality.png

Blur:Blur tool photoshop ka ek buhut he ahem tool hain jho yeh alug sa baad mei Filter menu bar mei tafseel se bayan Kerungi but yaha pe aapko buss itna batau k jho loug image mei aapne skin ko saaf and clear banate hain voh photoshop mei blur k through kaam kerte hain, but save for web mei esay buhut kum use kerte hain because yaha pe eske buhut kum usage huti hain.
image ko kheera means blur kerne k lie ager zaroorat padhe tu use huti hain baki yeh image k lie already pahle se use hue huti hain.
yaha pe aapko blur k kuch samples dekate hu:


Before

blur effect O-1.png

After

blur effect 1.png

Before

blur effect O-2.png

After

blur effect -2.png

Before

blur effect -3.png

After

blur effect O-3.png

and eske baad aap save ka button click kero and our save for web image has been saved...


aap loug sochenge k save for web shayed buhut tough tha so aisa kuch nahin hain kio k yaha pe sabhe options ko define kiya so it took too much of us per baad mei yeh buhut asan lagegi save for web k baghair bhi aapne image ko save command k zerye save kersakte hai es mei koi zaroori nahin k es option pe zaroor kaam kare, pahle bhi bata chuke k yeh serf images ko web pe faster load kerne k lie use huti hain with low quality and low size. thats all...
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
masha Allah bohot nayee maloomat huyi aur bohot ache se samjhaya apne
Allah apko jazaye khair de Aameen

ek sawal tha jaise apne kaha JPEG me hi save karen zyada behtar hai
to kya koi image jo pehle se PNG ya koi dusre format hai tab bhi ham usko JPEG me hi save karen ?
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
masha Allah bohot nayee maloomat huyi aur bohot ache se samjhaya apne
Allah apko jazaye khair de Aameen

ek sawal tha jaise apne kaha JPEG me hi save karen zyada behtar hai
to kya koi image jo pehle se PNG ya koi dusre format hai tab bhi ham usko JPEG me hi save karen ?
Kersakte hai us mei koi problem nahin buss Save kerne k time mei aapne format JPEG ka select kerni hain and jub aap same PNG image mei kuch edit ker rahe hain and usay save kare then voh PNG mei he Save hujate hain, so JPEG image mei save kerne k lie aap Save us k option k zerye save kersakte hain, jess mei eska alug sa JPEG copy banegi...
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313


Kersakte hai us mei koi problem nahin buss Save kerne k time mei aapne format JPEG ka select kerni hain and jub aap same PNG image mei kuch edit ker rahe hain and usay save kare then voh PNG mei he Save hujate hain, so JPEG image mei save kerne k lie aap Save us k option k zerye save kersakte hain, jess mei eska alug sa JPEG copy banegi...
shukran :)
 

Deep Silence

Newbie
Feb 13, 2009
2,735
1,586
0
Maa K Qadmu Taley
wa alikum asalam.
Jazak Allah siso aj ka lesson waqi buhot interesting aur informative tha.
Aur apka andaz-e-bayaan bhi lajawab:D
kuch baton ka pta tha lekin kuch ka bilkul nahi jo ap ne btai
 
  • Like
Reactions: Mhk31

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Little bit difficult to understand.
Take your time
its not important to study all the lesson in one day, its quite difficult to study 4 weeks lessons in one day so try to study 1 lessons per day if you dont understand then dont hesitate to ask.
Iam here to answer and help you.. InshAllah
 

-Mahi-

TM Star
Sep 1, 2011
3,833
1,147
413
bai Saba mujse blur ki option nahi millty sab save for web kerty hoon
or ager fliter se open keroo to message aa jata hain u hain khuch
 

-Mahi-

TM Star
Sep 1, 2011
3,833
1,147
413
bai oper read kero mujse blur option nai mil rahi
and
what is photoshop mela?
 
Top