Aurat Ki Azadi

  • Work-from-home

payal

TM Star
Apr 12, 2009
1,246
672
113
waah Noor bhai bahut khoob...good...
Magar ladkiyon ko barbad karne me aajkal k waledain ki anokhi tarbiyat hai khud toh gumrah hain hi apni nasl ko bhi barbadi ki taraf lejaane me pesh pesh hain..
Agar ma baap apne bacchon ki acchi parvarish karen toh shayed hi humara maashera sudher sake..Hum apni ghaltiyon ko sudhar ker bhi apni aur apne aanewalo k liye raahe najaat hasil kar sakte hain..
 

Sunny007

Newbie
Sep 21, 2009
59
25
18
very good sharing by Afridi sahb.....

main ne 2 dafa es topic par comments die, lekin kisi na kisi wajah se post nahi hoie.... :(

any ways.... yahan par main sirf pakistani auraton ko focus karoonga k woh q bahar nikalti hai, kuch auratien to waqie western society se inspire ho gaie hain jo aisa karti hain, lekin majority aise nahi hain. auraton ka ghar se bahar nikalne ki aur bhi bohot saare wajoohat hain, jin main se sab se bari wajah mehngaie hai.

koie 4, ya 5 saal pehle pakistani citizens k zarooriat ko saamne rakh kar ek jaieza lia gaia jis main maahireen es nateeja par pohonche k agar pakistan k har shehri ko monthly 10000 mile to woh apni zindagi ki basic needs (roti, kapra, makaan, health and education) ko haasil kar sakte hain. lekin jab maloom kia gaia to pakistan k har shehri ki average monthly income sirf 6000 PKR se kuch ooper tha. maahireen ne es 10,000 PKR ko kam se kam limit qaraar dia hai, agar es se bhi kam income ho to es ka matlab hai k woh banda/bandi ghurbat ki lakeer se neeche zindagi basar kar raha/rahi hai.

lekin haqeeqat to yeh hai, k kuch families aise hain jin mian 6, 7, ya 8 afraad se bhi ziada hote hain, aur un main se sirf ek hi aisa kamaane wala hota hai jin ka monthly income mushkil se 10, 12 hazaar hote hain. maahireen k mutabiq 10,000 PKR us 8 members par mushtamil har bande ko milne chahie. lekin yahan to average income ghurbat k lakeer se neeche hai, to kuch families ki actual income kia hogi? woh kese apne basic needs poore kar sakenge? yeh sochne wali baat hai.

agar pakistani awam ne apne auraton ko ghar par izzat se rakhna hai to unhe khud k lie bhi 10,000 kamana chahie aur apne maan, beti, behen aur bivi k lie bhi 10, 000 PKR kamana chahie. aur ab to haalaat bhi 5 saal purane wale nahi hain, ab to mehengaie main mazeed 50 to 70 percent izaafa ho gaia hai. to sochie ab ek balance zindagi guzarne k lie kitna kamana chahie hoga? ab to 10,000 bhi kam par rahe hain.

mojooda hukoomat k policies main aisa mushkil hi nahi, namumkin hai. yeh ghurbat western countries se bheek maangne se khatam nahi hogi. es lie majbooran ghar ki ba haya auratien bahar paisa kamane k lie nikal rahi hain. ab bhi bohat se ghaioor khawateen-o-Hazraat mojood hain jo es kaam k lie dil par pathar rakh kar, kar guzarte hian.

mere khayal se topic kuch ka rukh kisi aur taraf ho gaia lekin yahi main ne observe kia hai, jis ne aurat ko bahar nikalne par majboor kar dia hai.

ek baat main add karna chahoonga k aurat ko kuch secters main laziman kaam karna chahie, jin mai se health aur education bohot ehem hai. muslim auraton ko muslim auratien hi behtar tour par educate kia ja sakta hai aur unhe health k mutaliq buniadi tajaveez de sakti hain.....

dear members! do reply kia aap mere observations se agree karte hain?????
 
Top