Dahej Ek Lanat

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Assalamu Alaykum Wrwb :)

Miskeeno ko is lanat se bacha ya rab
Zahir islami to batin bhi islami bana ya rab

Kaise ho frnds
Kuch din pehle ek thread me dahej k upar kuch baat huyi thi to hamne kaha tha isko wazahat k sath ek thread me layenge to aaj ussi mauzu k tahet hamne dalail ki roshini me jo mawad ekhatta kiye hain wo apke samne hai

Dahej ek lanat, Dahje muashre me bigad, Dahej gareeb maa baap ki barbadi, Dahej masoom ladkion ki khudkushi, Dahej tabahi

Aap loog sochte honge ki ham Dahej ko itna bahayanak kyun bata rahe hain to aise sochne wale bohot kam hi haqeeqat ko jante honge unhone ye to news kabhi kabhar suna hoga ya kisi dost se k Dahej ki wajhe se ye hadsa hua wo hadsa hua kabhi ankhon se nahi dekha hoga na kabhi khud par beeti hogi

Hamne jahan tak dekha hai is forum me ya aur bhi dusri sites par zyadatar loog wo hi aate hain jo upper middle class k hote ya to phir paise wale ya kamse kam aise loog hote hain jinko aap gareeb nahi kehsakte

To aise logon ko duniya ki mushkilat masaib ka samna kuch kam hi milta hai haan unki bhi pareshaniya hoti hain lekin jo gareeb ek aam aadmi jhelta hai usko ham tasawwur bhi nahi karsakte

Hamne apni ankhon se aise hairat me dalne wale waqaya dekhen jo bayan nahi karsakte ham khud ek social organization me kaam kar chuken hain galli kucha ek ek ghar ka survey karte the to inke aise halat se ache se waqif hain aur khud ham par bhi aise masaib k pahad toote hain

Almuheem Quran aur Hadees k jo hi khilaf jayega usko isse do chaar hona hi padega…..

Ab ahem muazu ki taraf aate hain Islam me dahej ki kya haqeeqat hai kya Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam hamare nabi hain rausl hain rehnuma hain qudwa hain ideal hain unki pairvi se hi jannat milsakti hai unki itaat se hi Allah razi hota hai to kya unhone dahej liya Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ne 11 shadian ki kisi ek se bhi apne dahej liye gaur Karen doston agar kisi k paas koi daleel hai to pesh Karen aur apke baad apke sahaba khulafaye rashideen ne bhi ek se zyada shadian ki kisi ne dahej liye nahi aap puri tareeq utha kar dekhen aur unhone apni betion ki bhi shadian ki ya kisi ko dahej diye Allah k liye faur Karen sochen apni islah Karen muashre ki islah Karen

Allah ki kitab kya kehti hai

An-Nisaa (4) Ayat (verse) No.: 4

وَآتُواْ النَّسَاء صَدُقَاتِهِنَّ نِحْلَةً فَإِن طِبْنَ لَكُمْ عَن شَيْءٍ مِّنْهُ نَفْساً فَكُلُوهُ هَنِيئاً مَّرِيئاً

And give unto the women (on marriage) their dower (Mahr), ( whom ye marry ) free gift of their marriage portions ; but if they of their own accord remit unto you a part thereof , then ye are welcome to absorb it ( in your wealth ) .

An-Nisaa (4) Ayat (verse) No.: 24

وَالْمُحْصَنَاتُ مِنَ النِّسَاء إِلاَّ مَا مَلَكَتْ أَيْمَانُكُمْ كِتَابَ اللّهِ عَلَيْكُمْ وَأُحِلَّ لَكُم مَّا وَرَاء ذَلِكُمْ أَن تَبْتَغُواْ بِأَمْوَالِكُم مُّحْصِنِينَ غَيْرَ مُسَافِحِينَ فَمَا اسْتَمْتَعْتُم بِهِ مِنْهُنَّ فَآتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ فَرِيضَةً وَلاَ جُنَاحَ عَلَيْكُمْ فِيمَا تَرَاضَيْتُم بِهِ مِن بَعْدِ الْفَرِيضَةِ إِنَّ اللّهَ كَانَ عَلِيماً حَكِيماً

Also (prohibited are) women already married, except those whom your right hands possess: Thus hath Allah ordained (Prohibitions) against you: Except for these, all others are lawful, provided ye seek (them in marriage) with Mahr (dower, a bridal money given by the husband to his wife at the time of marriage) from your property,- desiring chastity, not lust, seeing that ye derive benefit from them, give them their dowers (at least) as prescribed; but if, after a dower is prescribed, agree mutually (to vary it), there is no blame on you, and Allah is All-knowing, All-wise.

