Ghazals And Ashaar

  • Work-from-home

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Yahan Har Shaks Har Pal Haadsa Hone Se Darta Hai
Khilona Hai Jo Mitti Ka Fana Hone Se Darta Hai

Mere Dil Ke Kisi Kone Mein Ek Masoom Sa Bachcha
Badon Ki Dekhkar Duniya Bada Hone Se Darta Hai

Na Bus Mein Zindagi Iske Na Qaboo Maut Par Iska
Magar Insaan Phir Bhi Kab Khuda Hone Se Darta Hai

Ajab Ye Zindagi Ki Qaid Hai, Duniya Ka Har Insaan
Rihaai Mangta Hai Aur Riha Hone Se Darta Hai
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
is Jagah Thehru Ya wahan Se Sunoo
Main Tere Jism Ko Kahan Se Sunoo

Mujhko Aaghaaz-e-Dastan Hai Azeez
Teri Zid Hai Ki Darmiyan Se Sunu

Teer Ne Aaj Kya Shikaar Kiya
Is Ki Tafseel Main Kahan Se Sunu

Raat Kya Kuch Zameen Par Beeti
Pehle Tujhse Phir Aasman Se Sunu

Kitni Masoom Si Tammanna Hai
Naam Apna Teri Zaban Se Sunu
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Ye Saara Jism Jhuk Kar Bojh Se Dohra Hua Hoga
Main Sajde Mein Nahi Tha, Aapko Dhoka Hua Hoga

Yahan Tak Aate-Aate Sookh Jati Hain Kai Nadiyan
Mujhe Maloom Hai Paani Kahan Thehra Hua Hoga

Gazab Ye Hai Ki Apni Maut Ki Aahat Nahi Sunte
Wo Sab-Ke-Sab Pareshan Hain Wahan Par Kya Hua Hoga

Tumhare Shahar Mein Ye Shor Sun-Sun Kar To Lagta Hai
Ki Insaano Ke Jungle Mein Koi Haanka Hua Hoga

Kayi Faaqe Bitakar Mar Gaya, Jo Uske Baare Mein
Wo Sab Kehte Hain Ab, Aisa Nahi, Aisa Hua Hoga

Yahan To Sirf Guunge Aur Behre Log Baste Hain
Khuda Jaane Yahan Par Kis Tarah Jalsa Hua Hoga

Chalo, Ab Yadgaron Ki Andheri Kothri Kholein
Kam-Az-Kam Ek Wo Chehra To Pehchana Hua Hoga
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
tum Apne Khat Men Yu Lafzon Kaa Silsila Rakhna
Har Ek Lafz Ka Mafhum Dusra Rakhna

Tumhare Lab Kii Mahek Raaz Faash Kar Degi
Lifafa Band Na Karna Yunhi Khula Rakhna

Na Itna Toot Ke Miliye Ke Dil Pe Shak Guzre
Khuloos Mein Bhi Zaruri Hai Faasla Rakhna

Main Zindagi Mein Kahin Tumse Mil Hi Jauunga
Magar Ye Shart Hai, Bichadne Ka Hausla Rakhna

Ye Soz-O-Karb Mujhe Tajrubo Ne Bakhsha Hai
Jalaana Shamm’a To Daaman Se Faasla Rakhna...
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Mujhe Bujha De, Mera Dard Mukhtasar Kar De
Magar Diye Kii Tarah Mujh Ko Mo’atbar Kar De

Merii Talaash Ko Be-Naam-O-Be-Safar Kar De
Main Tera Raasta Chhodu To Dar-Ba-Dar Kar De

Judaaiiyo Ki Ye Raaten To Kaatni Hongi
Kahaaniyo Ko Ko’ii Kaise Mukhtasar Kar De

Tere Khayaal Ke Haatho Kuch Aisa Bikhra Hu
Ke Jaise Bachaa Kitaaben Idhar-Udhar Kar De
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Kitna Poshida Havaao Kaa Safar Rakha Gaya
Aane Vale Mausamo Se Be-Khabar Rakha Gaya

Aaj Bhi Phirta Hu Uski Justuju Men Har Taraf
Kaun Si Basti Men Aakhir Mera Ghar Rakha Gaya

Chand Mubham Khwaab Aankhon Men Liye Phirta Hu
Aur Kya Mere Liye Zaad Safar Rakha Gaya

Dosto Men Kuch Meri Pehchan To Baaqi Rahe
Is Liye Mujh Men Ajab Ajab Hunar Rakha Gaya

Is Hatheli Par Chamakti Ret Ke Zarre Hain Ab
Jis Hatheli Par Kabhii Ganj-Guhar Rakha Gaya

Mera Apnaa Khauf Hi Kya Kam Tha Lekin Ae“VASIM”
Meri Apni Zaat Men Kis Kis Ka Dar Rakha Gaya
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Tune Ye Phool Jo Zulfo Men Sajaa Rakha Hai
Ek Diya Hai Jo Andhero Men Jala Rakha Hai

Jiit Le Jaaye Ko’ii Mujhko Nasibo Vaala
Zindagii Ne Mujhe Daanv Pe Lagaa Rakha Hai

Jaane Kab Aaye Ko’ii Dil Men Jhankne Vaala
Is Liye Mainey Girebaa Khula Rakha Hai

