Dard Phail Jai To..

  • Work-from-home

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
Dard Phail Jai To

Ek Waqt Aata Hai

Dil Dharakta Rehta Hai

Aarzo Gazeedon Ke

Hosle Nahi Chalte

Dasht e Be Yaqeeni Main

Aasre Nahi Chalte

RehRoun Ki Aankhon Main

Manzilen Na Jab Tak Ho

Qaafle Nahi Chalte

Ek Zara Tawajja Se

Dekhiye To Khulta Hai

Log In Pe Chalte Hain

Raaste Nahi Chalte

Soochne Samajhne Se

Saath Saath Chalne Se

Dooriyan Simatti Hain

Faasle Nahi Chalte

Khuwab Khuwab Aankhon Main

Ratjage Nahi Chalte

Darguzar Ke Halqe Main

Mas'Ale Nahi Chalte

Do Dilon Ki Qurbat Main

Teesra Nahi Hota

Waaste Nahi Chalte

Bakht Saath Chalta Hai

Taabe Azmaon Ke

Waqt Raam Karne Main

Tajziyon Ke Daon Kiya

Tajrube Nahi Chalte

Ishq Ke Ilaqe Main

Hukm e Yaar Chalta Hai

Zaabte Nahi Chalte

Husn Ki Adalat Main

Aajizi To Chalti Hai

Martabe Nahi Chalte

Dosti Ke Rishton Ki

Parwarish Zarori Hai

Silsile Talluq Ke

Khud Se Ban To Jaate Hain

Lekin In Shagofon Ko

Tootne Bikharne Se

Rokna Bhi Parta Hai

Chahaton Ki Mitti Ko

Aarzoun Ke Podon Ko

Senchna Bhi Parta Hai

Ranjishon Ki Baaton Ko

Bhoolna Bhi Parta Hai...!!
 
Top