Agar Aurtain Ganjii Hotiii

  • Work-from-home

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Assalaam-O-alaikum Friends,

Aaj TM kay senior member @h@!der sahab say @Shizu ki post per kuch khawaateen kay ta'aluq say baat horahii thii... tou mujhay apnii yeh 'tanz-o-mazah' per mabnii tehreer yaad aagayii.... aap sab ki basaratoon ki nazar kar raha hoon umeed hay yeh aap kay chehroon per muskurahatain bikhaair day gii :)

Yeh khayal aatay hee kay "Agar aurtain ganji hotee" aankhoon kay saamnay aik khoobsurat, naazuk dosheeza apni chamakti hoyee taal lay kar pooray chand ki manind roshni aur chamak dhamak kay saath jalwagar hoti nazar aati hay!!

Laakh lakh shukhar hay Rab ka kay aisa nahin hay, zara sochyeh agar aisa hota tou Wasi Anjum aur Asif Shahzad jaisay mouhtaram shoura-e-karaam apna kalaam kuch yoon paish kartay:

Madhoosh Hogaya Hoon Teri Chaal Dekh Kar
Teray Yeh Khoobsruat Khad-e-Khal Dekh Kar
Khoya He Raha Teray Khayalon Main Hamsafar
Tujh Per Phisal Gaya Teri Taal Dekh Kar

Dabur Amla kay ishtihaar ka kuch yoon haal hota...
"Dabur Aamla... kiyonki yeh hay meri chamakti taal ka maamla"

aur issi tarhan HEAD n SHOULDER waalay baichaaray yeh product ladies ko baichnay say qaasir rehtay magar phir bhi shayed himmat kar kay iss ka ad. bhi kartay tou woh kuch iss tarah hota:

"Kal woh mujhay dekhnay aayay, sab kuch thik lag raha tha, achanak unki nazar meri rookhi aur sookhi taal per paRi mujhay baRi sharmindagi hoyee. phir meri dost jiss ko yehi maslaa darpaish aya nay mujhay mashwara dia kay head and shoulder istimaal karo aur waqayi head and shoulder nay meri taal ko chamka dia!!"

aur films main dialogues kuch iss tarah likhay jaaatay..
"Rukhsaana, tumhaari yeh chamakti taal mujhay sonay nahin daiti aur main iss ki roshni main apni zindagi ki roshan haali ka khuwaab dekhta hoon.....meri zindagi say dour naa jaana, warna har taraf andhaira hi andhaira hojayay ga"

aur laRki az-rah-e-mohabbat yeh jawab daiti
"Haider, aisa nahin hosakta, meri yeh chamakti taal aur uss ki roshni srif aur srif tumhari amaanat hain aur yeh kisi aur kay aangan main kabhi bhi roshni ki kiran ban kar nahin chamkay gi, nahin chamkay gi, nahin chamkay gi"

Zara sochain agar aurtain ganji hoteen tou be-chaaray kitnay log bairozgaar hojaatay aakhir HAIR SHAMPOO, HAIR SPRAY, HAIR COLOR, HAIR DRYER, HAIR STYLER, HAIR STRAIGHTNER, HAIR PINS, HAIR BANDS, HAIR CLIPS, waghaira waghaira na hi aijaad hotay aur na log bar-sar-e-rozgaar hotay...

Haan humaray mulk kay dheet aashiq unko pataanay ka phir bhi koi na koi tareeqa ikhtiyar kartay iss qisam kay shaair kay saath:

Kaun Kehta Hay Mera Mehboob Ganja Hay
Chand Kay Sar Pay kabhi Baal Hua Kartay Hain

Sadshukar kay aisa haal nahin aur hum aaj kisi ki taal kay nahin balkay zunlfoon kay aseer hotay hain...!!
 
thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
  • Like
Reactions: Shiraz-Khan

H@!der

Super Star
Feb 22, 2012
8,413
3,070
1,313

hahah .. beautiful.. sach me maza aaya..
aur aap ki observations aur phir conclusions ki maharten dekh kar be-ikhtiyaar rashk aaya..
alfaaz ka chunaao .. aur mozooniyat be-sakhta he.. jo tehreer ko aur dilkash bana raha he..

