"Dr Abdul Qdeer Khan aur Atomi Pakistan" se iqtibas

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113


"Main Pakistan uss waqt aya jb no umer larka tha..Ajmair se Mona Bao tak Hindu police walon ne jo touheen amaiz salook kiya thawo kabhi faramosh nahin ker sakoon ga..dar Haqeeqat ye baat us waqt meri samajh main ayi k Quid e Azam ne Pakstan kun qayem kia..
Bhopal main musalmanon ka koi mustaqbil nahin reh gya tha.bhayon ne Karachi [COLOR=#000000 !important]anay[/COLOR] k liye likha to walid sahab ne Bhopal k haalat ka andaza kertay huay ijazat de di. main ne azm e safar baandha,ek box main apni chund kitaben or chund kapray rakhay or Bhopal se baraasta Ajmair, Loni, Chatod,Baarmeer Mona bao bazarya rail gaari Mona Bao k liye rawana ho gya.
main iss safar main iss lehaz se tanha tha kmera koi aziz ya shanasa sath na tha lekin iss safar main Bhopal k kitnay hi muslim gharanay meray humsafar thay. iss safar main hindu police or railway mulazimin ne luttay puttay muslim musafiron k sath jo ziadatyan or na qabil e bayan zillat amaiz salook rawa rakha usay main kabhi nahin bhula sakta. zalimon ne musalman mardon,aurton or bachon se sab kuch cheen liya hatta k aurton k kanon se baliyan tak noch lin.ticket checker inn musafiron se checking k bahanay ticketletay or jab tak unhain kuch nazrana paish na kia jata wapis na kertay.wo iss hadd tak gir gaye thay k unhon ne mujh se mera qalam tak cheen liya.main khamoshi se ye sab muzalim apnay dil per sehta raha.meri ankhon k ansu musalmanon ki halat dekh kr ro ro k khushk ho gaye.
railway ka ye safar Mona Bao per khatam hua yahan se aagay 7, 8 k/m ka safar raigistan ka tha. Ta hadd e nazar rait hi rait thi koi darakht saya dar na tha. main ne tapti rait per nangay pauon safar kiya kun k jootay rait main dhuns jatay thay iss liye wo utaar kr hath main le liye thay.sir per kitabon ka sandooq, tapti jhulasti rait per chaltay chaltay meray pauon main chaalay ubhar ayay thay.Mona Bao ya kahin or ruk bhi na saktay k din din main hamen Pakistan ki sarhad per pohonchna tha.
No Man Land ko uboor ker k jab main Pakistan main dakhil hua to yun mehsoos hua k jaisay kisi parinday ko pinjray se azad ker diya gya ho.Qalb o rooh main musarrat ki leher dour gayi or sab ne Pakistanzindabad k naaray buland kiye.Khokhra paar ki sarhadi chouki per lehlehatay huay sabz hilali parcham ne nayi zindagi ka pegham diya.wahin main ek tandoor per roti khanay baith gya.ye gosht ka salan or tandoori roti thi main ne khoob sair ho ker khayi. main ne chouki se rukhsat hotay waqt sabz hilali parcham ko selute kiya or sachay jazbay se qasam khayi k:
AEY MERAY PAK WATAN ! MUJHAY TERAY SHAHEEDON KI QASAM MAIN APNI SAARI ZINDAGI TERAY NAAM KERTA HUN.PHIR MAIN NE ALLAH TALA SE DUA KI K AEY MERAY MOULA MERAY IRADON KO ISTIQAMAT DE.MAIN APNAY MULK OR BE BAS QOUM K LIYE KOI BARA KAAM KER SAKOON."

("Dr Abdul Qdeer Khan aur Atomi Pakistan" se iqtibas)​
 
Top