Agar Aurtain Ganjii Hotiii

  • Work-from-home

Iceage-TM

Tagging Master
Super Star
Sep 23, 2012
5,533
9,461
1,113
Malir Cantt Karachi
Assalaam-O-alaikum Friends,

Aaj TM kay senior member @h@!der sahab say @Shizu ki post per kuch khawaateen kay ta'aluq say baat horahii thii... tou mujhay apnii yeh 'tanz-o-mazah' per mabnii tehreer yaad aagayii.... aap sab ki basaratoon ki nazar kar raha hoon umeed hay yeh aap kay chehroon per muskurahatain bikhaair day gii :)


Yeh khayal aatay hee kay "Agar aurtain ganji hotee" aankhoon kay saamnay aik khoobsurat, naazuk dosheeza apni chamakti hoyee taal lay kar pooray chand ki manind roshni aur chamak dhamak kay saath jalwagar hoti nazar aati hay!!

Laakh lakh shukhar hay Rab ka kay aisa nahin hay, zara sochyeh agar aisa hota tou Wasi Anjum aur Asif Shahzad jaisay mouhtaram shoura-e-karaam apna kalaam kuch yoon paish kartay:

Madhoosh Hogaya Hoon Teri Chaal Dekh Kar
Teray Yeh Khoobsruat Khad-e-Khal Dekh Kar
Khoya He Raha Teray Khayalon Main Hamsafar
Tujh Per Phisal Gaya Teri Taal Dekh Kar


Dabur Amla kay ishtihaar ka kuch yoon haal hota...
"Dabur Aamla... kiyonki yeh hay meri chamakti taal ka maamla"


aur issi tarhan HEAD n SHOULDER waalay baichaaray yeh product ladies ko baichnay say qaasir rehtay magar phir bhi shayed himmat kar kay iss ka ad. bhi kartay tou woh kuch iss tarah hota:

"Kal woh mujhay dekhnay aayay, sab kuch thik lag raha tha, achanak unki nazar meri rookhi aur sookhi taal per paRi mujhay baRi sharmindagi hoyee. phir meri dost jiss ko yehi maslaa darpaish aya nay mujhay mashwara dia kay head and shoulder istimaal karo aur waqayi head and shoulder nay meri taal ko chamka dia!!"

aur films main dialogues kuch iss tarah likhay jaaatay..
"Rukhsaana, tumhaari yeh chamakti taal mujhay sonay nahin daiti aur main iss ki roshni main apni zindagi ki roshan haali ka khuwaab dekhta hoon.....meri zindagi say dour naa jaana, warna har taraf andhaira hi andhaira hojayay ga"


aur laRki az-rah-e-mohabbat yeh jawab daiti
"Haider, aisa nahin hosakta, meri yeh chamakti taal aur uss ki roshni srif aur srif tumhari amaanat hain aur yeh kisi aur kay aangan main kabhi bhi roshni ki kiran ban kar nahin chamkay gi, nahin chamkay gi, nahin chamkay gi"


Zara sochain agar aurtain ganji hoteen tou be-chaaray kitnay log bairozgaar hojaatay aakhir HAIR SHAMPOO, HAIR SPRAY, HAIR COLOR, HAIR DRYER, HAIR STYLER, HAIR STRAIGHTNER, HAIR PINS, HAIR BANDS, HAIR CLIPS, waghaira waghaira na hi aijaad hotay aur na log bar-sar-e-rozgaar hotay...

Haan humaray mulk kay dheet aashiq unko pataanay ka phir bhi koi na koi tareeqa ikhtiyar kartay iss qisam kay shaair kay saath:

Kaun Kehta Hay Mera Mehboob Ganja Hay
Chand Kay Sar Pay kabhi Baal Hua Kartay Hain


Sadshukar kay aisa haal nahin aur hum aaj kisi ki taal kay nahin balkay zunlfoon kay aseer hotay hain...!!
wa alaikum ussalam...
hahahahahaha post of the day :)) :)) {}{456
@thefire1
 
  • Like
Reactions: thefire1

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Bahut Shukriyaa.. Izat Afzai kaa b aur us Khas context ka bhi.. :)

inshAllah ek din Deewan b ban jaey gaa.. :p na hua to ham banwa len ga.. lolzz..

chalen Allah aap ka safar Aasan raky.. Aamin..
Jazak ALLAH Khair :)
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
BOHAT umdaa :-bd
u will not believe...but aapki first post se hi mujhe lag raha tha k Aap me likhne ka potential hai :)
keep it up!!
 

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
BOHAT umdaa :-bd
u will not believe...but aapki first post se hi mujhe lag raha tha k Aap me likhne ka potential hai :)
keep it up!!
Pasandeedgi ka bohat bohat shukriya..

I believe you :)

Abhi Mardoon kay ganjapann ka intizaar karyeh, jald hi paish karta hoon :)
 
Top