Torr diya dil usne mera na jane
kya soch kar
kar liya sabr hamne na jane
kya soch kar
thi na koi khata hamari
phir bhi sah liye sare sitam
hamne na jane
kya soch kar
yakeen hai hame vo bewafa to nahi
kiya usne aisa kis majboori main
na jane
kya soch kar
jo kal tak khilta gulab tha mere aashiyane ka
kar gaya veeran mere gulshan ko
jane
kya soch kar
kal tak tha jo saath mere
meri zindgi ki raho par
aaj vo chala gaya dusre kinare par
tanha mujhe chhodkar na jane
kya soch kar
kal tak jiske labo par naam tha Anwar ka har LAMHA
aaj vo hamare naam se nafrat karta hai
na jane
kya soch kar
kal tak jo saanse chalti nahi thi
hamare bagair
aaj vo saanse chal rahi hai
na jane
kya soch kar
kabhi jo chalte the hamara sahara lekar
aaj vo nikal pade hai raho par
manzilo ki talash main tanha
na jane
kya soch kar
chhor diya usne mujhe zindgi ki raho
main tanha
na jane
kya soch kar