>>ek Mulaqat - Different Yet Similar Story<<

  • Work-from-home

Ahmad-Hasan

❤ ♡ ❤ Roamer ❤ ♡ ❤
TM Star
May 17, 2014
3,409
1,312
413
EARTH

Ok guys so another story with the same title by me obviously. Kuch khas nahi ha bs kuch feelings hi hein.
Socha yaha bhe share kr du. Bohot arsey sa apna kuch likha hua share nahi kia.

Subah k 5 buj rahey tah aur wu jogging kr rha tah. Itna haseen manzar usney aaj sa pehla kabhi nahi dekha tah. Chushmey sa pani ki khunak, Durkhto sa parindo ka geet, Aur asman pa sooraj ki Gulabi Aahut. Itna beshumar husan dekh kar uski zaban per khud hi Humd-O-Naat jari hu rhey tah. Aisey husan ko dekh kr shayir ka dil shayri krny ko machlta, musavar ka dil usey tasveer mein qaid krny ko krta aur musanif ka dil us ko tehreer krny ko krta. Achanak uski socho mein tehrao aa gya. Na srf uski sochein balkey wu khud bhe ruk gya.

Wu aj phir sa wahein bethi the. Usi makhsos andaz mein, makhsos kitaab k sath. Pta nahi q per jab beh wu usey dekhta uskey qadam khud bakhud ruk sa jatey, uski sochein thum jati. Wu nazuk c larki the. Darmiyaney sa kud ki the. Reddish brown lambey baal tah uskey. Bari bari c ankhein the. Uskey Labo pa hur wakt halki c muskurahat bikhri rehti the. Per janey q wu akeli akeli lagti the. Jis trha wu apney ap mein simat kr khri huti ya bethi huti wu masoom tu tah per defensive bhe tah. Uski ankho aur chehrey pa dunia jahan ki hairat aur masomiyat huti. Phir bhe aik jhukao sa huta uski ankho mein. Wu dunia sa dour q rehti? Itni muhtaat q huti hur wakt? Muskurati hur wakt per hansti q nahi? Uski ankhein akeilapun ki gavahi q deti? Itni khamosh q rehti wu?

Ahista ahisa wu uskey pas gya aur bol pura, “Aj phir sa shayri parh rahi?”

Laaiqah na sur utha kr uski trf dekha aur muskura kar sur hila diya.

Aaban: “Tumhein shayri bohot psnd ha kia?”

Laaiqah aik bar phir muskuratey hua boli: “Aik tarha sa”

Aaban: “Kia matlab?”

Laaiqah: “Matlab ya k shayri nahi mjhy bas lafzo sa matlab huta chahey wu phir ksi kahani mein hu ya shayri ki form mein hu.”

Aaban: “Tum itni bari bari batein q krti akhir?”

Laaiqah phir sa muskura di aur boli: “Q k shayid mjhy ati hi yahi hein”

Aaban gussa mein bola: “Kia matlab ‘shayid’, tumhy apna nahi pta kia?”

Laaiqah halka sa hans pari aur boli: “Ap apney barey mein jantey kia?”

Aaban: “Janta hu mein apney ap ko”

Laaiqah: “Hmm kia ap ya jantey k jab ap gussa mein huty tu ap apney hath behnch letay aur apki ankhein roothi roothi lagti?”

Aaban: “Baat ka rukh mut badlo … Mein tum sa tumharey barey mein poch raha”

Laaiqah: “Kuch kahanio ko unsuni hi rehna dena chahiya. Kuch batou ko unkahi rehna dena chahiya, kuch paheliyu ko uljha hi rehna dena chahiya. Aur kuch logo ko khamosh hi rehna dena chahiya”

Aaban: “Tum itni fulsafi batein q krti hu akhir? Umar dekhu apni tum. Aur phir beh .. itna akeilapun q ha tum mein? Tum itni sweet hu .. logo ka bahir nahi pehla andur dekhti. Phir q akeli hu tum?”

Laaiqah hans pari aur kehna lagi: “Isi liya tu akeli hu q k mein ander sa dekhti logo ko.”

Aaban khamosh hu gya .. hairat ki baat the k wu apni sari zindagi kabhi itna khamosh nahi hua jitna Laaiqah usey kr deti. Us sa mulaqat uski aik din pehla hi hui the per ab tuk wu kayi bar uska ander bahir sb khamosh kr chuki the.

Achanak Laaiqah uth khari hui aur janey lagi wapis.

Aaban sa raha na gya aur bol para: “Sunu. Tum kal yaha hu gi?”

Laaiqah muskura di aur boli: “Nahi”

Aaban: “Phir kab milo gi tum?”

Laaiqah na muskuratey hua bas itni c baat kahi k, “Dil machis ha usko na tum sulgaoo… Bheega rehna du isko na bhurkao.”

Aur phir wu Allah hafiz keh kr chali gyi.

Aaban janta tah k wu usey phir kabhi nahi nazar aye gi. Janey q uska dil udas tah. Us paheli jesi larki sa uski Ek Mulaqat … bs Ek Mulaqat hi bun kr reh gyi.

u ki story prh k mjy taaniya naaz yaad a jati
 
Aaylaaaaa

priNcess
TM Star
Sep 25, 2014
4,096
2,430
1,313
kohkaaf

bht khoob
 
  • Like
Reactions: Syeda-Hilya
Top