Assalamu Alaykum WrwbBaz log kehty hen k Allah SWT aresh per hai baz ka aqedha hai k Allah SWT her jaga per majood hai , hameen kya aqeeda rahna chaye quran aur sirf saheh ahdeeth ki rooshni mai bata deen . Asalam o alikum
Allahi barik feekjazak Allah ap nay bilkul sahi farmaya quraan main 5 jaga para aya hai k Allah arsh par hai ur yahi hamra aqida hona hona chahiay aik sahi hadees main bhi is ki wazahat milte hai k Allah upar hai yane arsh par baqi log jo marze kahain hamin quraan ur sahi hadees say hi islam lena chahay
sukriya
Al-Rahmaanu ala'l-`arshi-istawaai ka matlab janna bhi to zuroori hai jisko khud Qur'an hi ne surah A'raaf 54 mein bayan kar dia hai aur wo ye ke Allaah bi'l-Dzaat nahin balkeh sift ke lehazh se mustawi-e `arsh huwa. Mere nazdeek ye ma`qool tarin raye hai wagarna ye maanna parhe ga ke Allaah bi'l-Dzaat makhlooq (`arsh) mein mawjood hai. Nasir bhai ka jawab kafi mu`tadl tha ke hammey istiwaa ala'l-`arsh ki kaifiyat ma`loom nahin aur is ki haqiqat ka ta`aqub bhi nahin karna chahiye. Jaise Qur'an ne bataya waise hi taslim karna yaqeenan mu'min ki nishani hai lekin jitni baat bayan ki gai hai use samajhna apni jagah la'iq-e tafakkur hai. Allaah Ta`aala farmatein hai;jazak Allah ap nay bilkul sahi farmaya quraan main 5 jaga para aya hai k Allah arsh par hai ur yahi hamra aqida hona hona chahiay aik sahi hadees main bhi is ki wazahat milte hai k Allah upar hai yane arsh par baqi log jo marze kahain hamin quraan ur sahi hadees say hi islam lena chahay
bat saf hai janab k Allah s w t nay apne simat hamin bata de hai ur is par hamin minu an tasleem karna hoga aik sahi hadees main hai k .Ap s a w nay londe say do sawal kiay aik ya k Allah kahan hai ?ur dosara main kon hon ?tu jawab main us londe nay hath k isharay say kaha k Allah s w t upra han yani arash par ur ap Allah k Rasool s a w han tu ap nay farmaya ya momina hai .yahan quraan ki tafseer main asane hote hai ur insan ko samajna bhe chahiay . aik shkas janabay imam maalik rt ki majlis main aik shakhs aya or us nay kaha k Allah s w t arash par kaise tawaa hai tu janabay maalik rt nay jawab main kaha k jab ya ayaat utre tu suhaba rz k samnay hi utre magar uno naay ya sawal nahi kiya .ur man liya jab uno nay sawal nahi kiya tu aj kar raaha lihaza tu nay bidat ki ur farmaya is ko yahan say nikal do.Salam,
Al-Rahmaanu ala'l-`arshi-istawaai ka matlab janna bhi to zuroori hai jisko khud Qur'an hi ne surah A'raaf 54 mein bayan kar dia hai aur wo ye ke Allaah bi'l-Dzaat nahin balkeh sift ke lehazh se mustawi-e `arsh huwa. Mere nazdeek ye ma`qool tarin raye hai wagarna ye maanna parhe ga ke Allaah bi'l-Dzaat makhlooq (`arsh) mein mawjood hai. Nasir bhai ka jawab kafi mu`tadl tha ke hammey istiwaa ala'l-`arsh ki kaifiyat ma`loom nahin aur is ki haqiqat ka ta`aqub bhi nahin karna chahiye. Jaise Qur'an ne bataya waise hi taslim karna yaqeenan mu'min ki nishani hai lekin jitni baat bayan ki gai hai use samajhna apni jagah la'iq-e tafakkur hai. Allaah Ta`aala farmatein hai;
إِنَّ رَبَّكُمُ ٱللَّهُ ٱلَّذِى خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلْأَرْضَ فِى سِتَّةِ أَيَّامٍۢ ثُمَّ ٱسْتَوَىٰ عَلَى ٱلْعَرْشِ يُغْشِى ٱلَّيْلَ ٱلنَّهَارَ يَطْلُبُهُۥ حَثِيثًۭا وَٱلشَّمْسَ وَٱلْقَمَرَ وَٱلنُّجُومَ مُسَخَّرَٰتٍۭ بِأَمْرِهِۦٓ ۗ أَلَا لَهُ ٱلْخَلْقُ وَٱلْأَمْرُ ۗ تَبَارَكَ ٱللَّهُ رَبُّ ٱلْعَٰلَمِينَ (الاعراف 54)
بیشک تمہارا پروردگار وہ ہے جس نے آسمانوں اور زمین کو چھ دن میں پیدا کیا پھرعرش پر اپنا اقتدار قائم کیا فرمایا۔ وہ رات کو دن پر ڈھانپ دیتا ہے اور رات تیزی سے اس کے پیچھے دوڑا کرتی ہے اور آفتاب و ماہتاب اور ستارے سب اسی کے حکم کے تابع ہیں اسی کے لئے خلق بھی ہے اور امر بھی وہ نہایت ہی صاحب برکت اللہ ہے تمام عالمین کا پالنے والا۔
bohat achi baat ki aap ne, Allaah aap ko jaza-i khayr 'atta farmayein! Lekin aap zara ghor karein ke zameen sakit to nahin balkih sadaa ghomti rehti hai, so is haqeeqat se ma'loom huwa ke aasman ki taraf jo ishara kia giya wo kisi khaas simt ki janib na tha, is se murad Allaah Ta'aala ka uloo' liya jaye na ke simt. Bahar haal ye behas to qareeb 12 sadiyon se musalmanon mein chalti hi aa rahi hai jis mein main mazeed izaafah nahin karna chahta, yahan mera maqsud apni raye bayan karna tha jo ab bhi qaim hai aur rahe gi jab tak koi doosri behtar raye samne na aaye, ummeed hai aap meri ikhtilaf-i raye se dilgeer na hon ge.jo Allah nay apnay baray main farmaya hai us k agar Ap s a w nay tashreh nahi farmai tu ham kon hotay han jab us londe nay kaha k Allah upar hai tu sahi mano main daikha jay tu ap s a w yahi jawab chahtay tahy k Allah upar hai