FANA ki raah par koi ..................

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Fana ki raah par koi dubara ja nhi sakta
guzarta pal kabhi phir se guzara ja nhi sakta

bohat nazdeek ho kar bhi wo itna door hay mujh se
ishara ho nhi sakta, pukara ja nhi sakta

ye madd_o_jazar dunya khail hay saanp aur seerhi ka
yahan se aur aagey istaara ja nhi sakta

issey main kis tara paaoon wo mujh tak kis tara pohanchey
k apni raah se hat kar sitara ja nhi sakta

jahan tak khawahishain is aadam_e_khaaki ki jaati hain
wahan tak zindagi ka goshwara ja nhi sakta

koi poochey k aakhir ye wafa ka baujh kaisa hay
sahara bhi nhi jaata, utara ja nhi sakta

kahi pe ruk bhi sakta hay hamarey ishq ka soda
k janan had se aagey to khasara ja nhi sakta
 

whiteros

'"The queen of kindness''
Super Star
Dec 20, 2011
10,936
3,866
1,313

jahan tak khawahishain is aadam_e_khaaki ki jaati hain
wahan tak zindagi ka goshwara ja nhi sakta

wah wa ZABARDAST
 
  • Like
Reactions: hoorain
Top