Al-Baqara (2) Ayat (verse) No.: 236

لاَّ جُنَاحَ عَلَيْكُمْ إِن طَلَّقْتُمُ النِّسَاء مَا لَمْ تَمَسُّوهُنُّ أَوْ تَفْرِضُواْ لَهُنَّ فَرِيضَةً وَمَتِّعُوهُنَّ عَلَى الْمُوسِعِ قَدَرُهُ وَعَلَى الْمُقْتِرِ قَدْرُهُ

'…the wealthy according to his means, and the straitened in circumstances according to his means. The gift of a reasonable amount is necessary from those who wish to act in the right way.'

'Women are lawful to you….provided that you take them in marriage and not fornication. As to those through whom you profit (through marriage), give them their faridah as appointed.' (Al Quran)

Al-Maidah (5) Ayat (verse) No.: 5
The same applied when marrying Jewish or Christian women (5:5). If a Muslim man married someone 'whom his right hand possessed' (ie a slave or prisoner of war), the mahr was to grant her freedom and other payment was not required.

Hadeeson par nazar dalte hain

In the first era of Islam marriage was a simple affair, without pomp or ceremony. Any expenditure incurred in its performance was quite minimal, and not a burden on either family. Indeed, the Prophet stated: 'the most blessed marriage is one in which the marriage partners place the least burden on each other.' (al-Haythami, Kitab ab-Nikah, 4:255).

The Prophet gave each of his wives a payment of mahr, ranging from token sums, the granting of freedom from slavery when being made a wife, to the payment of 400-500 dirhams. His wife Umm Habibah's mahr consisted of 4000 dirhams, this sum having been fixed by Najashi, the Negus (a Christian ruler) of Abyssinia. (Abu Dawud, Kitab an-Nikah, 2:235).

In a famous case, the second Caliph, Umar b. al-Khattab, once gave a public sermon in which he asked the congregation to refrain from fixing heavy mahrs, and stated that the Prophet had declared no-one should give more than 400 dirhams. A woman immediately stood up and challenged him, quoting the verse 4:20 from the Qur'an: 'But if you decide to take a wife in place of another, even if you had given the first a heap of gold (quintar) for a dowry, you shall not take the least bit back.' Umar went back to the minbar and withdrew his words stating 'the woman is right, and Umar is wrong. Whoever wishes may give as much property as he wishes to give.' (Ibn Hajar al-Athqalani, Fath al-Bari, 9:167).

In tamaam Qurani aayat aur ahadees se wazeh hota hai k shadi ek sadgi ka naam hai shadi se muashra sudharta hai do khandan aabad hote hain nayi nasl ki shuruat hoti hai aur aisi koi aayat nahi na hi hadees hai jisme hai k ladki ko dahej dena chahiye sare dalail cheekh cheekh kar keh rahe hain ki ladke ko mahr dena chahiye Allah k farman bhi Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam ka qaul bhi aur sahaba ikram ki jamat bhi

Ham kahan hain kya sach me ham musalman hain kya sach me ham islam ko manne wale hain har mamle me hamne islam ki taleemat ko chor rakha hai

Ab aayiye us baat ki taraf jo ye jhoota dawa karte hain aur isse hi samaj me bigad phaila dahej ka…. Wo ye k Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam ne Hazrat Fatima r.a ko dahej diya, ye Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam par tohmat hai aur isko darr na chahiye Allah se uske azaab se aur loog jo is wahem me mubtila hain unko tahqeeq karna chahiye adhi taqleed gumrahi hai,
is haqeeqat par nazar dalte hain

Hadees is tarah se hai
Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam k paas Abu Bakar siddiqe r.a, Umar farooq r.a, Usman gani r.a aate hain aur Ali r.a k nikah k bare me baat rakhte hain aur Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam puchte hain kya Ali razi hain to kehte hain haan wo razi hain to phir baat tai huyi jab Hazrat Ali r.a samne aaye to Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam ne pucha Ali apke paas Fatima ko dene maher me kya hai to Ali r.a kehte hain Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam main to bachpan se apke paas raha hun mere paas to kuch bhi nahi haan jung e badar me ye zira mujhe mili thi ek talwar aur dhal to Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam kaha talwar aur dhal to kaam aayegi isko rakhlo aur ye zira bech kar iski keemat leke aau yehi apka maher hoga aur ussi se apka Nikah hoga, phir Ali r.a gaye bechne Usman r.a k paas wo us zira ko khareed liye 400 dinar me phir unse kaha kya ab main is zira ko kise bhi dedun Ali r.a ne kaha ab ye apka hai aap jo chahen Karen to Usman r.a ne Ali ko hi wo tohfeh me dedi phir Ali r.a Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam jakar sab bayan kiye phir Aapne unse wo paise lekar unka maher tai kiya aur ussi paison se do chakhiyan lin, ek chatai li, aur ek sahabi k makan me apka intezam kiya aur kuch khane pakane ki cheezon ko bhi Apne kharid kar diya wo isliye k Ali r.a shuru se hi Allah ki Rasul sallellahualayhi wasallam k paas rehte the to unke paas koi saman nahi tha to inhi ki zira bech kar inhe k paison me se liya gaya hai….subhan Allah
referrence : Tabqat ibn saad, al jalalain, tariq ul tabri, ibn hisham, sahi muslim aur sahi bukhari (baab Al Nikah me puri tafseel maujood hai )

