inhain main dhuundhta tha

  • Work-from-home

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
inhain main dhuundhta tha aasmaano'n main zamino'n main
vo nikale mere zulmat-e-khaanaa-e-dil ke makeeno'n main

mahenay vasl ke ghariyon ki suurat ur'te jaate hain
magar ghariyan judai ki guzarti hai mahino'n main

mujhe rokegaa tu ay naa-khuda kya gharq hone se

ke jin ko doubna hai doub jaate hain safiino'n main


jala sakti hai sham-e-kushta ko mauj-e-nafas un ki

ilaahi kya chupa hota hai ahl-e-dil ke seeno'n main


tamanna dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiiron ki

nahin milta ye gouhar baadashaahon ke khazeeno'n main

muhabbat ke liye dil dhoundh koi toutne vaala

ye vo may hai jise rakhte hain naazuk aab-giino'n main

bura samjhun unhain mujh se to aisa ho nahin sakta

ke main khud bhi to hoon "Iqbal" apne nuktachiino'n main
 
Top