Faraz ki khaalis ghazalein

  • Work-from-home

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Qatal e ishaaq me ab izar ne kiya BISMILLAH
sub gunehgar hain razi ba raza BISMILLAH

meqade ke adab adaab subhi jaante hain
jaam takraaye to waaiz ne kaha BISMILLAH

hum ne ki ranjish e beja ki shikaayat tum se
ab tumhein bhi hai agar koi gila BISMILLAH

but e kafir ho to aisa ke sar e raahguzar
paanv rakhe to kahe qhalk e khuda BISMILLAH

hum ko gulchen se gila hai gul o gulshan se nahin
tujh ko aana hai to aa bad e saba BISMILLAH

girte girte jo sanbhaala liya qaatil ne Faraz
dil se aaiy kisi bismil ki sada BISMILLAH

 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Uska apna hi karishma hai fasoon hai youn hai
youn to kehne ko subhi kehte hain youn hai youn hai

jese koi dar e dil pe ho sataada kab se
eik saaya na daroon hai na baroon hai youn hai

tum ne dekhi hi nahin dast e wafa ki tasveer
noke har khar pe ik qatra e khoon hai youn hai

tum mohabbat me kahaan sood o ziyaan le aaye
ishq ka naam khard hai na junoon hai youn hai

ab tum aaye ho meri jaan tamaasha karne
ab to darya me talatam hai na sukoon hai youn hai

nasiha tujh ko khabar kya ke mohabbat kya hai
roz aa jata hai samjhata hai youn hai youn hai

shayari taza zamaanon ki hai memaar Faraz
yeh bhi eik silsila e kun faikoon hai youn hai
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK

Bheid paayen to

Bheid paayen to rah e yaar me gum ho jaayen
warna kis waaste bekaar me gum ho jaayen

kya karen arz tamanna ke tujhe dekhte hi
lafz pairaye izhaar me gum ho jaayen

yeh na ho tum bhi kisi bheer me kho jao kahin
yeh na ho hum kisi bazar me gum ho jaayen

kis tarah tujh se kahein kitna bhala lagta hai
tujh ko dekhein tere didaar me gum ho jaayen

hum tere shouq me youn khud ko ganwa bethe hain
jese bache kisi tehwaar me gum ho jaayen

peich itne bhi na do kurmak e resham ki tarah
dekhna sar hi naa dastaar me gum ho jaayen

aisa aashoob e zamana hai ke dar lagta hai
dil ke mazmoon hi na ashaar me gum ho jaayen

shehryaaron ke bulaawe bohot aate hain Faraz
yeh na ho aap bhi darbaar me gum ho jaayen
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Roug aise bhi ghum e yaar se lag jaate hain
dar se uthte hain to diwaar se lag jaate hain

ishq aghaaz me halki si khalish rakhta hai
baad me senkron azaar se lag jaate hain

pehle pehle hawas ik aadh dukan kholti hai
phir to bazar ke bazar se lag jaate hain

be basi bhi kabhi qurbat ka sabab banti hai
ro na paayen to gale yaar se lag jaate hain

katarnein ghum ki jo galion me uri phirti hai
ghar me le aao to anbaar se lag jaate hain

dagh daman ke hon dil ke hon ke chehre ke Faraz
kuch nishan umer ki rafaat se lag jaate hain
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Guftagoo achhi lagi zouq e nazar achha laga
muddaton ke baad koi humsafar achha laga

dil ka dukh jaana to dil ka masla hai per humen
uska hans dena humare haal per achha laga

har tarah ki be sar o samanion ke bawajood
aaj wo aaye to mujhko apna ghar achha laga

baghban gulchen ko chahe jo kahe hum ko to phool
shakh se barh ker kaf e dildar per achha laga

koun maqtal me na pohncha koun zalim tha jise
tegh e qatil se zyada apna sar achha laga

hum bhi qaaiyl hain wafa me ustawari ke magar
koi poochhe koun kis ko umer bhar achha laga

apni apni chaahatein hain loug ab jo bhi kahein
ik pari e pekar ko aashafta sar achha laga

Meer ke manind aksar zeest karta tha Faraz
tha to woh diwana sa shayar magar achha laga
 
Top