To iski asal shakal ye hain jisko zalimon ne badha chara kar todh madhod kar aaj pure samajh ko bigad diya hai hinduon ki rasmo ko apne zindagion me utar liye hain

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen

Is article par bhi nazar dalen

aur akhir me in vedios par nazara dalen (zaroor dekhen)

barah e karam is par bhi nazar dalen
 
*lucky*

Newbie
Aug 9, 2010
4,386
1,581
0
sweet home
Waalikumaslam

thanx saviou for such a nice sharing...

such mujhy b is baary main nahi pta tha i men mujhy b yahi pta tha k Hazrat Muhammad (PBUH) ny Hazrat Fatima ko ye saman dia tha but aap ny jo hadees byaan ki hai us say mujhy b pta chal gya k wo Hazrat Ali ny Meher ada kia to wo saman bna

thanx alotttt....aaj main ye hadees na prti to shayed mujhy kbi b is baat ka pta na chlta...

well hmaary muashry main jahez k bagher kisi lrki ko apnaya nahi jata...agr lrki waaly jahez na dain to un ki beti un k ghar bethi reh jaati hai...
aisi situation main maan baap kia kren ?
 
  • Like
Reactions: yoursks

Jazakallah khair :)

haan isse bohot se logon ne galat taur par liye aur dahej k hinduwana riwaj ko muslim gharon me zabardasti thoss diye ...Allah hame isse mehfooz rakhe Aameen

bilkul aaj k muashre me bina dahej ki shadi na mumkin si lagti hai
lekin hamare naujawan agar samne aayen aur iss rasm o riwaj ko todhe aur ye ahad karen ki wo shadi karenge to sunnat k mutabik dahej nahi lenge aur dusre rasm o riwaj bhi nahi karenge to phir muashra sudhar sakta hai aur gareeb ladkian bhi hassi khushi se shadi kar sakengi insha Allah
 
ye "zira" kia hota hai?

u r right agr nujwan is baat ko smjhen or is pr amal kren to koi shak nahi k jahez jaisi lanat say chutkara mil skta hai...
 
  • Like
Reactions: yoursks

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

ye "zira" kia hota hai?

u r right agr nujwan is baat ko smjhen or is pr amal kren to koi shak nahi k jahez jaisi lanat say chutkara mil skta hai...
agar aap last vedio pura dekhlen to apko zira k bare me pata chal jayega phir bhi ham kehte hain :)

zira ek dhal hai jaise abhi bulletproof hote hain waise hi jabke zamane me zira thi jisko pahen kar jung me jaya jata tha ussi zira ko bech kar apne nikah k liye keemat ekhatta ki :)

aur apne sahi kaha agar naujawan samne aaye aur sunnat k mutabik shadi karen aur ladki ko apne paison se jo bhi pehna na ho wo khud kharch karke ghar lane ka azm karen to ye zalalat door hosakti hai

aur hamne ye hamare sare doston me ek muhim chaliye hai sab hamse razi hain aur wo abhi azm bhi kar chuke hain k dahej nahi lenge

aur iski sabse pehli shuruat ham se hi ho rahi hai Alhamdulillah :)
 
  • Like
Reactions: yoursks

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Jazak Allah khair ...savio bro...dahej waqai ek bohat bari lanat hai or is dahej ki wajah se kitni larkiyon ki zindagiyan tabah ho rahi hain ye kisi se chupa huwa nahi hai...Allah sab ko hidayat de ke log is buri lanat se bachne ki koshish karen or sahi islamic tareeqe se shadi karen or dahej ki lant se muhn mor len..
 
Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
jazakAllah khair saviou bhai,bht he achay tareqay say apnay is ahem noktay ko utaya hay,amreen sahe keh rahe hay,najanay kitne gareeb larkia apnay apko boj samajnay lage hay,mujy nae lagta saviou bhai k ganda rivaj itne asani say hamaray mashray say ab jaye ga,kuda sab ko naik hidayat day,amen
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Jazak Allah khair ...savio bro...dahej waqai ek bohat bari lanat hai or is dahej ki wajah se kitni larkiyon ki zindagiyan tabah ho rahi hain ye kisi se chupa huwa nahi hai...Allah sab ko hidayat de ke log is buri lanat se bachne ki koshish karen or sahi islamic tareeqe se shadi karen or dahej ki lant se muhn mor len..
Aameen
Allahi barik feek

Allah apke iradaon ko buland kare
aur hamare naujawan ladkon iss sunnat ko zinda karne ki taufeeq de Aameen
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
jazakAllah khair saviou bhai,bht he achay tareqay say apnay is ahem noktay ko utaya hay,amreen sahe keh rahe hay,najanay kitne gareeb larkia apnay apko boj samajnay lage hay,mujy nae lagta saviou bhai k ganda rivaj itne asani say hamaray mashray say ab jaye ga,kuda sab ko naik hidayat day,amen
Aameen
Allahi barik feek

haan tooba ye itna asaan nahi hai par namumkin bhi nahi hai
ek bhi naujawan aisi shuruwat kare to uske piche kitno k raste khulenge
insha Allah upar wale ki madad hogi

Allah hame amal ki taufeeq de Aameen
 
*lucky*

Newbie
Aug 9, 2010
4,386
1,581
0
sweet home

agar aap last vedio pura dekhlen to apko zira k bare me pata chal jayega phir bhi ham kehte hain :)

zira ek dhal hai jaise abhi bulletproof hote hain waise hi jabke zamane me zira thi jisko pahen kar jung me jaya jata tha ussi zira ko bech kar apne nikah k liye keemat ekhatta ki :)

aur apne sahi kaha agar naujawan samne aaye aur sunnat k mutabik shadi karen aur ladki ko apne paison se jo bhi pehna na ho wo khud kharch karke ghar lane ka azm karen to ye zalalat door hosakti hai

aur hamne ye hamare sare doston me ek muhim chaliye hai sab hamse razi hain aur wo abhi azm bhi kar chuke hain k dahej nahi lenge

aur iski sabse pehli shuruat ham se hi ho rahi hai Alhamdulillah :)
lakin main ny to koi video nahi dekhi...mujhy koi b video show nahi ho rahi...ye to aap ny kaha k last video dekhen to mujhy pta chla k aap ny koi video b share ki hai...

yahan jis section main b videos share ki jaati hain me ko show kion nahi hooteen? :(
 
Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar

Aameen
Allahi barik feek

haan tooba ye itna asaan nahi hai par namumkin bhi nahi hai
ek bhi naujawan aisi shuruwat kare to uske piche kitno k raste khulenge
insha Allah upar wale ki madad hogi

Allah hame amal ki taufeeq de Aameen
summa ameen.
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

lakin main ny to koi video nahi dekhi...mujhy koi b video show nahi ho rahi...ye to aap ny kaha k last video dekhen to mujhy pta chla k aap ny koi video b share ki hai...

yahan jis section main b videos share ki jaati hain me ko show kion nahi hooteen? :(
pata nahi hame to show ho rahi hain
ham mods se puchte hain kya majra hai
 
Umm-e-ahmad

Super Star
Feb 22, 2010
11,352
5,314
1,313
home
jazak Allah khair
saviou bhai bht hi nice thread hai
aj kal log bht lalchi hain jst jaheez k liye hi shadi kate hain
aur baad ma b mangte rehte hain
na milne pe larki pe zulam hota ha
Allah sab larkio pe reham farmaye
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
jazak Allah khair
saviou bhai bht hi nice thread hai
aj kal log bht lalchi hain jst jaheez k liye hi shadi kate hain
aur baad ma b mangte rehte hain
na milne pe larki pe zulam hota ha
Allah sab larkio pe reham farmaye
Aameen
bilkul theek kaha apne ye kahan shadi tak mehdood nahi rehti
balke uske baad bhi ye silsila jaari rehta hai ladki par zulm hota hai
ek baat yaad rakhe jo Allah k kanoon ko todh kar shadi karta hai usko wo khushi har giss nahi milti wo sukoon nahi milta jo shadi ka asal maqsad hai

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
jaza kal Allah...

per agar islam main dhej ko mana hai to phir ye larki k maa baap dhej q dete hai ??
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
jaza kal Allah...

per agar islam main dhej ko mana hai to phir ye larki k maa baap dhej q dete hai ??
islam me bohot si cheezen mana hai pari par loog karte hain
ek to laa ilmi jihalat dusar rutba status teesra jaan bujh kar kayi wajhe hai
issliye to aaj musalmano ki halat aisi hai

Allah hamari islah kare Aameen
 
Top