itni si dua hai k aane wala har lamha

  • Work-from-home

sahilsin9

Newbie
Sep 6, 2010
53
13
0
34
india
itni si dua hai k aane wala har lamha
haseen chahton k phool bakshe orooj bakshe
tumhari duniya main roshni ho
tumhari mahfil main khushiyaan hon
tumhare honton pe muskurahat ho
kabhi tum tak dukhon ki dastak na pahunch paye
tumhari aankhon main jo sitare chamak rahen hain
unhi chamkte rahen hamehsa
tumhare dil tak juda-i-yon,be wafa-i-yon ki koi andheri kiran na pahunch paye
khuda kare k tum har dil ka karaar looto
tumhari har ik tamanna har ik khawahish
tumhare honto tak aate aate
tumhare qadmon tak aa pahunche
jo ho sake to tumhare hisse k saare gamon ko
main apne andar jazb karloon
jaanta hoon ye mumkin nahin
lekin dua to mera haq hai
ye dua ka mukhatasar sa tohfa aapke liye
iss naye saal pe aur eid-ul-azha k mauqe par
isse sambhaal kar rakhna
mere andheron ki fikr chod do miss laiba
tum bas apna khayaal rakhna
tum bas apna khayaal rakhna...
 
  • Like
Reactions: mashraki.larka
Top