Imtehan Aur Mere Zabt Ka Tum Kya Loge
Main Ne Dhadkan Ko Bhi Seeney Men Chhupa Rakha Hai

Dil Tha Ek Shola Magar Biit Gaye Din Vo “Qateel”
Ab Kuredo Na Ise Raakh Men Kyaa Rakha Hai
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Zindagi Ye To Nahi Tujhko Sanvaara Hi Na Ho
Kuch Na Kuch Tera Ehsaan Utaara Hi Na Ho

Kuu-E-Qaatil Ki Bari Dhoom Hai, Chal Kar Dekhey
Kya Khabar, Kucha-E-Dildaar Se Pyara Hi Na Ho

Dil Ko Chhu Jaati Hai Raat Kii Aavaaz Kabhi
Chaunk Uthta Hu Kahi Tuney Pukara Hi Na Ho

Kabhi Palko Pe Chamakti Hai Jo Ashko Ki Lakeer
Sochta HuTere Aanchal Ka Kinaara Hi Na Ho

Zindagii Ek Khalish De Ke Na Rah Jaa Mujhko
Dard Vo De Jo Kisi Soorat Gavaara Hi Na Ho

Sharm Aatii Hai Ke Us Shaher Mein Hum Hain K Jaha
Na Mile Bheek To Laakho Ka Guzaara Hi Na Ho
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Khushbuu Jaise Log Mile Afsaane Mein
Ek Purana Khat Khola Anjane Mein

Jaane Kis Ka Zikr Hai Is Afsane Mein
Dard Maze Letaa Hai Jo Duhrane Mein

Shaam Ke Saaye Baalishto Se Naape Hain
Chaand Ne Kitni Der Laga Di Aane Mein

Raat Guzarte Shayad Thoda Vaqt Lage
Zara Si Dhoop Undel Mere Paimane Mein

Dil Par Dastak Dene Ye Kaun Aaya Hai
Kis Ki Aahat Sunta Hun Virane Mein
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Haseen Kitna Ziyada Ho Gaya Hai
Vo Jab Se Aur Saada Ho Gaya Hai

Chalo Ham Bhi Muhabbat Kar Hi Lenge
Agar Us Ka Irada Ho Gaya Hai

Bhula Dunga Use Agle Janam Tak
Mera Us Se Ye Vada Ho Gaya Hai

Ghari Bhar Uski Aankho Mein Utar Kar
Samandar Bhi Kushaada Ho Gaya Hai

Bichadne Ka Use Bhi Dukh Hai Shaayad
Ke Ab To Vo Bhi Aadhaa Ho Gaya Hai
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Haath Mera Ae Meri Parchhayi Tu Hi Thaam Le
Ek Muddat Se Mujhe To Soojhta Kuch Bhi Nahi

Shahr-E-Shab Mein Kaun Sa Ghar Tha, Na Di Jis Par Sadaa
Neend Ke Andhe Musaafir Ko Mila Kuch Bhi Nahi

Umr Bhar Umr-E-Gureza Se Na Meri Ban Saki
Jo Kare, Kartii Rahe, Main Poochta Kuch Bhi Nahi

Vo Bhii Shaayad Ro Padey Veeran Kaaghaz Dekh Kar
Mainey Usko Aakhiri Khat Mein Likha Kuch Bhi Nahi
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Mujh ko shikast-e-dil ka mazala yaad aa gaya
Tum kyu udaas ho gaye, kyaa yaad aa gaya

Kehne ko zindagi thi bahut muKhtasar magar
Kuch yu basar hui k Khuda yaad aa gaya

Barse baGhair hi jo ghata ghir ke khul gayi
Ek be-vafaa ka ahd-e-vafaa yaad aa gaya

Mangengey ab dua ke use bhool jaaye hum
Lekin jo vo bawaqt-e-du’aa yaad aa gaya...
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
duusaro ko hamaari sazaayein na de
chaandni raat ko bad-duaayein na de

phool se aashiqi ka hunar seekh le
titliya Khud rukengi sadaayein na de

sab gunaaho ka iqaraar karne lagey
is qadar Khubasoorat sazaayein na de

motiyo ko chhupa sipiyo ki tarah
bevafaao ko apani vafaayein na de

main bikhar jaunga aansuo ki tarah
is qadar pyaar se bad-duaayein na de
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Sheher E Khayal O Khawab Me Abad Ho Gaya
itna Usay Parha K Mujhay Yaad Ho Gaya

Main Aaj Tak Hu Jis K Fareb O Hisaar Mein
Wo Or Hi Kisi Ka Merey Baad Ho Gaya

Aandhi Hawa Ka Saath Nibhane K Shok Mein
Koi Tabah Hua Koi Barbad Ho Gaya

Apni To Sari Umer Aseeri Me Kat Gayi
Jisney B Haar Maan Li Aazad Ho Gaya

Pehle To Tanhaiyo Se Rahi Guftagu Meri
Phir Yu Huwa K Aaina Ejaad Ho Gaya..
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Dil se Dil ka Rabta Achha Laga
Aaj Usko Sochna Achha Laga

Jaate Jaate Aakhri LaMhaat Mein
Mud Kar Uska Dekhna Achha Laga

Zindagi Bhar Usne Jo Kuch Bhi Kiya
Uska Har Ek Faisla Achha Laga

Har Taraf Thi Bawafa Logo ki Bhid
Ek Wo Hi Bewafa Achha Laga...
 
Top