Assalamo alaikum TM kuch waqt pehle Sabah sis ke signature me
eik poetry parhi thi "aye naye saal bata tujh me naya kya hai"
mujhe bohot pasand aaiy to us line aur us hi topic pe mene bhi
ghazal likh daali umeed hai insha'ALLAH aap sub ko pasand aayegi......

Aye naye saal bata tujh me naya kya hai
yeh lougon ke khush hone ki waja kya hai
hai eid na hai koi aur mazhabi tehwaar
saja hai ghar e muslim aakhir huwa kya hai
ye hukm e Rasool saww hai to kaho mujhe bhi
ke me na manaun ise aisi meri khata kya hai
ghareeb ko mili chain ki roti insan sudhra koi
aisa bhi nahin to ab ki baar badla kya hai
muslim koi raah per aaya ke bana koi sadiq
agar nahin to naye saal me achha kya hai
sukh barha kisi ka na barha dukh baatne wala
is amal se zindagi mein kabhi mila kya hai
sub jhoomte bhi hain aur wajah bhi nahin pata
khud hi bata naye saal tujh me naya kya hai
hona hai to eid ke dinon mein khush huwa kar
ye riwaz e ghafil me ChiragH rakha kya hai
***S_ChiragH***