Kisi ko Udaas Dekh Kar

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY


tumhain udaas pata hoon main kai din sey
na jane koun sey sadmey utha rahi ho tum
wo shokhiyaa.n, wo tabassum, wo qehqahey na rahey
har aik cheez ko hasrat sey dekhti ho tum
chupa chupa k khamoshi main apni be-chaini
khud apney raaz ki tash'heer ban gaii ho tum

meri umeed agar mit gaii tu mitne do
umeed kya hay? bas ik paish-o pas hay kuch bhi nahi
meri hayyat ki ghum-giniyoo.n ka ghum na karo
ghum-e hayyat ghum-e yak-nafas hay, kuch bhi nahi
tum apney husn ki ra'naiyoo.n pe reh'm karo
wafa faraib hay, tool-e hawis hay, kuch bhi nahi!

mujhe tumhaarey taghaful sey kyu shikayat ho
meri fana merey ehsaas ka taqaza hay
main janta hoon k duniya ka khouf hay tum ko
mujhe khab'r hay ye duniya ajeeb duniya hay
yaha.n hayyat k pardey main mout palti hay
shikast-e saaz ki awaz roh-e naghma hay

mujhe tumhaari judaai ka koi runj nahi
merey khayyal ki duniya main merey paas ho tum
ye tum nay theek kaha hay tumhain mila na karoo.n
magar mujhe ye bata do k kyu udaas ho tum?
khafa na hona meri jur'rat-e takhatub per
tumhain khab'r hay meri zindagi ki aas ho tum!!!
mera tu kuch bhi nahi hay, main ro k jee loon ga
magar Khuda k leye tum aseer-e ghum na raho!
howa hi kya hay jo zamane nay tum ko cheen liya
yahan pe koun howa hay kisi ka socho tu

mujhe kasam hay meri dukh bhari jawaani ki
main khush hoon, meri mohabbat k phool thukra do!
main apni roh ki har ik khushi mita loon ga
magar tumhaari mussarrat mita nahi sakta
main khud ko mout k haathoo.n main sonp sakta hoon
magar ye baar-e masaib utha nahi sakta
tumhaare ghum k siwa aur bhi tu ghum hain mujhe
nijaat jin sey main ik lehza bhi pa nahi sakta!!!!!!

ye oonchey oonchey makanoo.n ki dev'riyoo.n k taley
har aik gaam pe bhookey bikhariyoo.n ki sada
har aik ghar main aflaas aur bhook ka shour
har aik samt ye insaniyat ki aah-o baka
ye karkhaano.n main lohe ka shor-o ghul jin main
hay daf'n laakhoo.n ghareeboo.n ki roh ka naghma
ye shahrahoo.n pe rangeen sariyoo.n ki jhalak
ye jhonpriyoo.n main ghareeboo.n k bekafan laashey
ye maal road pe caroo.n ki rail pail ka shor
ye patriyoo.n pe ghareeboo.n k zard ro bachey
gali gali main ye biktey howa jawaa.n chehrey
haseen aankhoo.n main afsurdagi si chaai hoi

ye jang aur ye merey watan k shokh jawa.n
khareedi jaati hain uth'ti jawaniyaa.n jin ki
ye baat baat pe qanoon-o zabtey ki girift
ye zillatain, ye ghulaami, ye door-e majbori
ye ghum bohat hain meri zindagi mitaane ko
Udaas reh k merey dill ko aur runj na do!!!!!!!!!!!!
 

goodfrndz

"A faithful friend is the medicine of life."
VIP
Aug 16, 2008
12,849
4,072
1,113
محبت والا
bohat bohat zbrdast

~~~shukriya~~~

hamarey saath share krney k liye. . . . .


umeed krtey hain k aap aisay hi hamrey saath share krte rahain gey . . .. . InshaAllah







{Nice post Tm}{(pillow fight)}{(pillow fight)}{(pillow fight)}{Nice post Tm}
{Nice post Tm}{(pillow fight)}{(pillow fight)}{(pillow fight)}{Nice post Tm}
{Nice post Tm}{(pillow fight)}{(pillow fight)}{(pillow fight)}{Nice post Tm}​
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top