Lazawal

  • Work-from-home

Bukhari

Newbie
Jan 8, 2009
14
4
0
41
UAE
Manzalain aik se ,awargiaan aik se hain
mukhatalif ho ke be sab zindagiaan aik se hain

koi maqasid ho ke nasih,koi aashiq ke addo
sab ke is shokh se wabastigiaan aik se hain

dasht-e-majnoon na saheeh tesha-e-farhad saheeh
safar-e-ishq main wamandigiaan aik se hain

yeh alag baat ke ahsas juda hoon warna
rahatain aik se afsurdigiaan aik se hain

sofi o rind ke maslak main saheeh lakh tazad
mastiyaan aik se waraftagiaan aik se hain

wasal ho,hijer ho,qurbat ho ke dooree ho FARAZ
sari kafiyattain,sab tishnagiaan aik se hain
 

Bukhari

Newbie
Jan 8, 2009
14
4
0
41
UAE
Malool ker humain itna malool ker janan
keh hum na yaad kerain tujh ko bhool ker janan

hain misl-e-nama-e-benaam ,dast-e-qasid main
so hum se darbadroon ko wasool ker janan


phir aa gaye tery kochey main khush nigah terey
gham-e-jahan ke saleebon per jhool ker janan

kabhee to dast-e-hinae se surkhiyee lab se
hamare zakhmey tamana ko phool ker janan

yeh ahl-e-dard tere mumlikat main rehtey hain
so to wo tark-e-taaluq ka faisla yeh saheeh
so ikhtiyaar koi to osool ker janan

FARAZ tujh ko KHUDAWAND manta hai,issey
diyaare ishq main apna RASOOL ker janan
 

Bukhari

Newbie
Jan 8, 2009
14
4
0
41
UAE
kal hum ne bazm-e-yaar main kya kya sharab pee
sehra ke tashnage the so dariya sharab pee

apnon ne tajh diya hai to ghairoon main ja ke baith
ae khanman kharab,na tanha sharab pee

to hum safar nahee hai to kya sair-e-gulistan
to hum saboo nahee hai to kya sharab pee

ae dil garifta-e-gham-e-janan saboo utha
ae kashta-e-jafa-e-zamana sharab pee

do sooretain hain yaroo dard-e-faraq ke
ya is ke gham main tot ke roo ya sharab pee

aik meherbaan buzurg ne yeh mashwara diya
dukh ka koi elaj nahee,ja sharab pee

badal garaj raha tha,ither muhtasib uther muhtasib
phir jab talak yeh ghaqda na suljha sharab pee

kal hum se apna yaar khafa ho gya FARAZ
shaied ke hum ne had se zyaada sharab pee
 
Top