aur Shayri no doubt chaar kya 6-7 chaand laga rahi he ... magar aakhri shair jaisey hi nazar se guzra.. sari mayoosiyan raffu chakkar ho gyeen.. kyunke ab Aurten to chahey charity ke liye Gunji hon like most of English or European ladies.. magar Mard hazraat to Na chahty hue b is Tohfey ko qabool karney par majboor hen.. isi liye Last shair parh kar kuch sukoon hua.. ke chalo.. " dil ke behlaney ko ghalib yeh khyaal acha he .." ke masdaaq .. kuch sigh of relief hi le len :p

magar bahut khoob... yeh i dua he ke Allah kare zor e qalam aur zyada..

aur ek guzarish b he ke koshish kijiye ke aap ki urdu ki tehreeren urdu rasm al khat me hi hon to parhny walon ko aasani ke sath sath zuban ka ehtaraam aur tehreer ki khoobsoorti dono nikhar kar samney aati hen :)

God bless.. and keep coming :)

@thefire1
 
  • Like
Reactions: thefire1

Haider bhai... aap say itnay khoobsurat alfaaz main pazeerayii bohat achii lagii... sach kahoon tou mujhay ab darr lagnay laga hay kay kahin merii tehreer main koi kami na reh jaayay.... jab paRhnay waalay aur samajhnay waaloon ka mayaar aala hota hay tou likhnay waalay ko bhi apna mayyaar qariyeen kay mayaar per laana bohat zaroori hota hay. Aap kay comments tou meri tehreer say bhi ziyada khoobsurat hain MASHALLAH.

Aap ki guzaarish meray liye hukum ki ahmiyat rakhta hay, meray Laptop main Urdu keyboard nahin hay agar aap 'rehnumayii' karain gain tou main bayhadh mamnoon rahoon ga. Khush rahyeh. :)
 
  • Like
Reactions: Zach

sab se pehly ... ek choti si darkhwast he.. agar Huzoor ka ism e garami jaan paon to acha lagey ga.. jis ke liye paishgi shukriya.. :)

aur jo aap ne comments ki baat ki.. to mohtaram .. Allah jis ko zarkhaizi deta he us ka haq b he aur farz b ke us ko use b kare.. MUJH jaisey log to sirf chand sutoor ke hi qabil hen.. ilam o adab se Shagaf zaroor he magar is samandar me Tairaaki ka kabi shouq b na hua aur na hi himmat.. so yehi chand achy alfaaz jo zehen me kulbulaa rahy thy aap ki nazar kiye.. aur sab se mazey ki bata yeh ke aap Fully deserve karty hen IS se b achi tareef ke..
aur jo aap ne kaha ke Miyaar aala rakhan padey ga.. well wo to he.. kyunke yahan par (xcluding me) bahut aala paya log mojood hen jo Adbi tehreeron ko khoob cchanty phatkty hen.. magar yeh b zaroor kahon ga ke log to is dasht ki siyaahi me omren guzaar kar kahin is qabil hoty hen ke padhney waly ko mutwajja kar saken.. aur aap to mashAllah abi No-aamoz o Nokhaiz hen :p so dont worry .. just go with the flow.. kyunke kabi kabi agar Zyada banaao singhaar ki koshish ki jaaey to Tehreer banawti lagney lag jati he..

Allah kare zor e qalam aur zyada.

aur urdu writing ke liye .. mere pas Inpage mojood he wo b almost Latest :p to inshAllah me to upload kar ke aap ko link de don ga.. YA dekhta hon agar abhi muj elink mila to aap se share kar lon ga.. warna aap ke khud ke pas b agar time ho.. to aap inpage search kar len..warna inshALlah Shaam tak me khud bhaij don ga aap ko.. ya aphir aap agar tehreer zyada lambi nahi he to muej arsaal kar den.. me koshish karon ga ke due time me aap ko wapis bhaij sakon.. Atleast this is what i can do :p
 
  • Like
Reactions: thefire1

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Mera Naam SYED MOHAMMAD ALI... Office main aur dostoon main MOHOAMMAD ALI aur ghar waalay ALI kay naam say jaantay hain :)

Main nay bhi yehi suna hay kay jitna ilm kisi kay paas hota hay woh utna hi 'mukasar mizaaj' hota hay... aap ki yeh choutii see tehreer aap ki ilmi maloomat aur aap ki adabi mohabbat ka jee bolta suboot hay.... meri itni auqaat kahan kay main souraj ko chiraag dikha sakoon main tou khudh iss taleem kay samandar main ghotazann hoon aur upper upper hi 'tayr' raha hoon... kabhi gehrayii main jaanay kii himmat tou main bhi nahin kar paaya... :) Magar koshsish zaroor karoon ga kay aap sab kay mayyar per poora utroon INSHALLAH.

