Intizaar

  • Work-from-home

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Assalaam-O-alaikum Friends

Intizaar, waqayii intizaar insaani zindagi main bohat ahmiyat ka haamil hay, balkay humarii roz marra ki zindagi main, hum kisi na kisi tareeqay say 'Intizaar' main mulawaas rehtay hain.... chalain chand misaalain yahan share kartay hain!

Student ka INTIZAAR:
Student ki zindagi waisay tou bohat 'tense' hoti hay, albatta main apnay jaisay student ki baat nahin kar raha jinhoon nay kitaab hi uss waqt uthayii jab imtihaan sar say guzar chukay thay, khair main TM kay members jaisay achay students ki baat kar raha hoon, unn ko Pehlay Imtihaan ka intizaar aur phir imtihaan kay baad result ka intizaar..... aisay mouqay per shayer hazraat kehtay hain

Bajayay Seenay kay aankhoon main dil dhaRakta hay
Yeh intizaar kay lamhay ajeeeb hotay hain.......!

Sachay Aashiq ka INTIZAAR:
Waisay tou aisi 'Makhlooq' bohat kamm dastiyab hay, magar jo ginnay chunay hain woh iss 'Marz-e-intizaar' main bohat hi shiddat kay saath mubtala hotay hain, aksar raatoon ko 'Missed call' ka intizaar kartay hain, mobile ko Silent per rakh kar, taakay koi aur tone naa sunn lay, aur kuch aik deedar kay intizaar kay liye laRkii kay ghar kay bahar khaRay rehtay hain kay shayed abhi 'Rassi per kapRay daalnay' yaa 'Dastarkhuwaan jhaRaknay' kay liye gallery main aayay gi... matlab aisay log srif aur srif 'Intizaar' main hi basar kar daitay hain aur laRki kay waldain kahin aur shaadi kar kay uss ko 'Rukhsat' kar daitay hain aur yeh sahab intizaar main hi MOHABBAT ka 'Baykaar' aur 'Ruswa' aur JHOOTA honay ka FATWA jaari kar daitay hain Iss situation kay liye sha'air hazraat kehtay hain:

Chalo Chhorro!!!
Mohabbat Jhoot Hay
Ehd-e-Wafa ek Shughal Hay Bay-Kaar Logon Ka
Talab, Sukhey Huway Patton Ka Bay-Ronaq Jazeera Hay
Khalish, Deemak Zada Aoraq Per Boseeda jabzob Ka Zakheera Hay
Chalo Chorro!
Mohabbat Jhoot hay!

Dil phaik aashiq ka INTIZAAR:
Aisay aashiq har jaga dastiyaab hain, aik kay saath dosra free ki offer bhi datiyaab hay baaz jagaoon per but 'until stock lasts basis' per, pehlay aaayey pehlay paayey... yeh aap ko Shadi ki mehfil main milay gii kay 'teri waali, meri waali' khetay huway ... yeh aap ko gali mohallay main milay gain 'teri bhabhi, meri bhabhi' kehtay huway, yeh aap ko 'aksar college ki canteen' main bhi milay gay 'letter exchange kartay huway' ... waisay tou inhain INTIZAAR ka koi khaas shouq nahin hota, baRi aasaani say dil dosri taraf muntaqil kardaitay hain aur woh bhi baghair surgery kay /lol magar jab yeh intizaar main mubtala hotay hain tou sha'air hazrat aisi kafiyat ko kuch aisay bayan kartay hain.....!

Socha tha har modd pe tumhara intezar karenge,
Socha tha har modd pe tmhara intezar krenge,

Per kia karay, kambkhat Sadak hi seedhi nikli

Likhna tou bohat kuch baaqi hay, magar yahii per khatam karta hoon, kahin kisi aur thread main INTIZAAR kijyey, shukriya and khush rahyeh, insaan ko KHUSHIYON kay intizaar main apnay aaj per HANSNA nahin bholna chayeh, KEEP SMILING :)

PS: Main nay socha kay apnay mood ko referesh kartay hain :) 4 saal ka intizaar kar laitay hain... =))

@h@!der @Shizu @Hoorain @Rubi @Fanii @Shiraz-Khan @xortica_ @NailaRubab @DesiGirl @Fantasy
 
  • Like
Reactions: Seap and DesiGirl

Rubi

๋• ˆ⌣ˆ ● ĴнαLLi ● ˆ⌣ˆ •๋
Hot Shot
Aug 17, 2010
47,979
14,096
913
WoℵdeℜLaℵd ツ

LOL :D
 
Top