*...Ajab Pagal c Larki hai, Mujhe har khat mai likhti hai...*

  • Work-from-home

Ar!yaN

Banned
Jan 19, 2009
1,673
456
0
Pakistan
Ajab pagal c larki hai,
mujhay har khat main likhti hai,
mujhay tum yaad kartay ho?
tumhain main yadd ati hon?
meri batain satati hain,
meri nendain jagati hain,
meri ankhain rulati hain,
december ki sunehri dhoop main..ab bhi tehaltay ho?
kisi khamosh rastay say koi awaz ati hai..?
thitarti sard ratoon main tum ab bhi chat pay jatay ho..?
falak k sab sitaron ko meri batain sunatay ho..?
kitabon say tumharay ishq main koi kami ayi?
ya meri yad ki shiddat say ankhon main nami ayi..?
ajab pagal c larki hai...
mujhay har khat main likhti hai..

Jawaban usay likhta hon..
meri masrofiat dekho...
subha say sham office main.. chiragay umar jalta hai...
phir us k baad duniya ki.. kayi majborain paon main behdhian dal rakhti hain...
mujhay bay fikar chahat say bharay sapnay nahin dikhtay...
tehalnay,jagnay,ronay ki muholat he nahin milti...
sitaron say milay ab arsa hua.....naraz hon shayad...
kitabon say shagaf mera.. abhi wesay he qayam hay...
farq itna parha hai ab unhain arsay main parhta hon...

tumhain kis nay kaha pagli...?
tumhain main yaad karta hon....?
k main khud ko bhulanay ki musalsal justujo main hon...
tumhain na yaad anay ki musalsal justujo main hon...
magar yah justujo meri buhat nakam rehti hai...
meray din raat main ab b tumhari sham rehti hai...
meray lafzon ki har mala tumharay naam rehti hai...
tumhain kis nay kaha pagli tumhain main yaad karta hon...
purani baat hai jo log aksar gungunatay hain...
unhain ham yaad kartay hain...jinhain ham bhul jatay hain...

ajab pagal c larki hai...

meri masrofiat dekho...
tumhain dil say bhulao tau tumhari yaad ayay na...
tumhain dil say bhulanay ki mujhay fursat nahin milti...
aur is masroof jeevan main...
tumharay khat ka aik jumlaaaa...
tumhain main yaad ati hon...
meri chahat ki shiddat main kami honay nahin deta...
buhat ratain jagata hai..mujhay sonay nahin deta...
so agli baar khat main yah jumla nahin likhna...

ajab pagal c larki hai mujhay phir b yah likhti hai...
mujhay tum yaad kartay ho...
tumhain main yaad ati hon...
 
  • Like
Reactions: yoursks and nrbhayo
Top