kisse karna h compare ?yeh tu jb ap cmpare krain gi tb e pta chly ga na
kisse karna h compare ?yeh tu jb ap cmpare krain gi tb e pta chly ga na
nyc.Tuje doston ki khabar na thi, muje dushmno ka pata na tha,
Teri dastaan koi aur thi, mera waaqeyaa koi aur thaa..
fine.Afat ki shokhiyan hain tumhari nigah main
Mehshar k fitne khelte hain jalwa-gah main
Wo dushmani se dekhte hain dekhte to hain
Main shad hun k hun to kisi ki nigah main
Ati bat bat mujhe yad bar bar
Kahata hun daur daur k qasid se rah main
Is taubah par hai naz mujhe zahid is qadar
Jo tut kar sharik hun hal-e-tabah main
Mushtaq is ada k bahot dard-mand the
Ae Dag tum to baith gaye ek ah main
lovely.Dard se mera daman bhar de ya Allah
Phir chahe diwana kar de ya Allah
Main ne tujhse chand sitare kab mange
Raushan dil bedar nazar de ya Allah
Suraj si ik chiz to ham sab dekh chuke
Sach-much ki ab koi sahar de ya Allah
Ya dharti k zakhmon par marham rakh de
Ya mera dil patthar kar de ya Allah