Ab say kuch dair yaani chand ghantoon main, main duniya kay sab say khoobsurat safar kay liye rawaana ho raha hoon, yaani 'UMRA' kay liye, Makka-Mukaramma main umra ki saadat haasil karnay kay baad Madina Munwara main Huzoor-e-Akram SAW kay roudha-e-aqdas per haazri ka sharf haasil karoonga... aur kitni khushi kii baat hay Shabaan ki 15 tareekh main Umra naseeb hoga. Dua ki darkhuwaast hay.

Bas wapsi per inpage download karoonga aur koshsih karoonga kay khudh hii urdu main type karoon, iss kay liye koi khaas keyboard ki zaroorat tou nahin hoti?

Aap kay khuloos aur mohabbat kay dil say manoon hoon, shukriya, khush rahyeh :)

Shukriya Ali.. (ye mat samjiye gaa ke aap ko Ali keh kar ghar walon me shamooliyat ka dawa he.. bas Mukhtasar aur Acha naam he kyunke mera last name b Ali hi he :p )
aaap ne to khair tarwwfon ke Pull ,,, Fly Overs... Under Passes.. Floating Bridges.. aur pata nahi kya kya bandh diya.. jis ke liye shukriya.. ab zyada kuch kehny ki jasarat nahi karon ga :p

magar jo aap ne Tairaki aur Doobney wali baat ki ..t o fiker na kijiye Ham jaisey Bhari Bharkam .. aur Shizu jaisey Only Bharkam Bharkam fans aap ko nooper se dabaa ke rakhen ge.. aur neechy janey aur Gehrai me tairney ke liye.. aur inshAllah hamen poora yaqeen he ke aap Seep ke moti nikaal hi laen ge.. :)

mashALlah bahut bahut mubarak ho.. bahut sahadat ki baat he.. mera 2 dafa jana ho chuka he.. magar is dafa kuch dunyavi masroofiyat ki waja se jan amumkin nahi ho saka.. magar ek darkhwast zaroor karon ga ke Duaeon me ham sab ko aur especially hamary Mulk Pakistan ko zaroor yaad rakhiye ga.. Allah Sab ke Haal aur Ahwaal par rehem kare.. Aamin.. ab to inshAllah aap se 2 weeks baad hi mulaqat ho gi.. Allah kheriat se le jaaey aur wapis laey.. Aamin.

baki .. keyboard koi nahi .. us ke ander hi selection he keyboard type ki.. not any issue at all.. abi to aap jahan jaa rahy hen us par focus kijiye..

All d best.. :)
 
Aap mujhay ALI pukaar saktay hain, main bohat kam logon ko BHAI keh kar mukhaatib karta hoon :) yaani aap ko 'dostoon jaisay bhai, aur bhaiyon jaisay dost' ka darja dia hay :)

Kia karoon contruction field say ta'aluq hay tou yeh sab constuction karna koi baRi baat nahin :) waisay yeh tareef kay qaabil hain aap.

Baaqi mujh per itna boojh bhi naa dalyeh ga kay main bardaasht hi na kar paoon, main part time writer hoon.... koi dewaan nahin hay mera, bas aap jaisay dostoon say inspire ho kar yaa phir kisi kay suggestion (@Shizu ) per kuch likh daita hoon :)

Jee zaroor, aglay hi week mulaqaat hogii INSHALLAH, going for a short trip will be back soon.

INSHALLAH sab ko duaoon main yaad rakhoon ga, waisay bhi humaray watan ko duaoon ki sakht zaroorat hay. shukriya.
 
Bahut Shukriyaa.. Izat Afzai kaa b aur us Khas context ka bhi.. :)

inshAllah ek din Deewan b ban jaey gaa.. :p na hua to ham banwa len ga.. lolzz..

chalen Allah aap ka safar Aasan raky.. Aamin..
 
  • Like
Reactions: thefire1
Top