khoobsurat shairy by Yaseen Shahi

  • Work-from-home

amj22224

Newbie
Jul 12, 2010
7
2
0
Apney jazbaat ankh mein rakh lo
Bus yehi baat ankh mein rakh lo

Zindagi to safar hai sehra ka
Thori barsaat ankh mein rakh lo

Din se jana’n kabhi chhupa k mujhey
Sirf ik raat ankh mein rakh lo

Main hu’n mehwar tumhari chahat ka
Tum meri zaat ankh mein rakh lo

Jin se khwabo’n mein rang bhar jae’n
Aisey lamhaat ankh mein rakh lo

Shahi hum se wafa parasto’n ki
Koi to baat ankh mein rakh lo


---------- Post added at 11:00 PM ---------- Previous post was at 10:56 PM ----------

Samandar kya kare’n ge qatra-e-shabnam chura lae’n
Jo mumkin ho to zakhm-e-hijr ka marham chura lae’n

Tumhara sath hai to aik bus apna hi jeewan kyu’n
Jaha’n walo’n ki sari umr aao hum chura lae’n

Baharo’n k chaley janey khiza’n aney ka dar na ho
Koi aisa muhabbat ka naya mausam chura lae’n

Khabar ho neend ki paryo’n na hi khwabo’n ki devi ko
Tumhe’n palko’n ki doli mein bitha kar hum chura lae’n

Hame’n jazbaat k sehra ko bhi sairab karna hai
Kisi tootey huey insa’n ki chashm-e-num chura lae’n

Sada ki muskurahat un k honto’n pe sajanay ko
Chalo shahi zara chupkay se un k ghum chura lae’n


---------- Post added at 11:03 PM ---------- Previous post was at 11:00 PM ----------

]"Unbreakable thoughts"
Main apni soch ki har soch mein yehi sochu’n
Na janay tujh se aqeedat ka kon sa bandhan
Hai chahto’n ka ta’aluq ya dosti ki girah
Ya koi rishta-e-subh-e-azal hai rooho’n ka
K raat din teri socho’n mein mast rehta hu’n
Main teri yaad k unmit naqoosh mein dooba
You’n tere pyar ki mojo’n mien mast rehta hu’n
Tere khyal ko meraj-e-ashiqi samjhu’n
Tere jamal ko meraj-e-shayri samjhu’n
Tere wisal ko meraj-e-zindagi samjhu’n
Magar main subh-o-masa soch soch kar sochu’n
K tera hijr bhi aey ga aik din akhir
To mere zehn ki sub kehkashae’n toote’n gi
Na tere qurb k lamhaat laut pae’n ge
Na teri yaad ki ye kashtia’n hi doobe’n gi
Magar main husn-e-azal se sada dua go hu’n
Mere khuda mere dil ki ye iltija sun le
K ab ki baar jo lamhat-e-qurb-e-yaar ae’n
Tamam aalam-e-mojood bhi gawahi de
Hum aik doosaray ko dekhtay rahe’n shahi
Na dharkano’n ki sada tak hame’n sunai de
Mujhe jo qurb ki lazzat se ashna kar de
Wo raat lakho’n baras pe muheet ho jaey
Tu aisi subho k sooraj ko andha kar dena
Jo mere yaar ko mujh se chhura k le jaey.
By:Yaseen Shahi

---------- Post added at 11:04 PM ---------- Previous post was at 11:03 PM ----------

Be wafai se pareshan bhi ho jatey hain
Narm jhonkey kabhi toofaan bhi ho jatey hain

Hum ne mehboob jo badla to ta’ajub kesa
Log kafir se musalman bhi ho jatey hain

You’n to ik dard ka rishta hai zamaney bhar se
Log kuch zeest ka unwan bhi ho jatey hain

Shehr bhar ko main muhabbat to sikha du’n lakin
Khud tarashey huey bhagwan bhi ho jatey hain

Hum to purkho’n ki riwayat ko nibhaney ki liye
Hurmant-e-ishq pe qurban bhi ho jatey hain

Hadisa ho ya koi mojza shahi kuch ho
Rastey pyar k aasaan bhi ho jatey hain.

---------- Post added at 11:05 PM ---------- Previous post was at 11:04 PM ----------

Teri wafa teri hurmat pe harf ata hai
Jo such kahu’n to muhabbat pe harf ata hai

Khud apney husn se tu badguman’n na ho jana’n
You’n aainey ki sadaqat pe harf ata hai

Bus aik khwab tha shaaid tumhara milna bhi
Yaqi’n karu’n to haqiqat pe harf ata hai

Bikhar na paey jo khushbu hi us k paikar se
To phir you’n phool ki fitrat pe harf ata hai

Main apney dil ko banau’n khushi ka maskan kyu’n
Tumharey ghum ki alamat pe harf ata hai

yeh apney khwab zamaney ki ankh mein rakh du’n
Magar kisi ki amanat pe harf ata hai

Sitamgaro’n ko lahoo apna bakhsh de shahi
Wagarna rasm-e-sakhawat pe harf ata hai.


---------- Post added at 11:06 PM ---------- Previous post was at 11:05 PM ----------

Abhi nasr nasr hai zindagi meri zindagi ko ghazal karo
Kabhi aarzuo’n ki jheel mein meri khwahisho’n ko kanwal karo

Kabhi khauf hijr-e-taweel ka kabhi shauq hai teri deed ka
Dil-e-muztarib k ye mas'alay hain jo aao to inhe’n hal karo

Ye jo sar bureeda wajood hai isey apney honto’n ka lams do
Mujhay zindagi ki talab nahi mere naam bus koi pal karo

Na main khush guma’n hu’n wisaal se na tu badguma’n ho firaaq se
Tere dil ka jo bhi hai faisla meri jaa’n usi pe amal karo

Mere saath chalna hai gar chalo mere dil pe shahi tumhari hai
Mujhey chhorna hai to chhor do job hi faisla hai atal karo​


---------- Post added at 11:06 PM ---------- Previous post was at 11:06 PM ----------

Kai badnamia'n hoti , kai ilzam sar jatey
Magar ae kash ham dono'n hamee'n dono pe mar jatey

Agar tum khab hotey to tumhe aankho'n mai rakkh letey
Na goya neend se phir jagtey hatta k marr jatey

Agar hum roshni hotey to phir ahsas ki lau se
Zamee'n ko chhorh detey mill k dono'n chand par jatey

Agar tum phool hotey to tumhari khushboo mein rehtey
Samandar ki tarah hotey to ham tum mein utar jatey

Hamarey khal-o-khadd kaise hain ye ab tak nahi dekha
Agar tum aaina hotey to hamm kitney sanwar jatey

Tumharay husn pe pehra hamaray ishq ka hota
jwa'n rakhtay sada tum ko agar lamhay theher jatey

Agar sooraj hi hotey to phir apni dhoop ki surat
Wajood-e-yaar ki dharti pe SHAHI hum bikhar jatey.


---------- Post added at 11:07 PM ---------- Previous post was at 11:06 PM ----------

Maa’n
Aik hi ehsa’n ka jab badla chukka patey nahi
Khak ho kar qadmo’n mein kyu’n kar bikhar jatey nahi

Ya ghamo’n k shehriyo’n se ab mere meesaaq hain
Ya khushi k basiyo’n se ab mere naatay nahi

Maa’n bina shahi hua ghar aik zinda’n ki tarah
Ab to rehmat k farishtay bhi idhar atay nahi.
Poet:Yaseen Shahi
 
  • Like
Reactions: Innocent_Fairy
Top