Alwada-alwada mah-e-ramazan

  • Work-from-home

kamran444

TM Star
Jun 24, 2009
4,111
1,984
1,313
35
pakistan Lahore
ALWADA-ALWADA MAH-E-RAMAZAN


Qalb-e-Aashiq Hain Ab Para Para,
Alwada Alwada Mahe Ramazan.

Tere Aaney Se Dil Khush Huwa Tha,
Aur Zoak-e-Ibadat Badha Tha,
Aahh Ab Dil Pe Hain Ghum Ka Galba,
Alwada Alwada Mahe-e-Ramazan.

Naikiyan Kuch Na Hum Kar Sakain Hain,
Aah Issiya He Main Din Katain Hain,
Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Koi Husn-e-Amal Na Kar Sakaa Hoo,
Chand Ansoo Nazar Kar Raha Hoo,
Yehi Hai Mera Kul Asasaaa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Jub Guzar Jayenge Mah Giyara,
Teri Aamad Ka Aamad ka Phir Shoor Hoga,
Kiya Meri Zindagi Ka Bharosa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Bazm Iftar Sajti Thi Kaisi Kaisi,
Khood Sehri Ki Ronak Bhi Hotee,
Sub Sama Hogaya Suna Suna,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Yaad Ramzan Ki Tarpa Rahee Hai,
Aansoo Ki Jarhee Lag Gayee Hain,
Keh Raha Hai Har Aik Qatra,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.


Tere Diwane Sub Ke Sub Ro Rahe Hain,
Muztarib Sub Ke Sub Ho Rahe Hain,
Kaun Dega Inhe Ab Dilasa,
Alwada Alwada Mahe Ramzan.

Sag-e-ATTAR, Badkar, Qahil,
Rah Gaya Yeh Ibadat Se Gaafil,
Is Se khush Hoke Hona Rawana, Hum Sub Se Khush Hoke Hona Rawana
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN,
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN.

Aae Musalman Tho Zinda Rahoge,
Is Mahiney Ko Phir Dekh Looge,
Kiya Teri Zindagi Ka Bharoosaaa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Saal-e-Ainda Shah-e-Haram Tum,
Karna Hum Sub Par Yeh Karam Tum,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,(AAMEEN)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.

Waasta Tujh Ko Meethey Nabi Ka,
Hashr Mai Humko Mat Bhool Jana,
Roz-e-Mehshar Humain Bukhshwana,
Roz-e-Mehshar Humain Bukhshwana,(Aameen)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.

Tum Pe Lakhoo Salam Mah-e-Ramzan,
Tum Pe Lakhoo Salam Mah-e-Gufran,
Jao Hafiz Khuda Ab Tumhara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN,
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN




PLEASE REMEMBER IN DUA
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
Khalqat-e-khuda aaj ronay ko hay,
Mah -e-Ramazan bhi juda honay ko hay..
Socho zara kia paya hum ne....
Kia apna RAB ko manaya hum nay??
Kia janay ab naseeb may yeh maah ho ya na ho..
Us ki rehmat ka kia haq paya hum nay..?
Ab honae se ashk baar kia faida..
Jab
Baab -e-Rehmet band honay ko hay...


very nice shering brother..
 
Top