" Faraz"

  • Work-from-home

$HADOW

Super Star
Dec 24, 2009
11,672
1,740
713
FLORIDA
Teri Dosti ne diya “SAKOON” itna,
Ke tere baad koi “ACHA” na lagey,
Tujhe karni hai “BEWAFAI” ‘FARAZ’to is ada se kar,
Ke tere baad koi “BEWAFA” na lagey
 

$HADOW

Super Star
Dec 24, 2009
11,672
1,740
713
FLORIDA
Tum bhi khafa ho log bhi beraham hain dosto
Ab ho chala yaqin k bure ham hain dosto

Kis ko hamare hal se nisbat hai kya karain
Ankhain to dushmano ki bhi purnam hain dosto

Apne siva hamare na hone ka gam kise
Apni talash main to ham hi ham hain dosto

Kuch aj sham hi se hai dil bhi bujha bujha
Kuch shahar k chirag bhi madham hain dosto

Is shahar-e-arzu se bhi bahar nikal chalo
Ab dil ki raunaqain bhi koi dam hain dosto

Sab kuch sahi 'Faraz' par itna zarur hai
Duniya main aise log bahut kam hain dosto
 

$HADOW

Super Star
Dec 24, 2009
11,672
1,740
713
FLORIDA
Tere hote hue mahfil main jalte hain chirag
Log kya sada hain suraj ko dikhate hain chirag

Apni mahrumiyo pe sharminda hain
Khud nahi rakhte to auro k bujhate hain chirag

Bastiyan chand sitaro pe basane vale
Kurra-e-arz bujhate jate hain chirag

Kya Khabar hai un ko k daman bhi bharak uthte hain
Jo zamane ki havaon se bachte hain chirag

Aisi tarikiyan ankho main basi hain 'Faraz'
Rat to rat ham din ko jalate hain chirag
 

$HADOW

Super Star
Dec 24, 2009
11,672
1,740
713
FLORIDA
Tarap uthun bhi to zalim teri duhai na dun
Main zakhm zakhm hun phir bhi tujhe dikhai na dun

Tere badan main dharakne laga hun dil ki tarah
Ye aur bat k ab bhi tujhe sunai na dun

Khud apne ap ko parakha to ye nadamat hai
K ab kabhi use ilzam-e-bevafai na dun

Mujhe bhi dhundh kabhi mahv-e-ainadari
Main tera aqs hun lekin tujhe dikhai na dun
 
Top