Jahan Rooza-e-Pak-e-Khairul Wara Hain

  • Work-from-home

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
Jahan Rooza-e-Pak-e-Khairul Wara Hain
woh jannat nahin hai tu phir aur kaya hai
kahan main kahan yeh madinay ki galiyaan
yeh kismat nahin hai tu phir aur kaya hai
Jahan Rooza-e-Pak-e-Khairul Wara Hain
woh jannat nahin hai tu phir aur kaya hai
kahan main kahan yeh madinay ki galiyaan
yeh kismat nahin hai tu phir aur kaya hai

Mohammad ki azmat ko kaya pouchtay ho
keh woh sahib-e-Kaaba koosain tehray
Mohammad ki azmat ko kaya pouchtay ho
keh woh sahib-e-Kaaba koosain tehray
bashar ki sar-e-arsh mehmaan navazi
yeh azamat nahin hai tu phir aur kaya hai
bashar ki sar-e-arsh mehmaan navazi
yeh azamat nahin hai tu phir aur kaya hai

jo aasi ko kamli mein apni chupa le
jo dushman ko bhi zakhm khaa k dua de
jo aasi ko kamli mein apni chupa le
jo dushman ko bhi zakhm khaa k dua de
usse aur kaya naam de ga zamana
woh rehmat nahin hai tu phir aur kaya hai
usse aur kaya naam de ga zamana
woh rehmat nahin hai tu phir aur kaya hai

qayamat ka ik din muayin hai laikin
humaray liyai har nafs hai qayamat
qayamat ka ik din muayin hai laikin
humaray liyai har nafs hai qayamat
madinay se hum jaan nisaarun ki doori
qayamat nahin hai tu phir aur kaya hai
madinay se hum jaan nisaarun ki doori
qayamat nahin hai tu phir aur kaya hai

tum Iqbal yeh naat keh tu rahay ho
magar yeh bhi soucha k kaya kar rahay ho
tum Iqbal yeh naat keh tu rahay ho
magar yeh bhi soucha k kaya kar rahay ho
kahan tum kahan madhay mamdohay yazdaan
yeh jurat nahin hai tu phir aur kaya hai

Top