Four Lines Poetry Collection :)

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Duniya aik ajab saraye-faani* dekhi
Har cheez yahan ki aani jaani dekhi.
Jo aakay na jaaye woh burhapa dekhaa.
Jo jakay na aaye ..woh jawaani dekhi.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Ruthi Si Zindagi ko Manana To Aata Hai,
Logon ko Hasana To Aata Hai,
Kya Hua Jo Na Bas Sake Kisi Ke Dil Mein,
Logon Ko Apne Dil Mein Basana To Aata Hai.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
kya acha kya bura kya bhala dekha,
ab bhi dekha tuhe apne ru ba ru dekha,
socha bahut bhulkar sochun na tujhe,
jis raat ankh lagi fir tujhe har su dekha.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Wo jo mera ho nigahon main haya rakhta ho,
Umar bhar saath nibhay azm-e-waffa rakhta ho,
Naz uss kay na uthao to shikayat na kary,
Gham utha kar bhi muskarany ki ada rakhta ho.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Qissa abbi hijaab se agey nahi barha,
Main ap, abhi janab se agey nahi barha,
Muddat hui kitaab-e-mohabbat shuru kiye,
Lekin mein pehle baab se agey nahi barha..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Har ek shab meri taazah azaab mein guzri,
Tumharay baad tumharay hee khwaab mein guzri,
Mein ek phool hun wo mujhe rakh ke bhool gaya,
Tamaam umer usi ki kitaab mein guzri..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Teri hi yaadon mein main apna naam bhool jata hoon,
Milna tha kis ko, sabhi main kaam bhool jata hoon,
Barri mushkil si hoti hai wapis hosh main aney ko,
Kab sona kab jagna, subah se shaam bhool jata hoon..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Kabhi hum tutey toh kabhi khwaab tutey,
Na jane kitne tukron mein armaan tutey,
Har tukra aayina hai zindagi ka,
Har aayine ke saath laakhon jazbaat tutey..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Gham’zadon* par is qadar hota hai maazi ka assar,
Shadmaani main bhi aksar muskuraa saktey nahin,
Jis tarah do taalib-o-matloob naraazi ke baad,
Mudatton ik dusrey ke dilon se jaa saktey nah
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Ghanney darakht ke neechey sulaa ke chorr geya,
Ajeeb shakhss tha sapney dikhaa ke chorr geya,
Yeh ujrra hua ghar to usi aik ki nishaani hai,
Jo apne naam ki takhti* lagaa ke chorr geya..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Ek ajeeb sa manzar nazar aata hai,
Har ek qatra samandar nazara aata hai,
Kahan banaaon main ghar sheeshey se,
Har kisi ke hath mein pathar nazar aata hai..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Abhi bahaar baaqi hai chaman mein,
Abhi shaakh se phool torna theek nahin,
Abhi sheher ke logon ko zarurat hai roshni ki,
Abhi hawaaon ka rukh morrna theek nahin..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Abhi to shikaytain hain dil badnaseeb se,
Ik din kisi ko dekh liya tha qareeb se,
Us ke baghair bhi wohi hai zindagi ka daur,
Halaat-e-zindagi bhi hain ajeeb se..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Ek Ajnabi Hai Magar, Rooh Shanas Lagta Hai,
Meri Tarha Mujhe Wo Bhi Udaas Lagta Hai,
Karu’n Talash Toh Ho Shaq Wajood Par Usky,
Jo Aankhein Band Karun Toh Aas Paas Lagta Hai..!!!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Gilley hain hazaron ke badle ho kyon tum,
Magar ab karain kyon gillaa ajnabi se,
Azal hai neendain ganwaaney ka silsila,
Yeh acha nahin silsila ajnabi se..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Dil jo toota hai to dil ke konon se,
Teri meri nishaniyan nikli’n,
Tu gaya hai to mere yaaron mein,
Kesi kesi kahaniyan nikli’n…
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Aese Bichrro Nahin, Sadaa Ke Liye,
Mujh Se Rootho Na Tum, Khuda Ke Liye,
Main Ne Manga Hai Bas Tumhe Rab Se,
Hath Jab Bhi Uthey Dua Ke Liye..
 
Top