A parody poetry by me of a very famous & legendary ghazal singer ghulam ali.
mene ye school life per banai hai so hope k ap sab ko is se apne school k days yad ajaenge
note: designing me simple rakhi as i used to right on back side on my register
- CHUPKE CHUPKE -
chup ke chup ke class me chewing-gum chabana yaad hai
hum ko ab tak shararto ka wo zamana yad hai
khech le na wo mera, dosto se pora tiffin
aur dosto ka wo mujhe, mun chudana yaad hai
hum ko ab tak tafreeo ka wo zamana yad hai
do peher ki dhoop me mere late ane ke lie
wo sir ka lambey chorey lecture sunana yad hai
hum ko ab tak bezati ka wo zamana yad hai
waqt-e-rukhsat school ki ghanti sunne k lie
wo mere kharey kano ka tarasna yad hai
hum ko ab tak besabri ka wo zamana yad hai
chup ke chup ke class me chewing-gum chabana yaad hai
hum ko ab tak shararto ka wo zamana yad hai
written & designed by
ADi
----------------------------------------------
- orignal ghazal lyrics -
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Khench le na voh mera parde ka kona daffatan
Aur dupatte se tera voh munh chhupaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye
Voh tera kothe pe nange paaon aana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
waqt-e-ruksat alvida ka lafz kehne k lie
wo tere sookhe labo ka thartharana yad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
----------------------------------------------